۞ Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke RasoolAllah (ﷺ) farmaya karte thay –
“Jab Insan Kabeerah (Badey) Gunahon se bach raha ho tou Paanch Namazen, ek Jumah se (doosre) Jumah tak aur ek Ramzan se Doosre Ramzan tak, ke beech mein hone wale Gunahon ko mitane ke sabab hai.”
Shab e Barat yaani Sahaba ko Gaali dene wala din… Shab e Barat Shia ka festival hai, Sahaba ko Gaali dete hai Shia is din, Dekhe Sunni Ulemao ne kaise khol di inki pol Shab e Barat ki ibteda Shiao se hui hai, Sahaba aur Ahle Sunnat wal jamat se nafrat ka ijhaar karne wale din ko Shia log Shab e Baraat ke naam se manate hai. is video ko dekhkar koi Gustaak hi hoga jo Shab e Barat manayega. Allah Hidayat de Ummat-e-Muslima ko aur aise tamam gusthakana rasmo…
Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai ke - “Salaam Me Pehal Karne Wala Ghamand Se Paak Hai”. – (Mishkat Sharif, Jild 2, Page-684, Hadees-4434) *Hiqmat: Yaad Rakhiye Ek Ghamandi Insan Hi Dusro Ko Apne Se Kamtar Samjhta Hai ,.. Isiliye Wo Logon Se Dua Salam Karne ke Bajaye Ummid Karta Hai Ke Log Uss Se Dua Salam Me Pehal Kare ,.. *Aur Afsos Ki Baat Hai ! Aaj Musalmano Me Chand Fikri Ikhtelaf Ki Buniyad Par Dua Salam…
Hadees: Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Allah ke Nazdeek Izzat wala banda Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Hazrat Musaa (Alaihi Salam) ne Allah Taala se daryaft kiya ke Aap ke nazdik sabse jyada Izzat wala banda koun hai?" Allah Taala ne farmaya ke: "Jo badla lene ki Quwwat ke bawajud bhi muaf kar de." 📕 Sho'abul Iman 8327
Maah-e-Muharram ki Fazilat, Masnoon Amal aur Biddatein ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Muharram ki Fazilat ۞ Quran Majid ne 4 Mahinon ko Hurmat wala qaraar diya hai, inme se ek “Muharram” hai. 📕 Surah Tauba 9:36, 📕 Sahih Bukhari Hadees-3197 ۞ Nabi Kareem (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai. 📕 Sahih Muslim-1123, 📕 Sunan Abu Dawud-2429 ۞ Muharram ke mahine me Nafeel Roze rakhna Ramazan ke mahine ke Rozon ke baad Afzal tareen Roze hain. 📕 Sunan Abu Dawood 2429 ۞ Muharram Qamari (Chaand…
Hadees: Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar… Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah sirka Shahad ko kharab kar deta hai." 📕 Tibrani Kabeer, Hadees 10777
Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna: Hadees Apne Maa Baap ki Kabhi Nafarmani Na karna Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai: "Apne Maa-Baap ki Kabhi Nafarmani Na Karna, Chahe Woh Tumko Ghar aur Maal Wa Jaydaad Chhodne ka Huqm Dein." 📕 Musnad-e-Ahmad: Hadees 21570 • Note: Bashartey Baat Khilaf-e-Shariyat Na ho
Har Shakhs Khataa karne wala hai, Lekin Behtar… Har Shakhs Khataa karne wala hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Har Shakhs Khataa karne wala hai aur Behtar Khata karne wala woh hai Jo Taubah kar le." 📕 Tirmidhi, Hadees 389 Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Uss Shakhs ke liye Khushkhabri hai Jo Apne Naam-e-Amaal me bohot Ziyada Astaghfar paaye." 📕 Ibn-e-Majah, Hadees 3818
Allah Taala Bure khayalat muaf kar deta hai jabtak… Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ne Meri Ummat ko Bure Khayalaat ki Had tak Muaf kiya hai jab tak Us par Amal na kare ya Usey Zubaan se ada na kare." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 5269
Sabse Behtar Amal (Neki) Jo Humesha kiya Jaye Sabse Behtar Amal (Neki) Jo Humesha kiya Jaye Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Beshaq Allah Taala ke Nazdeeq Sabse Behtareen Amal (Neki) wo hai jo humesha kiya jaye chahe wo kum hi kyun na ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6464
Mah-e-Shaban ki Fazilat, Hamare Amal aur Shabe Barat… https://www.youtube.com/watch?v=XVYHON8_FTc Mah-e-Shaban ki Fazilat, Hamare Amal Shaban ke mahine ki fazilat kya hai aur is mahine humare amal kaise ho ? Shabe Barat ki Galatfehmiya, aur iske talluk se tafseeli jankari ke liye Aayiye hum Janab Mohtaram Aalim Advocate Faiz Sayd ke Bayan ka mutala karte hai,. baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,. JazakAllahu Khair kaseera
Shohrat ke Waste Ilm Haasil karne wala Dozakhi hai ... Shohrat ke Waste Ilm Haasil karne wala Dozakhi hai Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Jo Insan Deen-e-Islam ka Ilm Sirf Isliye Sikhna chahta ho ke Uss Ilm ke Jarye wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) par Fakr (Ghamand) kare, Ulema (Scholar) se Jhagda kare, Logon me Aalim ke taur par Mash'hoor (Famous) ho jaaye aur log Uski Izzat kare tou aesa Insan Dozakh me jaaega." - Tirmizi #2654, Ibne Majah #253 ♥ Allahu Akbar !!! - Allah Rabbul Izzat Humey Ikhlas…
Mushrik ki Misaal ~ Aasman ki bulandiyo se gir jane wala Mushrik ki Misaal ~ Aasman ki bulandiyo se gir jane wala ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Allah ke sath kisi ko Shareek thehraata hai, wo aisa hai goya aasman ki bulandiyo se wo gir gaya aur aasman ki bulandiyo se girne ke baad usey ek parinda uchak le jaye ya fir koi hawa chale aur jaha chahe usey tinkey ke jaisa uthakar fenk dey." 📕 Al-Quran; Surah Al-Hajj 22:31
Kya Quran Padhe Tou Amal Karna Padta aur Na Padhe… – Quraan Se Doori Ki Ek Intehayi Ghatiya Wajah Yeh Bhi Hai Ke - "Quraan Padhey Tou Amal Karna Padta Aur Naa Padhe Tou Bach Jatey,.." Subhan’allah!! # Agar Wakay Me “Quran Ko Padhey Tou Amal Karna Padta Aur Na Padhey Tou Chal Jata” Iss Usool Ko Maan Ley Tou Hume Batayiye Sabse Pahle Jannat Ka Mustahik Koun ? ... - Jaahir Si Baat Hai Kaafir Hi Jannat Ke Mustahik Hotey ,.. Wo Tou Kehetey Ke – “Aye Allah Padhna…
Ramadan Day 23 | Ramzan ke Aakhri ashre me… Ramadan Day 23 ۞ Hadees: Umme Aisha (R.A) se riwayat hai ke: ❝Jab Ramzan ka Aakhri ashra aata to Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) saari Raat Ibadat ke liye khud bhi jagte aur apne ghar walon ko bhi...