♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Arbaz Bin Sariyaah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai, Unhoney kaha ki ek din Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Hume Namaz Padhayi, Phir Aap Humari Taraf Mutwajjah Huye aur ek Nasihat Farmayi, Usey sun kar Humari Aankho se Ansoo Jaari ho Gaye aur Dil dahal gaye,
Ek Shakhs Ne Kaha – “Ya RasoolAllah ! Yeh Nasihat tou Aisi hai Jaise kisi Wida Hone Waley ki Hoti hai (Isliye) Hum ko (Khaas) Wasiyat Farmayiye”
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Main Tumhe Wasiyat Karta Hoon Ki Allah se Darte Rehna aur (Apne Huqmaran Ki) Sun’na Wa Maan’na, Agar (Sunane Wala) Ghulam Habshi hi Kyun na ho,
Mere Baad Jo Tum me de Zinda Rahega, Wah Sakht Gumraahi Dekhega (Matlab Log Deen me Ikhtelaaf Paida Karenge) Uss Waqt Tum Alllah ki Kitaab Quraan, Meri Sunnat Wa Khulafa-e-Rashideen Ka Raasta Zaroor Pakadna!
Aur (Deen Ke Ander) Naye-Naye Kaamon (Ke Ijad Karne) Se Bachtey Rehna, Kyunki (Deen Me) Har Naya Kaam Biddat (Innovation) Hai Aur Har Biddat Gumraahi Hai, Aur Har Gumraahi Ka Thikana Jahannum Ki Aag Hai.”
– (Abu Dawood, Tirmizi)
– (Sunan Ibn Majah, Vol-1, Hadees-43)
– (Bukhari: 3197, Muslim: 4822, Ahmad: 11372)
– (Tirmidhi: 2565, Hakim Mustadrak, 1:218)
Allah Ta’ala Hum Tamaam Ko Zamane Jahiliyat Ke Fitno Se Bachney Ki Taufiq Ata Farmaye,
Har Kism Ki Biddato Se Humare Emaan Ki Salamti Ata Farmaye,
Jab Tak Hume Zinda Rakhe Islam Aur Emaan Par Zinda Rakhe,
Khatma Humara Emaan Par Ho!
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Firqa