Islamic Quiz 377 : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki hadith ke hisab se logo ki imamat ka zyada haqdar kaun hai?

islamic quiz 377 image

Islamic Quiz 377

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki hadith ke hisab se logo ki imamat ka zyada haqdar kaun hai?

A. Jo Quran zyada janta ho

B. Jo Umar mein zyada badha ho

C. Jo Sunnat zyada janta ho

D. Jo kabhi namaz qaza na karta ho

Islamic Quiz 377 : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki hadith ke hisab se logo ki imamat ka zyada haqdar kaun hai?

Sahih jawab hai : Option ( A )

✅ Jo Quran zyada janta ho

Daleel :

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Hadees: Abu Saeed Khudri (RA) se riwayat hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya: “Jab teen shakhs ho to unmein se ek Imam ho jaye aur imamat ka zyada haqdar wo hai jo Quran zyada padha ho.” (Sahih Muslim, Vol 2, 1529)

Aur ek dusri riwayat Abu Masud (RA) se hai: “Logon ki imamat wo kare jo Quran zyada janta ho, agar Quran mein barabar ho to jo Sunnat zyada janta ho, agar Sunnat mein barabar ho to jisne pehle hijrat ki ho, agar hijrat mein barabar ho to jisne pehle Islam qabool kiya ho (ek riwayat mein: jiski umar zyada ho).” (Sahih Muslim, Vol 2, 1532)

WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Leave a Reply