Jo Hota Hai Acche Ke liye Hota Hai - Whatever… https://www.youtube.com/watch?v=f_UYXtJ5TIU&pp=ygVNSm8gSG90YSBIYWkgQWNjaGUgS2UgbGl5ZSBIb3RhIEhhaSDigJMgV2hhdGV2ZXIgSGFwcGVucywgSGFwcGVucyBmb3IgdGhlIEdvb2Q%3D Jo Hota Hai Acche Ke liye Hota Hai Whatever Happens, Happens for the Good Topic Jo Hota Hai Achhe Keliye Hota Hai Topic Ki Ahmiyat Jab Hum Nahi Samajhte Jo Hota Hai Achhe Keliye Hota Hai To? Insan Ki Fitrat Me Jald Bazi Aur Na Shukri Hai Incidents Sabhi Ke Sath Hote Hai Achhe Aur Bure Hum Khud Decide Karte Hai Allah Janta Hai Kaunsi Chiz Tumare Liye Acchi Aur Buri Hai Kisi Bhi Halat Me Momin Mayus Nahi…
♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? Roza kin Cheezo se toot sakta hai? wo kounse amal hai jiski wajah se roza toot'ta hai, tafseeli jankari ke liye is mukhtasar se audio bayan ko jarur suney, jazakAllahu khairan kaseera. Aur bhi Dekhe: ♫ Napaki ki Halat me kya Saher kar sakte hai? ♫ Roza na rakhne ki kisko Chut hai? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ “Roza Lag raha” Bolna…
Har Shakhs Khataa karne wala hai, Lekin Behtar… Har Shakhs Khataa karne wala hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Har Shakhs Khataa karne wala hai aur Behtar Khata karne wala woh hai Jo Taubah kar le." 📕 Tirmidhi, Hadees 389 Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Uss Shakhs ke liye Khushkhabri hai Jo Apne Naam-e-Amaal me bohot Ziyada Astaghfar paaye." 📕 Ibn-e-Majah, Hadees 3818
Allah ka Zikr karne wala Zinda aur na karne wala Murda hai Zinda aur Murda ki Misaal Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Us Shakhs ki Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad Karta hai aur Uski Misaal Jo Apne Rabb ko Yaad nahi karta ZINDA aur MURDA Jaisi hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6407
Khayanat ka anjam : Khayanat karne walo se Allah Ki… Khayanat ka anjam Hadith-e-Qudsi: Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate hai ke, Allah Ta'ala farmaata hai: "Main 2 saath mil kar kaam karne walon ke saath hota hoon jab tak ke koi sathi khayanat na kare, jab koi ek bhi khayanat karta hai to meri madad uthh jati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 3383
Ramadan Day 1 : Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye 01st Ramzan Quote: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Kareem me farmata hai:“Aye Emaan walo! tum par Roze farz kiye gaye, jaise tumse pichli Ummato par humne farz kiye they ta’ake kahi tum Taqwa(Parhezgaari) ikhtiyar karo.”📕 Surah Baqrah 2:183
Qurani Dua-12 - Aye Allah! Hume Haq ki Gawahi dene… Aye Allah! Hume Haq ki Gawahi dene walo me likh le Bismillah-Hirrahman-Nirrahim رَبَّنَا آمَنَّا بِمَا أَنزَلَتْ وَاتَّبَعْنَا الرَّسُولَ فَاكْتُبْنَا مَعَ الشَّاهِدِينَِ Rabbana amanna bima anzalta wattaba 'nar-Rusula fak-tubna ma'ash-Shahideen ‟ Aye Humare Rab! Jo kuch tuney nazil kiya hum us par iman laye aur humne tere Rasool ki pairvi ikhteyar kar li, bas tu hume (haq ki) Gawahi dene walo me likh le [3:53] ‟ हमारे रब! तूने जो कुछ उतारा है, हम उसपर ईमान लाए और इस रसूल का…
Sawaal Karna (Maangna) Kiske Liye Jayaz Hai ?... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Qabisah Bin Mukhiriq Al-Hilali (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - 'Teen Tarah Ke Logon Ke Alawa Kisi Ke Liye Sawaal Karna (Maangna) Jayaz Nahi' 1. Ek Wo Shakhs Jis Par Zamanat Ka Bojh Ho Aur Jab Tak Wo Zamanat Se Nijat Na Pa Le Iske Baad Usko Baaz Rahna Chahiye, 2. Dusra Wo Shakhs Jisko Aisee Musibat Pesh Aaye Jiski Wajah Se Uska Maal Tabah Ho Gaya Ho Tou Uske Liye…
Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Log Apna Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai, Phir Kharch karne ke baad na tou Ahsaan Jatlaate hai aur Na Takleeef pahunchaate hai, Unka Silah tou unke Rab ke yahan hai hi, aur Qayamat ke din Unko na tou koi khauf hoga aur na woh Ghamgeen honge." 📕 Surah Baqrah 2:262
Shohrat ke Waste Ilm Haasil karne wala Dozakhi hai ... Shohrat ke Waste Ilm Haasil karne wala Dozakhi hai Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Jo Insan Deen-e-Islam ka Ilm Sirf Isliye Sikhna chahta ho ke Uss Ilm ke Jarye wo Kum Ilm Walo(Jaahilo) par Fakr (Ghamand) kare, Ulema (Scholar) se Jhagda kare, Logon me Aalim ke taur par Mash'hoor (Famous) ho jaaye aur log Uski Izzat kare tou aesa Insan Dozakh me jaaega." - Tirmizi #2654, Ibne Majah #253 ♥ Allahu Akbar !!! - Allah Rabbul Izzat Humey Ikhlas…
Jis Shakhs ka Amalnama uski Peeth piche diya jayega Jis Shakhs ka Amalnama uski Peeth piche diya jayega Allah Ta'ala farmata hai: "Aur Jis Shakhs ka Aamaal Naama Uski Peeth Piche se diya Jayega, tou woh Maut ko Bulane Lagega, aur Bhadakti huyi Jahannam mein Daakhil hoga." 📕 Quran 84: 10-12
Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr…
Nasihat karte raho, Nasihat Iman walo ko Fayda deti hai Nasihat karte raho, Nasihat Iman walo ko Fayda deti hai Allah Ta’ala Quran me farmata hai: “Nasihat Karte Raho, Beshak Nasihat Iman Walon ko fayda deti hai.” 📕 Al-Quran, 51:55