“Maine Apne Nek Bandon ke Liye (Jannat mein) Woh Cheezein Tayyar kar Rakhi hainJinhein kisi Aankh ne dekhana kisi Kaan ne Sunaaur na kisi ke Gumaan mein Woh aayi hain.”
Allah ka Haq Bando par Allah ka Haq Bando par Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah ka Haq Bandon par yah hai ki Woh Uski Ibaadat Karen aur Uske Saath kisi bhi Cheez ko Shareek Naa karein.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2856
Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin Ki Rooh Jannat se Mehroom Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin ki Rooh Jannat se Mehroom Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Momin ki Rooh Uss Waqt tak Jannat me Jaane se Rooki Rehti hai Jab tak ke Uska Qarz Ada naa kiya jaye." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 570 –Sahih
Dour-e-Jahalat Ke Nek Amal Ka Bhi Badla Milega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hakeem Bin Hizaam (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Unhone Bayan Kiya Ki Maine Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Puchha: *Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Unn Nek Kaamon Ke Baarey Me Kya Hoga Jinhe Maine Kufr Ki Haalat Me(Imaan Laaney Se Pehle) Kiya Tha ? Jaise Ki: Maine Sadqa-Khairaat Kiya Hai, Gulaam Bhi Aazaad Kiya Hai, Logon Ke Saath Nek Bartaao Bhi Kiya Hai,.. Tou Kya Kufr Ki Haalat Mein Kiye Huye In Nek Kaamon…
Nek Dost aur Burey Dost ki misaal ✦ Mafhum-e-Hadith: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Nek Saathi (Dost) aur Burey Saathi (Dost) ki Misaal mushk bechney waley Attar aur Lohar jaisee hai, Mushk Bechney waley ke paas se tum do achchaeeyon me se ek na ek zaroor pa loge. ya tou Mushk hi kharid loge ya kum se kum Mushk ki khushbu tou zarur pa logey. Lekin Lohar ki bhatti tumharey badan ya kapdey ko jhulsa degi ya uski tum…
Islamic Quiz 358 : Inmein se Jannat ke beech ka… Islamic Quiz 358 Inmein se Jannat ke beech ka darwaza kisko kaha gaya hai? A. Maa B. Waalid C. Bada Bhai D. Allah Ke Wali GET ANSWER Sahih jawab hai : Option ( B - WALID ) ✅ Daleel : ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Hadees: Abu Darda (RA) se rivayat hai:"RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Walid Jannat ka darmiyani (beech ka) darwaza hai. Teri marzi use zaya kar ya mehfooz rakh."📕 Jami Tirmidhi, Vol 1, Hadees 1959 (Hasan) Hadees: Abdullah ibn Umar…
Allah Ka Bando Par Kya Haq Hai ? » Jawaab: Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai Ke - ★ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi Ki Ibadat Karey, Aur Kisiko Uska Shareek Na Thehraye.. Aur Bando Ka Haq Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Karey Usey Azaab Na Dey. - (Bukhari:2856, Muslim:30) ♥ Al-Quraan: "Jo Log Emaan Laaye Aur Apne Emaan Ko Zulm Se Mahfooj Kiya Unke Liye Aman Hai Aur Wahi Hidayat Paney Wale Log Hain..” – (Surah…
Jannat ka Khazana: La Houla Wala Quwa'ta Illa Billah… Jannat ka Khazana ۞ Hadees: Abu Musa Ashari (R.Au) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Kya Main tumhein Jannat ke khazano mein se ek khazana batlaau ?” Maine kaha (Zarur) batalaiyye. Aap (ﷺ) ne farmaya , ‘Laa Hawla Wa Laa Quwwata illa Billah‘ (Allah ki Madad ke bagair Gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki Quwwat nahi.) 📕 Sahih Muslim, Jild 6, Hadees 6868 Ek aur riwayat me aata hai ke:“Ye Kalma 99 Bimaariyo ki Dawa hai.’ Jis me se halki…
Tanhaai bure sathi se behtar hai aur nek saathi… Tanhaai bure sathi se behtar hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi behtar hai tanhaai se." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadess: 4993
Har Nek Kaam me Sadqa hai ... Hadees Of The Day Hadees: Har Nek Kaam me Sadqa hai … Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, Aur kisi Bhatke hue ko Rasta bata dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi Andhe ki Madad kar Dena ye bhi Sadqa hai, Aur Raste se Patthar…
Akhirat Ki Kamiyabi - Iman aur Nek Amal Allah Rabbul Izzat Qur’an Kareem mein farmate hain: “Zamane Ki Qasam! Insan Dar-Haqiqat ghate mein hai, siwaye un logon ke jo iman laaye aur nek amal karte rahe aur ek dusre ko haq ki naseehat aur sabr ki talkeen karte rahe.”– (Surah Asr: Ayat 1-3) Is ayat mein Allah Ta’ala humein ye naseehat de rahe hain ke Aakhirat mein kamiyabi ke liye iman aur nek amal dono zaruri hain. Aayiye, is post mein in dono ka tafseeli zikr karte hain.…
Hadees: Main aur Yateem ki parwarish karnewala… Hadith: 13-June: Sahal bin Sa'd (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Main aur Yateem ki parwarish karnewala jannat me is tarha qareeb honge jaise Shahadat ki Ungli aur Beech wali ungli qareeb hai. 📕 Bukhari 6005
Namaz Jannat ki Chaabi hai Jannat ki Chabi Namaz hai Hadees: Jabir Bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya – “Jannat ki Kunji ( Key / Chaabi ) Namaaz hai aur Namaaz ki Kunji Wuzu hai.” 📕 Jami at Tirmidhi, Hadees-04 (Sahih) Ek aur riwayat me Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhas Namaz padhne ko zaruri samjhe woh Jannat me dakhil hoga." 📕 Muntakhab Hadees Safa :135 in sha Allah ul Azeez! Allah Taala Hume kehne Sun'ne se jyada amal…
Koun se Amal Hume Jannat Le Jayenge? Jannat me le jaane wale Amaal Hadees: Abu Ayyub Ansari (R.A) ne bayaan kiya ki,Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Koi Aisa Amal Bataiye jo Mujhe Jannat me le Jaaye ? Aap (ﷺ) ne Unn se farmaya - "Allah Ki Hee Ibadat Karo! aur Uss ke Sath Kisi aur ko Shareek Na karo, Namaz Qayam karo, Zakaat detey raho, aur Sila Rehmi karte raho" Bas Yahi Amaal Tujhe Jannat me le Jayenge.." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 5983