Quran ko Chorne walo ka Anjam:
Allah ke Zikr ko yaani Quraan-e-Kareem se Doori Iktiyar Karnewale tou beharhaal Beshumar Nuqsaan Uthayenge. Itna Mumkin nahi Humare liye ke hum sab ka tazkira kar sakey. Hum yaha Chand hi hum Nuqsanaat par gour karenge.
1) Pehla Duniyawi Nuqsaan: Taqleefdeh Zindagi
Jo log Quraan Chorr de, Iski Fazilato ka fayda na uthayenge wo duniyawi sabse pahla Nuqsaan yaani “Takleefdeh Zindagi, Buri zindagi, zillat aur ruswayi ki zindagi, Rozi aur Rizq ke Aitbaar se kamtar zindagi jiyenge.”
Jiskey Talluk se ek Aayat me Allah Rabbul Izzat ne farmaya –
Jo Mere Zikr se Airaaj karega ! Hum Uski Mayishat ko Barbad kar dengey!”
– (Surah Taha 20:124)
Gour karne waali baat hai Mere Azeezo! Allah Ta’ala wada karta hai Iss Aayat me ke “Jo Uskey Ziqr se Airaaj karega Allah Uski Mayishat yaani Rozi aur Rizq barbad kar ke rahega aur Rizq me Sirf Maal-O-Doalat hi nahi balki Aulaad bhi Shamil hai isme.
* * * * *
2) Dusra Duniyawi Nuqsaan: Shaitan ka Tasallud aisi Qaumo par
Jo Log Quraan ko chorr detey hai aise Logon par aur aisi puri ki puri Qoumo par Shaitan ka tasallud hone lagta hai. puri Nasl ki Nasl Allah Barbad kar deta hai.
Jiske Talluk se Allah Rabbul Izzat ne farmaya –
Jab Mera Banda mere Ziqr se Airaaj karta hai tou Hum Uske Upar ek Shaitan Musallat karte hai aur Wo Uska Humesha ka Saathi marne tak ban jata hai aur wo Usko Humare (Yaani Allah) ke Rastey se Behkata bhatkata hai aur aisa Dikhata hai ke tum tou Hidayat par ho, bus Chaltey raho jaisa kar rahe ho.
– (Surah Zukruf 43:36-37)
*Subhan’Allah! kaisi Gumrahiya aati hai Mere Azeezo gour karne Waali baat hai ke jab Allah ke zikr Se Insan Bohot dino tak Door rehta hai tou Ek Shaitan Allah us par Sawar kar deta hai aur wo marne tak Uska saathi ban jata hai.
Wo Shaitan Usko Allah ki raah se rokta hai aur na sirf rokta hai balki wo jis galat tareeqe par Jee raha hai Uss Tareeke ko hidayat ka rasta batakar usey usi par chalaata rehta hai.
Allah Bachaaye Hume Shayateen ke sharr se.
* * * * * *
C) 3rd Duniyawi Nuqsan: Zillat aur Ruswayi ki Zindagi
Quraan ko Chorrkar hakikat me Zillat aur ruswayi ki Zindagi jitey hai hum. Iske Talluk se ek Riwayat me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
Iss kitab ke Wajah se Allah Bohot se Logon ko Urooj deta hai aur Bohot se Logon ko Jalalat aur Gumrahiyo me dalta hai.
– (Sahih Muslim)
Tou Jin Logon ne Iss Kitab ko uthaya, Ispe Amal kiya! Allah ne Unhe Urooj diya, Iske Beshumar wakiyat Moujud hai Humare aslaf ke, ke Inke Jitey ji tou Inhe koi dhakka lagana bohot door Inke Haddiyo ke sath bhi Khjilwad karne ki Himmat nahi thi kisi ki.
Ye tou raha Door ke kisi Muslaman ki koi Izzzat aur aabru loot le.
Lekin Aaj Hum dekhe –
Kya Humara kisi par koi Urooj aur galba hai ?
Kya Izzat ki Zindagi Jee rahe hai Hum ?
Aaj Jitey ji Humari Kya Value hai aur kya wajan hai ?
Wohi wajan hai Humara Jo Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya tha –
Ek Zamana Aayega Jab Tumhari Tadaad tou bohot hongi lekin Tumhari Misaal Samandar ki Jhaag Jaisi hogi.
– (Sunan Abu Dawud, Hadees-892)
Aur Hum Jantey bhi hai ke Samndar ke Jhaag ki koi Value nahi hoti, Wo aata hai bohot jyada rehta hai, Jab Samndar ka paani wapas jata hai tou thodi der me bulbuley khatam ho jatey hai.
Ye Sab Mehaz Iss liye ke Humney Allah ke Zikr se Yaani Quraan se doori Ikhtiyar kar li aur Hum Duniya ke Mohtaj ho gaye, Jab ki Hum tou Logon ko dene waali Qoum thi, Lekin aaj lene wale ban gaye hai.
Lihaja hume chahiye ke hum Kitabo-Sunnat se wo rishta jod le jaisa Rasool’Allah ne hume taleem di, jaisa Sahaba ne Ispar Amal kiya aur rehti duniya tak Allah Ta’ala ne Inhe Sirate Mustakim par chalne waali Misaale bana di.
* * * * * *
D) 4th Barzakh me Nuqsaan:
Ek Riwayat me aata hai ke – Qabr me Mout ke Farishtey Insan se 3 Sawal Karenge aur Jo Shakhs Iska Jawab Nahi de payega Farishtey Uss se bhi Puchenge “Ke Sawal ka Jawab kyu nahi de paya.”
Tou wo Shakhs Kahega “Maine Na Quraan Padha aur na Iske Paigaam ko Samjha.”
To Farishtey Ek Gaz (Lohe Ki Salaakh) Le kar Aayenge aur Itney Jor se Uskey Sir par Marenge ke Uska Sir Chura-Chura ho jayega, Zameen aur Aasman me Jinn aur Ins Chorkar Tamam Makhlooq Uski Takleef Bhari Cheekh Sunenge.
Aur phir Sir Sabit ho jayega, phir mara jayega, Qayamat tak ye Silsila Chalta rahega.
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya :
“Kya Tumhe Bataau ke Wo Gaz kitni wajni hoti hai ke Agar koi badey pahaad par bhi Maar di jaaye, tou Usey Reza-Reza kar degi. (Yaani Particles aur Atoms me Tabdil kar degi)” aur Agar pahle Insan se Lekar Aakhri Insan tak aur Pahle Jinn se lakar Aakhri Jinn sab bhi Mil jaye tou Isey hila bhi nahi Sakti Itni wajni hoti hai ye ek gaz.”
– (Sahih Bukhari, Hadith No. 1374)
Aur sir par Isliye mara jayega Kyunki yahi Marqaz tha na Sikhney-Sikhane ka uska Istmal na kiya isiliye.
* * * * *
E) 5th Aakhirat me: Andha Utahya Jayega
Allah Rabbul Izzat Quraan me Ek Jagah farmata hai –
Jo Musalman Quran Nahi Padhega ! Qayamat Ke Roz Usey Andha Uathaya Jayega.
– (Surah Taha 20:124)
Isiliye har haal me Koshish kiya jaaye Quraan ki tilawat aur iskye Maney Mafhoom ka Muta’ala karna aur Agar aisa na kiya tou Qayamat me lazim hai ke Aisa Insan Andha Uthaya jayega aur Lakho-Karodo logo me Ruswayi hasil hogi aise Shakhs ko jo Allah ke Qalaam se Airaaz karta tha.
* * * * *
F) 6th Aakhirat me: Rasool’Allah ﷺ ki Narazgi ke Mustahiq honge wo Log
Quraan se Doori Ikhtiyar Karnewale Aakhirat me Rasool’Allah (ﷺ) ki Narazgi ke Mustahiq honge! Balki Rasool’Allah ﷺ Inkey khilaf baat karengey Jiskey Talluk se Allah Rabbul Izzat ne ek Aayat me bayan farmaya –
(Allah Rasool Tumhare Khilaf Gawahi Denge) “Aye Mere Rab Iss Qoum ne Quraan ko Chorr diya”
– (Surah Furqaan 25:30)
Tou Yaha Nabi-e-Kareem (ﷺ) Dekhiye aise Logon ke Khilaf baat karenge aur Kahenge ke “Aye Allah Meri Qoum ne Quraan ko Chorr diya.”
*Jis Nabi-e-Rehmat ke taaluk se Hum Ummid Rakhtey hai ke Aap Humari Sifarish karenge, Allah se Shafa’at Karenge Humari Roze mehsahr ke Muqaam me.
Yakinan Karenge lekin yahi Nabi khilaf khadey ho Janyege aise Logon ke Jo Quraan ki Hidayat par Gour nahi karte they aur naahi Ispar Amal kartey they.
* * * * *
G) 7th Aakhirat me: Quraan Hujjat Hogi Haq me ya Khilaaf
Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) farmatey hai –
“Quraan Hujjat hai, terey Haq me ya terey Khilaf.”
– (Sahih Muslim)
Matlab Agar Hum Padhenge aur Amal karenge tou Humare Haq me Quraan ki Gawahi hogi,
Aur agar Padhenge aur Amal nahi karenge,
Ya Padhenge Hi nahi tou Roze Qayamat Humare hi Khilaf Quraan Gawahi dega.
* * * * *
H) 8th Aakhirat me: Dardnaak Azaab
Allah Rabbul Izzat ek Aayat me bayan farmata hai –
Jo Shakhs Apney Rab ke Zikr se Airaaz Karega Allah Usey Shadeed Tareen Azaab me Mubtela karega.
– (Surah Jinn: Ayat 17)
*Beharhaal ye Azaab kya Hoga ye Allah hi behtar jaanta hai tou ye 4 aur Kayi Azaabat aise hai Jo Aakhirat me Hume mil Saktey hai Agar hum Allah ke Zikr se Yaani Quraan se Doori Ikhtiyar kareng.
* * * * *
*Tou Lihaja ye Jarurat hai ke Hum Quraan ko Padhey,
*Iskey Paigaamata ko Samjhey,
*Iski Hidayat par Gouro Fikr Karey,
*Iss Quraan ki Tilwat aur Ispar Amal kare,
*Humari Zindagi Chalta-Firta Namuna Quraan ho,
*Iss se Mohabbat ho,
*Iss se Unsiyat ho ,
*Iske Tarjume aur Tafseer Sikhney Sikhane ki Majlishey ho,
*Tou Tab Dekhiye phir Zindgiya badal Jayengi,
*Wohi Izzat , Wohi Rutba, Wohi Muqaam , Wohi Tamam Cheeze Musalmano ko Milegi,.. Jo Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Daur Me Sahaba Ko Mili Thi ,..
*Lihaja Iske Liye Hume Iss Kitab Ko Wapas Usi Shiddat se Thamna hoga, Jis Shiddat se Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Apni Iss Ummat ko Dekar Gaye aur Jaisa Sahaba ne thama.
*Agar Hum Aisa Karenge Tou Insha’Allah-Ul-Azeez !!!
Wohi Urooj, Wohi Izzat, Wohi Barqatey, Wohi Faydey ,.. Hum Hasil Karenge,..
*Aur Na Kiya tou Beharhaal Nuqsaanat Dekh rahe hai aur Bohot Sangeen Nataaiz Iske Aayenge ,..
♥ Allah Rabbul Izzat se Aakhir me Dua hai ke –
# Allah Hume Kahne Sun’ne se Jyada Aml ki Taufik Dey ,..
# Hum Tamam ke Liye Quraane Majid Ko Padhna, Samjhna aur Uspar Amal Karna Aasan Farmaye ,..
# Jab Tak Hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda Rakhey…
# Khatma Humara Imaan par ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!