Umrah in Ramzan
From ₹1Lakh | Flight from Mumbai
Hurry Up!

Khala ka Darja in Islam : Maa Ki Tarah Maqam

Khala ka Darja in Islam

Khala ka Darja Hadees

Hazrat Abdullah Bin Umar (RaziAllahu Anhu) se ek qissa rivayat hai:

Ek shakhs RasoolAllah (ﷺ) ke paas hazir hua aur bola: “Ya RasoolAllah (ﷺ), mujhse ek bohot bara gunaah ho gaya hai. Kya meri liye tauba hai?” Aap (ﷺ) ne farmaya, “Kya tumhari maa zinda hain?” Usne jawab diya, “Nahi.” Phir Aap (ﷺ) ne poocha, “Kya tumhari Khala hain?” Usne kaha, “Ji haan!” To Aap (ﷺ) ne farmaya, “Phir unke saath husn-e-sulook (Accha Sulooq) karo.”

(Jami At-Tirmidhi, Vol 1, Hadith 1966 – Sahih)

Yeh hadees yeh batati hai ke Khala ki khidmat karna aur unka izzat-o-ikram karna Allah ke nazdeek intehai pasandida amal hai, khaas kar jab insaan apne gunaahon ki maafi chahta ho.


Khala Ka Darja Maa Ki Tarah

Hazrat Al-Bara Bin Azib (R.A) se rivayat hai:

“Khala ka darja Maa ki tarah hai.”

(Jami At-Tirmidhi, Vol 1, Hadith 1965 – Sahih)

Is hadees ka mafhoom yeh hai ke ek Khala ka maqam aur uske huqooq Maa ke barabar hain. Jis tarah maa apne bacho ki parwarish aur unse mohabbat karti hai, waise hi Khala bhi apne bhanjay aur bhanjiyon ke liye ek maa ka ehsaas rakhti hai.


Khala Ke Huqooq (Khala Ke Liye Kya Karna Chahiye)

Islam humein har rishtay ke huqooq ada karne ka hukam deta hai. Khala ke huqooq kuch is tarah se hain:

  1. Izzat Aur Adab: Khala ke mashwaron ko ahmiyat dein aur unke saath hamesha izzat se pesh aayen.
  2. Madad Karein: Jab Khala budhape ya kisi mushkil waqt se guzar rahi ho, to unki madad karein.
  3. Rishte Mazboot Karein: Khala ke bacho aur ghar walon se apni taaluqaat mazboot rakhein.
  4. Mulakaat Aur Khidmat: Unse milne jayein aur unki halat maloom karte rahen.

Islam mein Khala ka darja Maa ke barabar hai. Unka adab aur khidmat karna insaan ke liye Allah ki khushi aur maafi ka sabab banta hai. Aayiye, in taleemaat par amal karte huye apni Khala ke huqooq ada karein aur unhe woh pyar aur izzat dein jo Islam humein sikhata hai.


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now
Umrah in Ramzan
From ₹1Lakh | Flight from Mumbai
Hurry Up!

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *