Islamic Quiz 373 : Wo aayat Quran ki kaunsi Surah mein hai jismein Allah subhanahu ne Rasool-Allah ﷺ ko namaz ke dauran hi unka rukh Bait Al-Muqaddas se Masjid al-Haram (Kaba) ki taraf karwa diya tha (yaani Qibla change karwa diya)?

islamic quiz 373 image

Islamic Quiz 373

Wo aayat Quran ki kaunsi Surah mein hai jismein Allah subhanahu ne Rasool-Allah ﷺ ko namaz ke dauran hi unka rukh Bait Al-Muqaddas se Masjid al-Haram (Kaba) ki taraf karwa diya tha (yaani Qibla change karwa diya)?

A. Surah Al-Baqara

B. Surah Aal-e-Imran

C. Surah At-Tauba

D. Surah Muhammad

Islamic Quiz 373 : Wo aayat Quran ki kaunsi Surah mein hai jismein Allah subhanahu ne Rasool-Allah ﷺ ko namaz ke dauran hi unka rukh Bait Al-Muqaddas se Masjid al-Haram (Kaba) ki taraf karwa diya tha (yaani Qibla change karwa diya)?

Sahih jawab hai : Option ( A )

✅ Surah Al-Baqara

Daleel :

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Al Quran: “Hum aap ke chehre ko baar-baar asmaan ki taraf uthte huye dekh rahe hain, ab hum aap ko us qible ki taraf pher denge jise aap pasand karte hain. Ab aap apna munh Masjid al-Haram ki taraf pher lijiye aur aap jahaan kahi ho apna munh usee taraf pher liya kijiye. Aur beshak woh log jinhein kitaab di gayi hai yaqeenan jante hain ke unke RAB ki taraf se wahi haq hai, aur Allah be-khabar nahi hai jo woh kar rahe hain.”

📖 Surah Al-Baqara (2), Ayat 144

WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Leave a Reply