Kya Musalman bhi Shirk kar sakta hai ?

Aksar Log Humse aisa Sawal Karte hai Ke – “Kya Musalman Kabhi Shirk Kar Sakte Hai ?”
Tou Aayiye Shariyat kya kehti Iskey Talluk Se Ye Jaan Letey hai ,..

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hai Ke –
“Qayamat Uss Waqt Tak Qayaam Na Hogi Jab Tak Meri Ummat Ki Ek Jamaat Mushriko Se Na Jaa Miley aur Meri Ummat Ke Bahut Se Log Buth-Parasti Na Kare” – (Tirmizi Sharif)

… Aaj Hum Jaantey hai Aalamt-e-Qayamat ke Ye Aasar abhi se nazar aa rahe hai ,..
Aur kayi Musalman Gairmabudo ko Apne Nafa aur Nuqsaan ka Zaamin Thehra rahe hai ,..

*Aur Jin Qoumo Ko Imaan Hee Nahi Mila Wo Tou Waise Hi Mulawwis Hai Gumraahi Me,..
*Lekin Jinhe Emaan Ki Doulat Mili Unka Shaitan Ke Jarye Gumraah Hona Jyada Mumkin Hai,

*Aur Allah Rabbul Izzat Iski Wajahat Bhi Quraan-e-Kareem Me farma Chuka Hai Ke –
♥ Al-Quran: “Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Aap Dekhoge Aksar Log Imaan Ke Dawey Ke Bawajud Siwaay Shirk Ke Aur Kuch Bhi Nahi Karte ..”
– (Surah Yusuf: Ayat 106)

*Fir Hume bhi Gaur Karna Chahiye Ke Kahi Humara Mu’amla Tou Aisa Nahi “Ke Hum Tawheed Ki Baat Kar Rahe Hai Aur Saath me Shirk bhi Kar Rahe … ”

.. Tou Wajahat Kar Di Allah Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Ke –
“Haa! Musalman bhi Ankareeb Shirk Karenge ya kar Saktey hai ,.. ”
* * * * *

★ Tou Ab Shariyat Kya Chahti Hai ? Ke Kaise Momin Bachey Aise Mushrikana Amal Se ?
♥ Mafhoom-e-Hadees: Iske Talluk Se Ek Hadees ka Mafhoom hai ke –
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Surah (6)Al-‘An`am Ki Aayat 153 Tilawat kar ke bayan Farma diya ke –
“Aye Imanwalo! Iman Laaney ke Baad Sirate_Mustakim par add jana ,.. Yaani Allah aur Uskey Rasool ki Talimat par jamey rehna , Warna bohot Mumkin hai ke Shaitan Tumhe Sirat-e-Mustaqeem se behka dey”
– (Musnade Ahmad, Nadayii, Ibn Majah, Daremi, Tafseere-e-Ibnu Kaseer Vol#2, Page 256)
* * * * *

*Tou Beharhaal Hum Sab Par Laazim Hai Ke Haq Ko Janey,..
*Allah Aur Uske Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Huqm Ki Pairwi Karey,.
*Quraano Hadees Se Door Karne waale Tamam Mafadparasto Ke Fareb Ko Samjhne Ki Koshish Karey ,…

*Kitabo Sunnat Ke Jarye, Sahib-e-Ilm Ke Jarye, Sahi Ilm-e-Deen Hasil Karey Apne Akide Ka Muazna Karey Taaki Har Kism Ki Gumrahi Se Khud Bhi Bach Sakey Aur Auro Ko Bhi Bachaney Ki Koshish Karey ,..

★ Aakhir me Allah Rabbul Izzat se Dua Hai Hai Ke-
# Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne Samjhne Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey …
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

• ummat-e-nabi.com/home | • Fb.com/HadiseNabwi

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: