Raston par Baithne ka Haq Ada karo Hadees

Raston par Baithne ka Haq Ada karo

Hadees of the Day

Raaston par Baithne ka Haq Ada karo

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Sadko (Rasto) par baithane se bacho.”

Sahaba ne kaha ki “hum log wahi baithne ko majaboor hain. yeh wah jagah hai jahaa hum baithate hain aur jahaa hum baat karate hain.” is par, Nabi (ﷺ) ne kaha –

“Yadi tum wahaa baithane ke lie majaboor ho, to Raaste ka Haq ada karo.”

Sahaba ne poochha aur Raste ka Haq kya hai? Nabi (ﷺ) ne kaha,

“Apni Nigaahein nichee rakho, kisi ko chot pahunchaane se bacho, Salaam ka jawaab do, logon ko achchhe kaam karne ka hukm do aur unhen bure kaam karne se roko.”

📕 Sahih al-Bukhari 2465

4.8/5 - (33 votes)
Farz Namaz ke Baad Nafeel ki Fazilat

Farz Namaz ke Baad Nafeel ki Fazilat

Hadees Of The Day

Farz Namaz ke Baad Nafeel ki Fazilat

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke,
Allah Taala farmata hai –

“Mera Banda Farz ada karne ke Baad Nafeel Ibadatein Karke Mujhse Itna Qareebho jata hai ki Main Us se Mohabbat karne lag jata hu.”

📕 Sahih Bukhari: 6502

4.9/5 - (23 votes)
Neki ka Sawaab 10 se lekar 700 Guna

Jab Mera Banda Neki ka Iraada kare tou Aye Farishto! Iski 1 Neki likho

Hadees of the Day

Neki ka Sawaab 10 se lekar 700 Guna

Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai ke –
Allah Ta’ala farmata hai aur Iska Farmaan-e-Haq hai ke,

“Jab Mera Banda Neki ka Iraada kare tou (Aye Farishto)! Iski 1 Neki likho.
Phir agar Woh ker Chuke tou Iski 10 Nekiyan Likh lo,

Agar Woh Burayi ka Iraada kare tou Kuch na likho,
Agar Kar Chuke Tou 1 Hee Burayi Likho,
Aur agar Na kare tou Iske Liye bhi 1 Neki Likho”

📕 Tirmizi Sharif

Phir Aap (ﷺ) ne ye Aayat Tilawat farmaayi –

Read More

4.9/5 - (11 votes)
Hadees: Nadamat Me Gunaah Muaf Farma Diye Jate Hai

Nadamat me Gunaah Muaf farma Diye jate hai

Hadees of the Day

Nadamat me Gunaah Muaf farma Diye jate hai

Abdullah Bin Salaam (R.A) Se Mairwi hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya –

“Jab Koi Banda Allah Ta’ala ke Hazoor Taubah Karta hai aur Apne Gunaah par Nadamat Mehsoos karta hai tou Uskey Nadeem hone se pehle hee uske Tamaam Gunaah muaf farma diye jate hain.”

📕 Nuzhat-Ul-Majalis, V2:228

5/5 - (4 votes)

Namaz kisi bhi Haal mein Muaf nahi

Hadees of the Day

Namaz kisi bhi Haal mein Muaf nahi

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Khade ho kar Namaz padha karo, Agar Uski bhi Taaqat na ho to Baith kar aur Agar uski bhi na ho to Pehlu ke Bal Let kar padh lo.”

📕 Sahih Bukhari: 1117

4.7/5 - (109 votes)
Qaheen ki Baato par Yakeen karna Kufr hai

Qaheen ki Baato par Yakeen karna Kufr hai

Hadees of the Day

Qaheen ki Baato par Yakeen karna Kufr hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jo Shakhs Kisi Kaahin (Mustaqbil Batane Wale/Jyotish) ke Paas jaye aur Uski Baaton ko Sacha Maan Le tou Usne Muhammad (ﷺ) par Naazil Shuda (Deen) ka Inkaar kar diya.”

📕 Sunan Ibn Maaja: 639 (Hasan)

4.4/5 - (44 votes)
Hadees: Jo shakhs Allah se milne ko pasand karta hai ...

Jo shakhs Allah se milne ko pasand karta hai …

Hadees of the Day

Jo shakhs Allah se milne ko pasand karta hai

Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:

“Jo shaks Allah se milne ko pasand karta hai, Allah bhi us se milne ko pasand karta hain aur jo shaks Allah se milne ko pasand nahi karta, Allah bhi us se milne ko pasand nahi karta.”

Read More

5/5 - (4 votes)
Hadees : Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya?

Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya?

Hadees of the Day

Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya?

Abu Barza (R.A) se riwayat hai ki,
Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya –

‟Qayamat ke Din insan ke dono qadam uss waqt tak (Hisaab ki Jagah se) nahi hatt sakte, jab tak uss se in paanch cheezon ke baarey me na puch liya jaaye.

(1) Apni Umr kis kaam me Kharch ki ?,
(2) Apne Ilm par kya amal kiya ?,
(3) Maal kaha se kamaya ?,
(4) aur Kahan kharch kiya ?,
(5) Apni Jismani Quwwat kis kaam me lagayi ?

📕 Jami at-Tirmidhi 2417

4/5 - (29 votes)
Ek Jumuah Mein Haziri se 10 Dino ke Gunahon ki Maafi

Ek Jumuah Mein Haziri se 10 Dino ke Gunahon ki Maafi

Hadees of the Day | Jumuah Series

Ek Jumuah Mein Haziri se 10 Dino ke Gunahon ki Maafi

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Jisne Ghusl Kiya, Phir Jumuah ke Liye Hazir Hua,
phir Uske Muqaddar mein Jitni (Nafil) Namaaz thi padhi,
phir Khamoshi se (Khutbah) sunta raha,
yahan tak ki Khateeb apne Khutbe se Faarigh ho gaya,

phir Uske Sath Namaz padhi, to Uske
us Jumuah se Lekar Ek aur Jumuah tak ke
Gunah bakhsh diye Jaate hain.
Aur Mazeed 3 Dinon ke bhi.”

📕 Sahih Muslim: 857 (1987)

5/5 - (3 votes)
Hadees: Hadd se jyada tareef na kare

Hadd se jyada tareef na kare

Hadees of the Day

Hadd se jyada tareef na kare

Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne Suna ki :
Ek Shakhs Dusre Shakhs ki Tareef kar raha hai aur Tareef mein
Bohot Mubalgha se kaam le raha tha to Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya:

“Tumne Usey Halaak kar diya ya Tumne us Shakhs ki Kamar ko tod diya.”

📕 Sahih Bukhari: 6060

Hadd se jyada Tareef karna ya kisi ke Mooh pe
Taarif Karna Goya usko Halaq karne ke barabar hai.

5/5 - (9 votes)
Mereez ke liye Dua

Mareez ki Shifa ke liye Dua

Dua | Hadees of the Day

Mereez ke liye 7 Baar yah Dua padhe

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

Jab koi shakhs kisi aise mareez ki ayadat kare jiski maut ka waqt qareeb nahi aaya ho to uske paas jakar 7 martaba ye Dua padhe to Allah usko us marz se shifa ata farma dega:

أَسْأَلُ اللَّهَ الْعَظِيمَ رَبَّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ أَنْ يَشْفِيَكَ

❛ As’alullah Al-‘Azeem Rabbal ‘Arshil ‘Azeem an Yashfik ❜

“Main Azmat wale Allah Jo Azeem Arsh ka Malik hai
se Dua karta Hoon ki woh tumko Shifa de.”

📕 Sunan Abu Dawud: 3106 (Sahih)

4.9/5 - (8 votes)
Hadees : Namaz me banda Rab se Baate karta hai

Namaz me banda Rab se Baate karta hai

Hadees of the Day

Namaz me banda Rab se Baate karta hai

Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –

Jab Koi Shakhs Namaz ke liye Khada hota hai,
tou goya wo Apne Rab ke Saath Sargoshi (yaani baate) karta hai.
Ya Yu farmaya ki Uska Rab uskey aur
Qibley ke darmiyan hota hai.”

📕 Sahih Bukhari, 405

5/5 - (7 votes)
Hadees Behtreen Din Jumma ka Din hai

Behtreen Din Jumma ka Din hai

Hadees of the Day | Jumma Series

Behtreen Din Jumma ka Din hai

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

“Behtreen Din Jis par Sooraj Tuloo hota hai, Jumuah ka Din hai.”

📕 Sahih Muslim: 854 (1976)

4.5/5 - (17 votes)
Juma ka khutba hadees

Khutba-e-Juma ke Adaab

Hadees of the Day

Khutba-e-Juma ke Adaab

Samura Ibne Zundab (R.A) ne kaha ki –
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya :

Hazir Raho Khutbey (Jumma ke Khutbe) ke Waqt aur Imaam se Qareeb raho
Isliye ke Aadmi Jis Qadar door rahega usi Qadar Jannat me piche rahega
agarche woh Jannat me Dakhil zaroor hoga.”

📕 Sunan Abu Dawood, Hadees 1108

5/5 - (6 votes)
Hadees about Qarz lene ki Niyat

Qarz ki Adayegi se Muhh na phero

Hadees of the Day

Qarz ki Adayegi se Muhh na phero

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Jo Logon ka Maal Qarz ke taur par ada karne ke Niyat se leta hai tou Allah Ta’ala bhi uski taraf se ada karega aur
Jo koi tabah(waste) karne ki (yaani na dene ki) Niyat se le tou Allah Ta’ala bhi usko tabah kar dega.”

📕 Sahih Bukhari: Hadees 2387

5/5 - (3 votes)
Hadees : Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi

Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi …

Hadees of the Day

Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi

Abdullah Ibn Masood (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“Jo (Apne) Chehre ko Peete, Ghireban Phadey (Maatam karey) aur Zamana-e-Jahliat ki batain kare (Noha karey) wo hum (Musalmanon) me se nahi hai.”

📕 Bukhari Hadees no. 1297

Read More

5/5 - (15 votes)
Kya Allah iman walo ko bagair Aazmaye Chor dega ?

Kya Allah iman walo ko bagair Aazmaye Chor dega ?

Aaj ki Aayat | Verse of the Day

Kya Allah imanwalo ko bagair Aazmaye Chor dega?

Allah Taala Quran me farmata hai:

“Kya logon ne ye samajh liya hai ki (sirf) itna keh dene se ki hum emaan laye chor diye jayenge aur unka imtehan na liya jayega,

aur humne tou unn logon ka bhi imtihaan liya jo unse pehle guzar gaye.

garaz Allah un logon ko jo sachche (Dil se Emaan laye) hain yaqeenan alahaeda dekhega aur jhoothon ko bhi (alahaeda) zarur dekhega.

📕 Surah Al-Ankabut 29:2

4.7/5 - (13 votes)
Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se Kaan Lagaye hue

Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se

Hadees of the Day

Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se Kaan Lagaye hue

Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:

Jumuah ke Din Subah Hote hi Tamaam Jaanwar Qayaamat ke Dar se Kaan Lagaye Huye hote hain Yahan Tak ki Sooraj Tuloo ho jaye, Siwaye Jinnon Aur Insaano ke.

📕 Abu Dawood: 1046 (Sahih)

5/5 - (11 votes)