Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6288
Jab Jannati Bandey Allah ka Deedar Karenge: Allah ka… Hadees: Suhaib (R.A) se Riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya: "Jab Jannati Jannat me paunch jayenge, To Allah Ta'ala Unse Irshad farmayenge: "Kya Tum Chahte ho ki Mai Tumko Mazeed Ek Cheez Ata karun Yaani Tumko jo kuch ab tak Ata hua hai us par Mazeed Ek khaas Cheez Inayat karun ?" Wo Kahenge: "Kya Aap ne Humare Chehre Roshan nahi kar diye aur kya Aapne Hume Dozakh se Bacha kar Jannat me Dakhil nahi kar diya ? (Ab…
Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche… Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai: Hadees Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Shaitan insan ke sir ke peeche raat mein sote waqt teen girah (gaath) laga deta hai aur har girah par ye phunk deta hai ki - So ja abhi raat bahut baqi hai phir agar koi bedar hokar Allah Subhanahu ko yaad kare tou Ek girah khul jati hai phir…
Jab Banda koi Nek Amal pabandi se karta rehta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Musa (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, wo kehte hain maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko ek ya do baar hi nahi balke mutaddad baar ye kehte huye suna Ke: "Jab banda koi Nek Amal (pabandi se) kar raha ho, phir koi Bimari ya safar usey mashgool kar de jis ki wajha se usey wo na kar sake, to bhi uske liye itna hi sawab likha jata hai jitna ke uske tandrust aur muqeem hone ki soorat…
Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek… Hadith: Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek ataa karta hain ✦ RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : "Jab koi Musalman aisee dua karta hain jis mein gunah aur Qata rehami na ho to Allah Subhanahu us wajah se teen cheezon mein se koi ek usko ata farma deta hain. Ya to uski dua fauran Qubul farma deta hai, ya uske liye akhirat mein zakheera kar leta hai, ya phir uski koi taklif us…
Jab Tumhe Mehsoos ho ke Tumhari Tabiyat ko... Bujurgon Ke Aqwaal "Jab Tumhe Mehsoos ho ke Tumhari Tabiyat ko Zikre Ilahi se Mohabbat ho Gayi hai, Tou Jaan Jao ke Woh Yaani Allah Rabbul Izzat Tumhe Pasand karta hai.."Hazrat Ali (RaziAllahu Anhu)
Momin tou Aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Sacche Momin ki Pahchan Allah Taala Quran-e-Majid me farmata hai: "Momin tou aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr aata hai tou Unke Dil hil jaate hai, aur Jab Allah ki Aayat unke Saamne padkar sunaayi jaati hai tou wo Aayat unke Imaan ko aur Zyaada kar deti hai, aur wo Allah par Poora Bharosa karte hai. Jo Namaz ki Paabandi karte hai, aur jo kuch Hamne(Allah) Unko diya hai Uss me se Kharch karte hai, Pas…
Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo ۞ Hadees: Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Unhone kaha ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki : "Jab Kapda Pehno Ya Wuzu karo tou apne Daahine se Shuru karo." 📕 Sunan Abi Dawud, Hadees 4141
Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari… Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak "Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. aur tum jo kuch kharch karoge Allah Ta'ala bakhoobi janta hai." 📕 Al-Quran; Surah Aal-e-Imran 3:92
Beparda Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi hoti jab… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Beparda Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi hoti RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke, "Allah Ta'ala tab taq unn Baaligh Aurton ki Dua qubool nahi karta, jab taq wo Hijab (parda) ekhtiyar na kar le." 📕 Abu Dawood, Hadees 641
Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou Allah ke rasool (ﷺ) farmatey hai - "Jab Shaam ka andhera (magrib) hone lagey tou apne baccho ko ghar me rokey rakhoKyunki uss waqt jinn aur shayateen fail jatey hai." 📕 Bukhari, Hadees 3316,📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 2604
Bimari Momeen ko Gunaaho se paak kar deta hai... Bimari, Takleef aur Pareshani se Gunah Maaf ho Jate hai ✦ Bukhaar Momin ko Gunaaho se paak kara deta hai: Abu Huraira (R.A) ne farmaya ki, Rasool-e-kareem (ﷺ) ke paas bukhar ka charcha kiya gaya, tou ek shakhs ne bukhar ko bura kaha. Aap (ﷺ) ne farmaya: "Bukhaar ko bura na kaho !, iss liye ki wo (Momin ko) Gunaaho se iss tarah paak kar deta hai, jaise Aag lohe ki mail ko saaf kar deta hai." 📕 Sunan Ibn…
Jab Banda-e-Momin Wazu Karta Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‘Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke mun’h ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain. *Phir jis waqt Chehra dhota hai is ke Chehre ke Gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki Aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi Gunah nikal jaate hain. *Chehra dhote waqt Guhan daadhi ke kinaro’n se bhi…
Diwaliya aur Muflis Kaun? | Gaali Galaoch aur Geebat… Diwaliya aur Muflis Kaun?Gaali Galaoch aur Geebat karne ka Azab Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, ek baar Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne sahaba se farmaya 'Kya tum jante ho Diwaliya aur Muflis kaun hai? ' Sahaba ne arz kiya ki "Humare yahan tou Diwaliya usey maana jata hai jiske paas na ek Dirham ho aur na tou koi Saamaan!" Aap (ﷺ) ne farmaya: "Meri Ummat ka Muflis wo hai jo Qayamat ke din apne Roza, Namaz aur Zakat ko saath…
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani… Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai ۞ Hadees: Ka'b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi 614; Grade: Hasan