Islamic Quiz 265
Surah Fatiha me Maliki Yaum-Ad-deen se Muraad kya hai?
Options Are 👇
A. Insaaf (Qayamat) ke din ka Malik
B. Din aur Raat ka Malik
C. Zameen aur Aasman ka Malik
D. Dunia aur Akhirat ka Malik
Sahih jawab hai : Option ( A )
✅ Insaaf (Qayamat) ke din ka Malik
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
Shuru ALLAH ka naam lekar, jo bada meharbaan aur nihayat raham wala hai.
الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Sab taarif ALLAH hi ke liye hai jo sare jahan ka RABB hai.
الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
Bada meharbaan nihayat raham wala.
مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ
Insaaf ( Qayamat) ke din ka malik
إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
(Ya ALLAH) hum terei hi ibadat karte hain aur tujh hi se madad maangtey hain.
اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ
Humein seedhe raastey chala.
صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ
Un logon ke jin par tune apna inaam kiya,nna unke jin par tu gussa hua aur Na gumraaho ke.