♥ Hiqayat: Abu-Zafar Saayiz Kehte Hain, Ek Aurat Bahot Deendar Thi Aur Uske Shab Wa Roz (Din-Raat) Yaad-A-Allah Me Sarf Hotey They!
Wo Apne Shoher Se Kaha Karti, ‘Uttho Kabtak Neendh Ke Maze Lete Rahoge!
Khwab-A-Gaflat Se Be-Daar Ho Jao! Yeh Madh-Hoshi Kabtak Rahegi!
Yeh Bhi Kehti Aapko Allah Ki Qasam Hain Rizk Halaal Tareeke Se Kamayiye!
Apni Maa Ki Khidmat Kijiye, Rishtedaron Ki Khabardaari Kijiye!
Warna Allah Aapse Naraaz Ho Jayega!’
– (Auraton Ki Hiqayatain, Pg-136)
# Sabaq: Nek Aur Paras Aurat Ke Din-Raat Yaad-e-Allah Me Sarf Hotey Hain
Aur Wo Dusron Ko Bhi Hatta Ki Apne Shoher Ko Bhi Yaad-e-Allah Ka Der’s Deti Hain!
Aur Rizk-e-Halaal Ka Sabak Deti Hain!
Maa-Baap Ki Khidmat Per Bhi Ubhaarti Hai
Aur Rishtedaron Se Bhi Accha Sulook Karne Ki Hidayat Deti Hain!