Rizq me Barkat ki Dua | ilm mein izafa ki Dua Rizq me Barkat ki Dua aur ilm mein izafa ki Dua in Arabic, Roman, Tarjumah & Hindi Quran wa Sunnat ki roshni mein. Rizq me Barkat ki Dua in Arabic اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا، وَرِزْقًا طَيِّبًا، وَعَمَلًا مُتَقَبَّلًا Rizq me Barkat ki Dua in Roman "Allahumma inni Asaluka ilman Nafiaa, Wa Rizqan Tayyiba Wa Amalan Mutaqabbala" Rizq me Barkat ki Dua in Tarjumah Aye Allah! main tujhse nafa dene wale Ilm aur pakeeza Rizq aur qubool hone wale amal…
Har Nafs ko Mout ka Maza chakhna hai ( Kullu Nafsin… Kullu Nafsin Zaikatul Mout ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran-e-Majid me farmata hai: ❝ Har jaandar ko mout ka mazaa chakhna hai (Kullu Nafsin Zaikatul mout) aur tumhe Qayamat ke din purey purey badley milenge, phir jo koi Dozakh se door rakha gaya aur Jannat me dakhil hua so wo pura Kamiyab hua, Duniya ki Zindagi tou dhokey ke Maal ke siwa kuch bhi nahi hai.❞ 📕 Surah Aal-e-Imran 3:185 MORE QUOTES ABOUT MOUT Ummido aur Mout ke Darmiyan…
Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai "Aasmano aur Zameen ki har cheez Allah hi ki hai. Tumharey Dilo me jo kuch hai usey tum Zaahir karo ya chupaao Allah us ka Hisaab tum sey lega. Phir jisey chahey bakshey aur jisey chahey Saza de aur Allah har cheez par Qaadir hai " 📕 Surah Baqrah: 2:284
Emanwale ki Pareshani Door Karne ka Silaah Emanwale ki Pareshani Door karne ka Silaah Hadees: Abu Hurayrah (R.A.) riwayat karte hai ki,Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki - "Jo Koi Shakhs kisi Imanwale ki Pareshani ko Door karta hai, Allah Qayamat ke Roz Uss Shakhs ki Ghabrahat ko Door farmayega. Aur Jo koi bhi Shakhs kisi Dusre ki Musibat hal karta hai, Allah Uss Shakhs ke liye Duniya aur Aakhirat ki Mushkeele'n Aasaan bana deta hai. Aur Allah Apne Bande ki Madad karta Rahta hai Jab tak Wo…
Har Aadmi ko us ki Rozi is tarah talash karti hai jaise ... Har Aadmi ko us ki Rozi is tarah talash karti hai Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum me se har aadmi ko us ki rozi is tarah talash karti hai jaise marne wale ko mout." 📕 Sahih Ibn Hibban; Hadees 3307
Nikah ki Mubarakbaad dene ki Dua - Dua for blessings… Nikah karne wale ke liye Dua ۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) jab kisi ko Nikah ki Mubarak-Baad detey tou ye Dua kehte: بَارَكَ اللّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيكَ وَجَمَعَ بَينَكُمَا فِى خَيرٍ 〘 Barak'Allahu Laka Wa Barak Alaik Wa Jama’aa Baynakuma Fi Khairin. 〙 [ Allah tumko barqat de aur tum par barkat nazil kare aur tum dono ko bhalayi ki taufiq dey | (अल्लाह तुमको बरकत दे और तुम पर बरकत नाज़िल करे और…
Hazrate Ali (R.A) se Mushkil Sawalaat ke Khubsurat Jawaab 7 Mushkil Sawaal aur Hazrat Ali (R.A) ke Khubsurat Jawaab Tauraat ke ek Aalim Mujer ne ek martaba Hazrat Ali (R.A) se kuch sawaal puche jinke jawab Hazrat Ali ne diye. Mujer ne pucha: (1) Wo kaunsa mard hai jiska na baap hai na maan? (2) Wo kaunsi aurat hai jiska na baap hai na maan? (3) Wo kaunsa mard hai jiski maan hai lekin baap nahi? (4) Wo kaunsa patther hai jisne jaanwar paida kiya? (5) Wo kaunsi aurat…
Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa… ۞ Hadees: Zaid(R.A) se Riwayat hai ke Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya, Jisne ye kaha to uske gunah muaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se hi Kyu na bhag gaya ho " Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih" (Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi , Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu )
Ramadan Day 17 | Ramzan aur har Maah ke 3 Roze ki Fazilat Ramadan Day 17 ✦ Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:❝ Sabr ke mahine (Ramzan) ke Roze aur har Maah ke 3 Roze seene me moujud kharabiyo ko ....
