Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees

Gaali Galoch karne Waale Shaitaan hai: Hadees

Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaaya –
“Gaali-Galoch karne waale Dono Shaitan hain,
Woh Ek-Doosre par Ilzaam Lagaate aur Jhoot boltey hain.”

📕 Musnad-e-Ahmad, Hadees: 17483

Ek aur riwayat me aata hai ke –

Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai ke:
“Ek Munafiq ki Alamat hai Gaali dena.”

📕 Sahih Al-Bukhari, Hadees: 2459

Afsos ki baat hai –
– Aaj ye Khabahat yeh Burayi Ummat-e-Muslima ko Nasoor ki tarha lag gayi hai.
– Chote Se Chote Ikhtelaf me bhi Gaali Galoch ka Rawayya Ikhtiyar karne me Aaj hum pichey nahi hat’tey.

– Allah Reham kare – Ye Buraayi Aaj Aam Hum’me bilkul aam ho gayi hai.
– Bachho se le kar Bujurg Aksar ess Hunar me Maharat haasil kar rahe hai, Allah Reham karey.

Jabki Shairiyat ne roka hume Shaitani fitrat ke ess Amal se.

Tou Beharaahl Hum Tamam Ko Chahiye Ke
– Gaali Galoch jaisi Shaitani Fitrat se khud bhi Bachey aur Dusro ko bhi iski Talqeen kare.
– Kitabo Sunnat ke Mutabik apne amal ka muazna karte rahe.

Aur Gour karna chahiye ke –
– Gaali Galoch Karke Hum Hakikat me Kis Ki Sunnat Par Amal Kar Rahe Hai.

♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
# Allah Rabbul Izzat Hume Tamam Akhlaqi Burayiyon se bachaye,
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhey,
# Khatma Humara Imaan Par Ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!Allah


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *