Jo shakhs khud ko bada samjhta hai Allah us se Naraz hoga
Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
‟Jo shakhs apne aap ko bada samjhta haiya Takabbur ke saath akad kar chalta hai,Qayamat ke din woh Allah Taala se is haal me milega ke Allah Taala us se Naraz hoga.”
7 (Saat) Aise Azkar Jinka Jawab "Allah Ta'ala" Khud Deta Hai ✦ Mahfum-e-Hadees: Anas (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ek Aairabi Sahabi (Bedouin) RasoolAllah (ﷺ) ke paas aaya aur kahne laga "Ya RasoolAllah (ﷺ) Mujhe khair (wale Kalimat) seekha dijiye. RasoolAllah (ﷺ) ne uska Hath pakad kar farmaya kaho "Subhanallah Walhamdulillah Wala Ilaha Illallah Wallahu Akbar" Uss Aarabi ne in kalimat ko apni Ungliyoh par Geena aur sochta hua chala gaya phir wapas palta tou RasoolAllah (ﷺ) Muskurane lage aur Uss se farmaya "Tum kyu ek Naummeed shakhs ki tarha…
Hadees: Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone… Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare Abdullah ibn Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare, woh jhagde se Nikalne tak Allah ke Gazab me rehta hai." 📕 Abu Dawood, Hadees 3597
Hadith: Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada… Hadith: 6-April: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye. -Shoaib Ul Iman 7445
Hadees: Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Hadees of the Day Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah ke samne kodhi (leprosy) ho kar pesh hoga." 📕 Abu Dawood 3244
Shirk Karne Wale Khud Apne Anjam Ke Jimmedar Hongey Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Ta'ala farmata hai, "Mai beparwah hun Sharikon se! jisney koi aisa Amal kiya jis me mere saath mere Gair ko Shareek kiya tou Mai usko aur uskey Shirk ke Kaam ko (Unkey haal par) Chorh deta hun." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 4342-Sahih by Darussalam
Khushnaseeb hai wo shakhs jo nasihat hasil kare Khushnaseeb hai wo shakhs jo nasihat hasil kare Hadees: Abdullah bin Masood (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke "Khushnaseeb hai wo shakhs jo doosro se nasihat hasil kare." 📕 Sunan Ibne Majah, Hadees 46
Jo shakhs Allah se milne ko pasand karta hai ... Jo shakhs Allah se milne ko pasand karta hai Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shaks Allah se milne ko pasand karta hai, Allah bhi us se milne ko pasand karta hain aur jo shaks Allah se milne ko pasand nahi karta, Allah bhi us se milne ko pasand nahi karta." Hazrate Aisha, ya Aap (ﷺ) ki kisi biwi ne kaha: "Lekin maut ko to hum bhi pasand nahi karte." Aap (ﷺ) ne farmaya: "Allah ke milne se mout muraad…
Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga ? Hadees-e-Nabwi (ﷺ) Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga ? Allah ke Rasool (ﷺ) farmatey hai :“Uss Waqt Tumhara Kya Haal Hoga? Jab Tumhare Naujawan Badkaar (Characterless) ho Jayenge aur Tumhari Ladkiyan aur Aurtein Tamaam Hadood Phallaang (Limit Cross) kar jayeingey. Sahaba Karaam ne Arz Kiya:"Ya Rasool’Allah (ﷺ)! Kya Aesa bhi Hoga?" Aap (ﷺ) ne farmaya:"Haan! Aur Uss se Badh kar, Uss Waqt Tumhara kya Haal hoga,Jab Na tum Bhalayi ka Hukm Karoge, Na Burayi par Aitraaz karoge!" Sahaba ne arz…
Jo Shakhs Allah Ta'ala ki Raza ke liye ek din ka… ✦ Roman Urdu Hadees ✦ Abu Umamah Al Bahili (R.A.) se Riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaya: "Jo Shakhs Allah Ta'ala ki Raza ke liye ek din ka Roza rakhega tou Allah Ta'ala us ke aur Jahannam ke darmiyaan ek Aise Khandaq bana dega Jis ki Masaafat (distance) Aasmaan wa Zameen ke Darmiyaan ke baraabar hogi." 📕 Jami` at-Tirmidhi 1624-Hasan ✦ हिंदी हदीस : अल्लाह के लिए रखे हुए एक दिन के रोज़े की फ़ज़ीलत ✦ अबू…
Hadees: Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya… Hadith: 21-June: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya jaaye wo us me ameen (Amanatdar) hai, lihaja Amanatdari ke sath mashwara do. 📕 Jami` at-Tirmidhi 2822
Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Bada Martaba Pa… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya: “Momin Apne Acchey Akhlaq Ki Wajah Se Unn Logon Jaisa Martaba Paa Leta Hai Jo Raaton Ko Ibadat Karte Hai Aur Din Ko Roze Rakhte Hai.” - (Sahih Mustadrak Haakim, 198) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अल्लाह के रसूल (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: “मोमिन अपने अच्छे अखलाख की वजह से उन लोगो जैसा मर्तबा पा लेता है जो रातों को इबादत करते है और दिन को रोज़े रखते है.” - (सही मुस्तदरक हाकिम, 198)…
Jiske Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo… Allah khubsurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya Ke,"Jis Aadmi ke Dil me Jarrey Barabar bhi Guroor Hoga Wo Jannat me nahi Jayega!". Ek Aadmi ne Kaha 'Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! "Hum me Har Aadmi yah Chahta hai ki, Uska Libaas Accha ho, Jutaa Accha ho tou kya yah Ghuroor hai ?" Aap (ﷺ) ne farmaya "Allah Ta'ala Khubsurat hai aur Khubsurti ko Pasand karta hai,"Guroor…
Islam ka Sabse Bada Dushman Koun hai? Islam Ka Sabse Bada Dushman Koun hai? Islam ka Sabse Bada Dushman Zahil Musalman hota hai,Jahalat Usey Besabr Bana deti hai,Uski harkato se Islam ki Chavi Kharab Hoti haiaur jab Log Uski Taraf dekhte hai tousochtey hai ke "Yahi hai Islam!" 📕 Shaikh Ahmed Didat (Rehmatulahi Alaihi) इस्लाम का सबसे बड़ा दुश्मन अज्ञानी मुसलमान है, अज्ञानता उसे असहिष्णु बनाती है, उसकी हरकतों से इस्लाम की छवि खराब होती है, और जब लोग उसकी तरफ देखते हैं तो सोचते हैं के…