Contents
Haiz Is Khoon Ko Kehte Hain Jo Balegha Aurat Ke Raham Se Har Maah Nikalta Hai, Iska Kum Se Kum Waqt Ek Din Aur Ek Raat Hai Aur Ziyada Se Ziyada 15 Din Hai. A’am Taur Par 6 Ya 7 Din Aata Rehta Hai.
Haiz-O-Nifaas Ke Ayyam Me Mamno (forbidden) A’amaal
1. Namaaz Aur Roza Ki Mumaneat:
Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
‘Jab Aurat Haiz Se Hoti Hai To Wo Namaz Nahi Padhti Aur Na Roza Rakhti Hai.’
– (Bukhari: Al Haiz 304 – Muslim: Al Eman 79)
Ek Aurat Ne Ayesha (RaziAllahu Anha) Se Dariyaft Kiya:
‘Kya Wajah Hai Ke Haaeza Aurat Roze Ki Qaza Tou Deti Hai, Namaz Ki Nahi ?’
Aisha (RaziAllahu Anha) Ne Farmaya: ‘Rasool’Allah Ke Zamane Mein Hamein Haiz Aaya Karta Tha Tou Hamei’n Roze Ki Qaza Ka Hukam Diya Jaata, Tha Magar Namaz Ki Qaza Ka Hukam Nahi Diya Jata Tha.’
– (Muslim: Al Haiz 335)
2. Haeza Se Sohbat Karne Ki Mumaneat:
Haiz Ki Haalat Me Aurat Se Mujamat Karna Saqht Gunah Hai, Allah Ta’ala Ne Quran-e-Majeed Me Farmaya:
‘Pas (Ayyam) Haiz Me Aurato’n Se Kinara Kasha Karo (Ya’ani Sohbat Na Karo).’
Agar Koi Is Gunah Ka Murtakib Hojaae To Nabi-e-Akram (Salallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya:
‘Jo Shakhs Bahaalat Haiz Apni Aurat Se Sohbat Kare To Isey Chaahiye Ke Nisf Deenar Khairat Kare.’
– (Abu Dawood: Al Tahaara 264 – Tirmizee: Al Tahaara 136) Imam Malik (V1 P171‐172) Aur Imam Zahabi Ne Ise Saheeh Kaha Hai.
– Deenar Sadhe Chaar (4½) Mashes One Ka Hota Hai, Nisf Deenar Sawa Do Mashe (2¼) Hua. Sone Ki Qeemat Sadqa Kare Ya’anee Kisi Mustahiq Ko De Dey Aur Aainda Ke Liey Tauba Kare.
*Ibne Abbas(RaziAllahu Anhu) Farmate Hain: “Agar Haiz Ka Rang Surqh Hai Tou Ek Deenar Aur Agar Haiz Ka Rang Peela Hai To Nisf Deernar Khairaat Kare.”
– (Tirmizee: 138 – Abu Dawood: An Nikaah 2169) Albani Ne Muquf Riwayat Ko Saheeh Kaha.
3. Tawaf-e-Ka’aba Ki Mumane’at:
♥ Mafhoom-e-Hadees Hai ke : “Haiza Aurat (Hajj me) Har Wo Kaam Karey jo Haaji Karte Hai Siway Khana-e-Kaba ke Tawaf ke, aur wo Tawaf (Haiz se Paak Hokar) Gusl karne ke ba’ad karey..”
– (Bukhari: al Umrah 1785 – Muslim 1216)
Gusl, Haiz me Namaaz Aur Roza Ki Mumaneat, Haiza Aurat Se Jima Karna Haram, Haiza Aurat Tawaf-e-Ka’aba na Kare, Napaak, Ghusl for Women, Islam Menstruation, Menstruation and Islam, Menstruation or Period, Ghusl after menstruation, Muslim girl Period, ghusl dua after period, about periods in islam, muslim ghusl, aurat ki mahwari
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.