Jubair bin Mut`im (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “Qataa Rahmi karney wala (Yaani Rishtey todney wala) jannat me nahi jayega.”
✦ हिंदी हदिस: जुबैर बिन मुतिंम रज़ी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया “कता रहमी करनेवाला (यानी रिश्ते तोड़ने वाला) जन्नत में नहीं जायेगा”
Jadugar ka Anjam: Kala Jaadu (Black Magic) karne… https://www.youtube.com/watch?v=GTHJhi5Ewsw Kala Jadu karne walo ka Anjam Kala Jaadu karne wala Jadugar jab ICU mein admit hua, suniye uska kya haal hua., hairatnaak aur ibratnaak waqiya Doctor ki zubani jisne us jadugar ka ilaaj marte dum tak kiya !! काला जादू करने वाला जादूगर जब ICU में एडमिट हुआ। jadu karne wale ka anjam quotes, kala jadu karne wale ki saza, jadu karne walo ka anjam, jadu karne wale ki saza in islam quotes, jadugar ka anjam, jadu karne wale…
Walid Jannat Ka Markazi Darwaza Hai Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai Abu Darda (R.A) farmate hai ke,Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko ye farmatey huye suna, "Walid (Baap) Jannat ka Markazi Darwaza hai, Ab ye Tumhari Marzi hai ke Tum Iss Darwazey ko Zaya Karo (Yaani Iss Ko Naraaz kar ke Jannat se Mehroom bano) ya Iski Hifazat karo (Yaani Iss ki Khidmat ke Raste se Jannat me Dakhil ho jao.)” 📕 Jameh Tirmazi, Hadees: 1900, 📕 Sunan Ibne Majah, Hadees: 2089, 📕 Musnad…
Har Shakhs Khataa karne wala hai, Lekin Behtar… Har Shakhs Khataa karne wala hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Har Shakhs Khataa karne wala hai aur Behtar Khata karne wala woh hai Jo Taubah kar le." 📕 Tirmidhi, Hadees 389 Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Uss Shakhs ke liye Khushkhabri hai Jo Apne Naam-e-Amaal me bohot Ziyada Astaghfar paaye." 📕 Ibn-e-Majah, Hadees 3818
Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
Jisne Farz Namazo ke alawa Din Raat me 12 rakat ada… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momineen Umm Habiba (RaziAllahu Anha) se Rivayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Jisne Raat Din me 12 Rakat (Sunnat) Namaz ada ki uske liye Jannat me ek Ghar banaya jayega, Umme Habiba (RaziAllahu Anha) ne kaha ki jab se maine ye Hadees RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Suni, maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha..." - (Sahih Muslim, Vol 1, 1694) ✦ Ulema-e-Deen ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat…
Puraa Badla De Diya Jayega: Hadees Hadees: Hazrate Sa'ad bin Abi Waqqas (R.A) bayan farmate hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Allah ki Raza (Allah ko Raazi Karne) ke liye jo bhi Tumne Kharch kiya Uska Tumhe Allah se pura pura badla de diya jayega, Yaha Tak ki Agar Tumne apni Biwi ke Mooh me Niwala bhi Rakha hoga tou uska bhi." 📕 Sahih Bukhari Book 2, Hadees 53
Behtareen Akhlaaq wala sab se Kamil Momin hai ❝ Behtareen Akhlaaq wala sab se Kamil Momin hai aur Tum me behtar woh hai Jo apni Aurto ke Haq me Acchey hai.❞ Roman Urdu: Hadis-e-Nabwi ﷺ Tirmizi, Jild: 1, Page: 595 ❝ बेहतरीन अखलाख वाला सबसे कामिल मोमिन है और तुम में बेहतर वो है जो अपनी औरतों के हक़ में अच्छे है।❞ हिंदी: हदीस-ऐ-नबवी ﷺ - तिरमिज़ी ; जिल्द १, पेज ५९५ ❝ The most complete of the believers in faith, is the one with the best character among…
Rishte Naate Jodne ka Matlab ye Nahi ki sirf Badla… Rishte Naate Jodne ka asal Matlab Burai karne wale se Bhalai karo Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya ki: "Kisi Kaam ka Badla dena Sila Rehmi nahi hai balki Sila Rehmi karne wala wo hai ki jab Uskey Sath Sila Rahmi ka mamla na kiya ja raha ho tab bhi wo Sila Rehmi kare." 📕 Bukhari, Hadees 5991
Reedh ki Haddi se Insan Dubara Paida kiya jayega Reedh ki Haddi se Insan Dubara Paida kiya jayega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : “Insan (ke Jism) ka har Hissa Zameen kha Jaati hai Siwaye Reedh ki Haddi (Tailbone) ke. Usi se Woh Paida hua hai aur Usi se Woh (Mout ke baad) Dobara Paida kiya Jayega.” 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2955 (7415)
Shab e Barat yaani Sahaba ko Gaali dene wala din… Shab e Barat Shia ka festival hai, Sahaba ko Gaali dete hai Shia is din, Dekhe Sunni Ulemao ne kaise khol di inki pol Shab e Barat ki ibteda Shiao se hui hai, Sahaba aur Ahle Sunnat wal jamat se nafrat ka ijhaar karne wale din ko Shia log Shab e Baraat ke naam se manate hai. is video ko dekhkar koi Gustaak hi hoga jo Shab e Barat manayega. Allah Hidayat de Ummat-e-Muslima ko aur aise tamam gusthakana rasmo…
Jannat ka Khazana: La Houla Wala Quwa'ta Illa Billah… Jannat ka Khazana ۞ Hadees: Abu Musa Ashari (R.Au) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Kya Main tumhein Jannat ke khazano mein se ek khazana batlaau ?” Maine kaha (Zarur) batalaiyye. Aap (ﷺ) ne farmaya , ‘Laa Hawla Wa Laa Quwwata illa Billah‘ (Allah ki Madad ke bagair Gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki Quwwat nahi.) 📕 Sahih Muslim, Jild 6, Hadees 6868 Ek aur riwayat me aata hai ke:“Ye Kalma 99 Bimaariyo ki Dawa hai.’ Jis me se halki…
Gunaho ko Mitaane wala Amal: Hadees ۞ Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) farmaya karte thay - "Jab Insan Kabeerah (Badey) Gunahon se bach raha ho tou Paanch Namazen, ek Jumah se (doosre) Jumah tak aur ek Ramzan se Doosre Ramzan tak, ke beech mein hone wale Gunahon ko mitane ke sabab hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees no. 552 ♥ In’sha’Allah ul Azeez!!!Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey,..
Hadees: Jo koi apne Ghulam ko Zulm se marega tou… Hadith: 16-April: Ammar bin Yasir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo koi apne Ghulam (naukar wagaira) ko Zulm se marega tou Qayamat ke din maalik se badla liya jayega. 📕 Musnade Ahmed 1399