Ramadan Day 21 | Shab e Qadr ko kab Talash Kare... Ramadan Day 21 ۞ Hadees: Hazrate Aayesha (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Shab-e-Qadr Ko Ramzan ke Aakhri Ashre ki Taaq Raato (21, 23, 25, 27, 29) me Talaash karo...
Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey… ♥ Mafhum-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey Jo Maal aur Shakal aur Surat me Uss se Badhkar hai tou uss Waqt usey aisey Aadmi ka Khayal karna chahiye jo Uss se kum darje ka hai." - Sahih Bukhari, Vol-7, Hadith 6490
Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti ... Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti Ismey koi Shaq Nahi ke Allah aur Uskey Rasool ka Paigaam Haq hai, Allah Ta'ala Quraan-e-Kareem ki Muabarak Aayat me farmata hai ke - ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Bhalayi aur Burayi Ek Jaise nahi ho Sakti tou tum Burayi ko Apne Bhale Sulook se Door kar Do, Phir kya Dekhoge ki Jis Shakhs aur Tumhare Beech Dushmani thi Unme aisa ho Jaayega jaise koi Pakke Dost hote hai." 📕 Quran 41:34 Iss Mudde…
Jo Ilm ki Talash me Nikla Uske liye Jannat ka Raasta aasan Ilm ki Talash me Jannat ka Raasta RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs ilm Haasil karne ke liye koi Raasta tay karta hai to Allah Ta'ala Uski wajah se Uske liye Jannat ka Raasta Asaan Kar Deta hai." 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees: 3643 (Sahih)
Hadees: Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza… Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah se daro aur rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de." 📕 Shoebul Imaan, Hadees : 10376
Kisi ke Aib ki talash me mat raho Kisi ke Aib ki talash me mat raho Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Imanwalo! Kisi ke Aib ki talash me mat raho." 📕 Surah Al-Hujurat 49:12
Hadith: Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us… Hadith: 8-April: Abu Masood Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jisne kisi ko bhalayi ka rasta dikhaya to us shakhs ko bhi amal karne wale ki tarah sawab milega. -Abu Dawood 5129
Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou ... Hadees of the Day Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye Hazrate Ali (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah ki Qasam! agar tumhare Zariye ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou wo Tumhare liye Surkh Untoun (Camel) se behtar hai." 📕 Muslim, Hadees 2406 Surkh Unthon ki Naslo me se sabse behtareen Nasl hai, aur Allah Uss Bandey se jyada raazi hota hai Jo Logon Me Awaam me hidayat ki Dawat deta hai,…
Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta… Shaitan Aadmi me khoon ki tarha gardish karta rehta hai Hadees: Jabir (R.A) se riwayat hai ke,Allah Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aisi Auratoun ke paas naa jao jin ke Mahram unke saath naa ho kyun ke Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta rehta hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1172
Insaan ke Badan ke har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Insaan ke Badan ke Har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hain : "Insaan ke Badan ke har Jod par har us Din ka Sadqa Waajib hai Jismein Sooraj Tuloo hota hai. aur Logo ke Darmiyaan Insaaf karna bhi Ek Sadqa hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2707
Khush-haal logon ki tarah Na-shukri karne se bacho ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Asma Bint yazeed Ansaria (RaziAllahu Anha) se riwayat hai ke, wo kehti hain ke Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) mere paas se guzrey, aur mai apni saheliyon ke saath baithi thi. Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne hamein salaam kiya aur farmaya: "khush-haal logon ki tarah na-shukri karne se bacho..." Maine kaha: "Aye Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam)! khush-haal logon ki na-shukri kya hoti hai ?.." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Mumkin hai ke tum mein se…
Buzurgo ke tazeem ki Fazilat : Jo jawaan Aadmi kisi… ۞ Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Jo Jawaan Aadmi kisi Budhe(Buzurg) ki Tazeem iss ke Budhape ki bina per karega tou Allah Ta'ala iss ke Budhaape ke waqt kuch aise logo ko tayyar farma dega, jo budhape me iss ka Aa’ziz wa Akraam karenge." 📚 Mishkaat Jild 2, Safa 1423 Sah Al’mutabeh
Hadees: Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar… Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah sirka Shahad ko kharab kar deta hai." 📕 Tibrani Kabeer, Hadees 10777