Aulaad ki Tarbiyat – Part 8
J). Tarbiyat ka 10th marhala:
Baap ka Kirdar Aulad ki Tarbiyat me
Aulaad ki tarbiyat me sirf Maa ka hi Nahi balki Baap ka bhi ek Aham Kirdar hai. lekin Maa se jara Mukhtalif hai. Maa ka role ye hai ke “ke dekho beta tum ye sikh jao, agar tum aisa nahi karoge tou mai tumhare walid se tumhari shikayat karungi,. fir tumhe mare tou mujhe na kehna kuch.”
Tou walid sirf Nigah Daudane par rahenge baccho par “ke kya hua beta tumhara subha se kitni baat tumne apni walida ki nahi suni.” is tarha se samjhao usey , yahi aapka aham Role hoga.
Lekin afsos ki baat hai ke Aaj bohot se martaba dekha jata hai ke Walid (baap) apna role ada nahi karte balki jakar Baccho ko Jyada bigaad detey hai,.. “kaha hai mera baccha, Subha se nahi dikha, kis kis ko Maara? bohot accha kiya” Subhan’Allah.
Baccha bolta hai Accha! Baap se tou strong support mil raha hai mujhe. ab mai kuch bhi kar ke aau tou Baap ladne ke liye tayyar hai meri taraf se.
Yaad rakhiye “Jin Ghar me Baap Baccho ko aise kaamo me support nahi karte un Ghar ke Bacche bahar ladna bhi pasand nahi karte, kyunki unhe maloom hai ke agar hum ladenge tou Baap ulta hume hi pitega.” Aur jin ghar me Baap hi kehta hai ke “Jao ladho! hum tumhare piche khade hai..” is tarha se targib dete hai galat kaamo ke liye wo Bacche bhi kaise Gundey nikaltey hai aur Baadme Baap ko bhi thoktey aur maarte hai ,.. kyun tou usne tarbiyat hi yahi di Apne Bacche ko.
Baap ki Zimmedari:
Lihaja Baap ka role Aulad ki Tarbiyat me hai lekin mukhtalif hai maa ke mukable me. Maa ka role ye hai ke wo teacher hai jo sikhati rahengi, aur Baap ka role Examiner ka hai jo aa kar test lega baccho ka.
Jaise ke “kya kya sikha aaj ?,.. kya hua kaise raha tumhara muamla dinbhar ka ?,.. koi galat kaam tou nahi kiya aaj ?,.. Nasihat suni maa ki ?,.. School aur tuition gaye they ? ,. Arbi ki kitni tayyari hui ? ,.. falah aur falah is tarha sikhana beharhaal Baap ki Zimmedari me se hai.
Maa ki tarbiyat ke baad bacche ke liye 2 hi log hai. Ek Baap aur Dusra Ustad (Teacher). Ye do log hai jo iski tarbiyat Ghar se bahar karenge.
Jaisa ke tum yaha ja rahe ho tou aisa jao,.. logon ko Salam karo Beta,.. Masjid aise jaya karo,.. Saff me aise khadey raha karo,.. logon ko taklif na dena,.. padosiyo ko mat satana. is tarha se bahar ka role Baap ada karega aur uskey teacher, ustad ada karenge. ye do log ab aham Shakhsiyat hai Maa ke baad Zindagi me.
Tou jaha Maa Ghar me tarbiyat kar rahi hai, Kalimaat sikha rahi hai, usi tarha Baap usey bahar ke Aadab aur Akhlaq Sikhayega.
۞ Luqman (Alaihi Salam) ki Apne Bete ko Nasihate Baap ke liye Namuna hai:
Surah Luqman me Aap gour kijiye ke kya nasihate karte hai Luqman (Alaihi Salam) apne bete ko:
Aye mere bete! Allah ki hi Ibadat karna, uske sath kisiko Sharik na thehrana, aur Namaz qayam karna, Roza rakhna,.. Takabbur mat karna, aur yaad Rakhna ke tum Gunaah chahe ek Patthar ke Andar karo ! Allah usko logon ke samne Zahir karega, khule chupe koi burayi na karna.
Surah Luqman
♥ SubhanAllah! tou Luqman (Alaihi Salam) ki Nasihate ek mukaam rakhti hai ke waisa role ada karey walid hazraat apni aulad ki tarbiyat me.
To be continue …