♥ Mafhoom-e-Hadees: Mughirah-bin-Shu’bah (RaziAllahu Anhu) Farmate hain ke –
“Nabi-e-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) itni Dair tak Namaz Me khade Rahte Ke Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke Mubarak Qadmon par Waram Aajata,
Jab Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Arz kiya gaya ke –
Allah Subhanahu-Wa-Ta’ala ne Tou Aap ki Agli Pichli Khatayen Muaf farma Di hai
(Phir bhi Ibadat Me itni Mushaqqat ? )
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Irshad Farmaya: Kya Main Allah ka Shukr Guzar Bandah na Banu.” – [Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 4836]
Wo Mushrik kehlaye is Amal par tou Hum Momin kaise ? Wo Mushrik kehlaye is Amal par tou Hum Momin kaise ? Mushrikane Makka ki Asal jo Kamjori thi, Asal Jo Unka Shirk tha Wo Tauhid Al-Ibada thi, Ibadat me wo Allah ke siwa Dusro ko bhi Shareek kiya karte they. Yahi Asal Shirk tha Unka Jiske Liye wo Qayamat tak ke liye Mushrikeen kehlaye. Hala ke wo bhi Allah ko Rab mantey they. Aur Allah Ta'ala ne Quraan ki chand Ayato me Inka Akeeda bayan kiya aur farmaya ke -…
Allah Ka Bando Par Kya Haq Hai ? » Jawaab: Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - ★ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi Ki Ibadat Karey, Aur Kisiko Uska Shareek Na Thehraye.. Aur Bando Ka Haq Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Karey Usey Azaab Na Dey. - (Bukhari:2856, Muslim:30) ♥ Al-Quraan: "Jo Log Emaan Laaye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Paney Wale Log Hain..” – (Surah…
Kya baith kar Namaz padh sakte hain? https://www.youtube.com/watch?v=ojGzd-bpbHA Baith kar Namaz padhna kaisa hai? Mard ya Aurat Kya Baith Kar Namaz Padh Sakti hai Ya nahi Isliye ke Zyada tar Aurtain ya Baaz log Baith kar Namaz Padhte hai, Tafseeli Jankari ke liye is mukhtsar si video ka mutala kare aur isey jayada se jyada share karne me humara tawoon kare, jazakAllahu khairan kaseera.
Jo Shakhs koi cheez cheen kar le Woh hum me se nahi Hadees of the Day Jo Shakhs koi cheez cheen kar le woh hum me se nahi RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke: "Jo Shakhs koi cheez cheen kar le woh hum (Imanwalo) me se nahi." 📕 Ibn Majah, Hadees 3927
Suraj aur Chand Grahan pe kya kare? ✦ Hadees: Suraj aur Chand ke bare me Islami Aqaid ✦ Abu Mas`ud (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Suraj aur Chand me Grahan kisi Shakhs ki Maut se nahi lagta. Yeh dono to Allah Ta"ala ki Qudrat ki Nishaniyan hai. Is liye usey dekhte hi khade ho jaao aur Namaz padho." 📕 Sahih Bukhari; Hadith no. 1041 ✦ Namaz-e-Kasoof: Suraj wa Chand Grahan ki Namaz (Namaz-e-Kasoof) ka Tareeka Abdullah bin Abbas (R.A) se riwayat…
Kyu Hum par Zaalim Hukumra Musallat hai ? ... Kya Sahaba ke dour me bhi yahi haal tha? Moujuda Haalat me Ummat-e-Muslima par Dushmane Deen jis tarah Zulmo-Sitam kar rahi hai, kya Sahaba ke dour me bhi yahi haal tha, Kya Sahaba bhi humesha magloob rahe? Aayiye Sahaba ki tareekh par gour karte hai. Sahaba (RaziAllahu Anhu) ko Allah Rabbul Izzat ne Quraan me farmaya ke: "Walaqad Qatabna fil zaburi, (zaboor ki misaal dekar kaha tha ke) “humne zaboor me ye cheez likh di thi ke 'hum zameen ko…
Kya Allah Sidhey Nahi Sunta? Aaj Hum'me Se Kayi Musalman Apne Rab Ki Rehmato Se Itne Gafil Ho Gaye Hai Ke Wo Yaaha Tak Keh Detey Hai Ke Allah Humari Dua Ko Sidhey Nahi Sunta,, Bich Me Marhale Chaahiye.. Subahn Allah .. Agar Rab Sidhey Nahi Sunta Tou Koun Sidhe Sunta Hai ? * Wo Rab Jiske Talluk Se Hum Khud Kehte Hai Ke Wo Humare Dil Ke Khayalat Ko Janta Hai, * Burey Khayalat Par Hum Us'sey Tauba Karte Hai .. Kya Wo Rab…
♫ Kya Fateha padhna Sunnat se saabit hai ? Khane par Niaz Fatiha karna kaisa? kya iski Daleel Aahadees me milti hai? kya Qurano Sunnat me Niaz Fatiha ka koi tazkira aaya hai? Kya Niaz Fatiha Qurano Sunnat se sabit hai? Tafseeli jankari ke liye is Audio ko jarur sune aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,.. jazakAllahu khairan kaseera
Kya Ek Musalman Dusre Musalman ko Baddua de Sakta hai? Aajkal muashre me dekha jata hai ke Musalmano ka aapas me badduwa dena aam se ho gaya hai, lekin kya Shariyat ne hume is baat ki ijajat di hai ke Musalman aapas me Baddua de, Kya musalman ko di hui bad'dua lagti hai ? janne ke liye is mukhtasar se video bayan ka mutala kare.
Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ? Kya Quran Gumaarahi Lata Hai ? Aaj Humare Quraan se Doori ki Sabse Ghatiya aur Intehahyi Baqwas Vajah ye hai ke "Quraan Padhey tou Gumraah ho Jatey. Subhan’Allah !!! *Jo Quraan Insaniyat ke liye Kitab-e-Hidayat hai Agar wo Musalmano Ko hi Gumrah kar Dey tou kya Dawat Denge Hum Gairmuslimo ko ? *Darhakikat Wo Log Khud Gumrah Ho Chukey Hai Iss Kitab Ko Chodkar Jo Kahtey Hai Ye Kitab Gumrahi Deti Hai ,.. *Allah Rabbul Izzat Ek Aayat Me Fermata…
Kya Mushrikeen Bejaan Booto ko Poojte they? Kya Mushrikeen Bejaan Booto ko Poojte they? Jawaab: Buto ii Haqeeqat Hazrate Ibn-e-Abbaas (R.A) bayaan karte hai. Qaum-e-Nooh (Alaihay Salam) ke Buth (Bad, Suvaa’a, Yagus, Yaooq aur Nasr) Nek Log they, Jab Faut ho gaye tou Shaitaan ne Unn ke Qaum ko Gumraah kiya ki ye Nek log jaha baitha karte they waha Batour Yaadgaar Patthar Nasb kar Do aur Unn Pattharo ko Unn ke Naamo se yaad karo. Chunaanche aisa kiya gaya, Lekin Uss Daur me Unn Pattharo ko…
Hasad kya hai aur Hasad se Bachne ki Dua ۞ Hasad ka Taruf | Hasad kise Kehte hai ? "Kisi Ko Khaata-Peeta Ya Falta-Foolta dekh kar Dil me Jalna aur Uski Neymato ke Zawaal (Khatam Hone) ki Tamanna Karna iss Kharab Aadat ka naam Hasad hai." ✦ Hasad Bahut hi kharab aadat aur Nihaayat hi buri bala hai, Gunaah-e-Azeem hai. Hasad karne waale Ki saari zindagi Jalan aur Ghutan ki Aag me jalti rehti hai aur Ussey Chain wa Sukoon kabhi Naseeb nahi hota. 📕 Ahyaaul Uloom Jild-3, Safa-187…
Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge? Allah ki Madad Qareeb hai "Kya tum ye Khayal Karte ho ke Aise hi Jannat me Chale Jaoge ? halaan ke ab tak tum par wo halat nahi aaye jo tumse pehle logo par aaye they,Unhe Bimariyan aur Musibato ne is tarah gher liya ke, yaha tak ke Wakt ke Rasool aur unke Sath wale Neik log pukaar uthey ke "Allah ki madad kab aayegi ?"(phir unhe tasalli di gayi ke) Haa! Allah ki Madad Karib hai." 📕 Al Quran…
Deen Me Biddat Kar Liye Tou Kya Hua ? Imam Malik (Rahmatullah Alayh) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Kahne Laga Agar Mai Eid Ki Namaz Se Pahle Khali Wakt Hai Mere Paas 2 Rakat Nafeel Padh Liye Tou Kaisa Hai? * Aap Imam Malik Ne Kaha - Ke Rasool'Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aisa Kaam Na Kiya! Tu Bhi Na Karna.. * Usne Kaha - Namaz Hi Tou Padh Raha Hu, Padh Liye Tou Kya Hua ? * Tou Imaam Malik (Rahmatullah Alayh) Ne Surah Noor Ki Ayat No.63…