Insaan ke Badan ke har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Insaan ke Badan ke Har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hain : "Insaan ke Badan ke har Jod par har us Din ka Sadqa Waajib hai Jismein Sooraj Tuloo hota hai. aur Logo ke Darmiyaan Insaaf karna bhi Ek Sadqa hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2707
Har acchi baat sikhana aur har buri baat se rokna Sadqa hai Hadees: Abu Dharr (R.A) se riwayat hai ki kuch (Gareeb) Sahabi Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas aaye aur arz kiya: "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! maal wale sara sawab kama kar le gaye! isliye ki wo Namaz padhte hai jaisa ki hum namaz padhte hai aur Roza rakhte hai jaisa ki hum roza rakhte hai aur apne zyada maalo se Sadqa bhi detey hai. Tou aap (ﷺ) ne farmaya: Tumhare liye bhi tou Allah Subhanahu Ta'ala ne sadqe ka samaan…
Qurbani ki Dua | Dua for Slaughtering Sacrificing an Animal (بِسْمِ اللَّهِ وَاللَّهُ أَكْبَرُ [اللَّهُمَّ مِنْكَ وَلَكَ] اللَّهُمَّ تَقَبَّلْ مِنِّي) " Bismil-lah Wallahu Akbar, Allahumma minka walak, Allahumma taqabbal minnee." (अल्लाह के नाम से ज़बह़ करता हूं। अल्लाह सबसे बड़ा है। [ऐ अल्लाह! यह क़ुरबानी तेरी ही तरफ़ से और तेरे ही लिए है] ऐ अल्लाह! इसे मेरी तरफ़ से क़बूल फ़रमा) (In the name of Allah, and Allah is the greatest. O Allah, (it is) from You and belongs to You, O Allah, accept this from me.) [मुस्लिमः3/1557, ह़दीस…
Dua: Phisalne ya thokar lagne par padhne ki dua Dua: Phisalne ya thokar lagne par padhne ki dua بِسْمِ الله - Bismillah ۞ Hadees: Abu Al Malih (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai,Main RasoolAllah (ﷺ) ke peeche sawar tha ke Aap (ﷺ) ki sawari phisal gayee, "Maine kaha shaitan marey tou Aap (ﷺ) ne farmaya 'aise na kaho ke Shaitan marey islye ke jab tum aisa kahoge to wo phool kar ghar ke barabar ho jayega aur kahega mere quwwat ko iss ne qubul kar liya' , isliye (jab…
Har Gunaaho ki Magfirat Allah ki taraf se! bashartey… Hadees: Anas-bin-Malik (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Wa’tala farmata hain:“Aye Aadam ke Bete! Jab tak tu mujhe pukarta rahega aur mujh hi se Ummiden wabasta rakhega Main tujhe Muaf karta rahunga chahe tere Aamal jaise bhi hon. aur Main (tujhe bakhshte hue) parwah tak naa karunga. Aye Aadam ke Bete! Agar tere Gunaah aasman ki bulandiyon tak bhi pahoch jayen aur tu Mujh se Muafi mange tou Main tujhe muaf kar dunga aur…