Roza kin Cheezo se toot sakta hai? wo kounse amal hai jiski wajah se roza toot’ta hai, tafseeli jankari ke liye is mukhtasar se audio bayan ko jarur suney, jazakAllahu khairan kaseera.
Shohrat ke Waste Ilm Haasil karne wala Dozakhi hai ... Shohrat ke Waste Ilm Haasil karne wala Dozakhi hai Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Jo Insan Deen-e-Islam ka Ilm Sirf Isliye Sikhna chahta ho ke Uss Ilm ke Jarye wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) par Fakr (Ghamand) kare, Ulema (Scholar) se Jhagda kare, Logon me Aalim ke taur par Mash'hoor (Famous) ho jaaye aur log Uski Izzat kare tou aesa Insan Dozakh me jaaega." - Tirmizi #2654, Ibne Majah #253 ♥ Allahu Akbar !!! - Allah Rabbul Izzat Humey Ikhlas…
♫ "Roza Lag raha" Bolna kaisa hai? "Roza Lag raha" Bolna kaisa hai? Aksar Roze me Kamzori Aane ki wajah se Log ajib ajib baate kehne lagte hai, to kya aisa kehna jayaz hai ? tafseeli jankari ke liye is mukhtasar se audio bayan ka mutala karte hai,. jazakAllah khairan kaseera. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chut hai? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ Napaki ki Halat me kya Saher kar sakte hai? ♫ Kin…
Allah ka Zikr karne wala Zinda aur na karne wala Murda hai Zinda aur Murda ki Misaal Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Us Shakhs ki Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad Karta hai aur Uski Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad nahi karta ZINDA aur MURDA Jaisi hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6407
Ramadan Day 9 : Roza ek Dhaal hai 9th Ramadan Hadith: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Roza Gunaho aur Jahannum ki aag se bachane wali ek Dhaal hai.❞ [Sahih Bukhari 1904]
Ramadan Day 15 | Jhoot bolne aur Dagabaji karne walo… Ramadan Day 15 ✦ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Agar Koi Shakhs Roza rakh kar bhi Jhoot bolna aur Dagabaji karna na chore tou ...
Qurbani kin logon par Farz hai? Qurbani Wajeebi hukm nahi ikhtiyari mu’aamla hai. Lihaja jo Qurbani karne ki taqat rakhta ho woh Qurbani kare…
Badi kharaabi hai peeth pichhe baate karne walo ke liye Badi kharaabi hai peeth pichhe baate karne walo ke liye Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Badi kharaabi hai aise shakhs ke liye, jo peeth pichhe dusron par Aib lagaane waala (aur) munh par taana dene ka aadi ho." 📕 Quran; Al-Humaza 104:1
Youm-e-Arfa ka Roza aur Uski Fazilat | Janiye: Arfa… Arfa - 9 Zil Hijja ka Roza 2024 (India) Arfa ka Roza India mein 16 June 2024 ko hoga. India me 9 Zil-Ḥijjah ka Roza 28 June 2024 ko hoga. <<<<<<<<< ۞ >>>>>>>>> Mafhum-e-Hadees Youm-e-Arfa ke Roze ki Fazilat Hadees: Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: "Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho…
Momin Par Lanat Bhejna Qatl Karne Ke Barabar Hai Momin Par Lanat Bhejna Qatl Karne Ke Barabar Hai Hadees: Thabit Bin Ad-Dahhak (R.A) Se Riwayat hai, Ki RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya: "Jo Shakhs Apney Nafs Ko Kisi Cheez Se Halak Karey Wo Dojakh Me Usi Cheez Se Azab Diya Jata Rahega, Aur Momin Par Lanat Bhejna Usko Qatl Karney Ke Barabar Hai, Aur Jisney Kisi Momin Par Kufr Ka Ilzam Lagaya Wo Bhi Usko Qatl Karney Ke Barabar Hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 6652
♫ Roza na rakhne ki kisko Chut hai? Roza na rakhne ki kisko Chut hai? Ramzan me roza koun log nahi rakh sakte?, Kin Logo ko Ramzan ke Roze Muaf hai, Tafseeli jaankari ke liye is Audio Bayan ka mutala kare. Aur bhi Dekhe: ♫ Napaki ki Halat me kya Saher kar sakte hai ? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? ♫ Roze Chorne…
Al-Quran: Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Bure kaam ki Sifarish karne wala bhi Gunahgaar hai Allah Taala Quran me farmata hai: "Jo Shakhs koi buri Sifarish karta hai, usey us burayi se hissa (Gunaah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne wala hai." 📕 Surah An-Nisa 4:85
Halala ka Nikah karne wale ka Gunaah (Halala karne… Halala ka Nikah karne wale ka GunaahHalala karne wale par Allah ki Lanat ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Halala aise Nikah ko kehte hai jisme koi aadmi 3 Talaq waali aurat se sirf Talaq ki niyat se Nikah aur Sohbat karta hai taaki woh Aurat pehle Shohar ke liye halal ho jaye. Yaani Galati Mard kare aur Saza Aurat bhugtey, ye kounsa deen hai ? agar aap tehkik karo tou Jaan jaoge ke ye Jahilo ki deyn hai. Halala Karna aur karwana…
Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
Hadees: Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Jhooth se bacho, isliye ke jhooth Gunah tak le jata hai aur Gunah Jahannum tak le jata hai." 📕 Muslim, Hadees 6805
Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaaya -"Gaali-Galoch karne waale Dono Shaitan hain,Woh Ek-Doosre par Ilzaam Lagaate aur Jhoot boltey hain." 📕 Musnad-e-Ahmad, Hadees: 17483 Ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai ke:"Ek Munafiq ki Alamat hai Gaali dena.” 📕 Sahih Al-Bukhari, Hadees: 2459 Afsos ki baat hai -- Aaj ye Khabahat yeh Burayi Ummat-e-Muslima ko Nasoor ki tarha lag gayi hai.- Chote Se Chote Ikhtelaf me bhi Gaali…