Aulaad ki Tarbiyat – Part 1
Allah ke Naam se Shuru Jo tamam jahano ko banane wala aur usey palney wala hai! aur Duroodo Salaam ho Uskey aakhri Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) par.
Aaj kal aksar dekha jata hai ke Waldain apni Aulad ke talluk se Pareshan rehte hai ke kis tarha unki Tarbiyat ki jayey. kis tarha unhe accha Momin banaye. aur yahi cheez yaani Aulaad ki Tarbiyat aaj ke Jadeed dour me ek Sangeen masla hai, aur iski Shiddat har Gujarne wale saal me badhti ja rahi hai.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!
Hum is unwan me Aulad ki Tarbiyat ke tehat kuch Nuqaat (points) aapke samne rakhne ki koshish karenge, Aapse hazraat se darkhwast hai ke ispar jarur tawajjo de aur jitna ho sakey isey jyada se jyada logon tak pohochane me humari madad kare.
Sabse Pehli Baat ye ke –
“Aulad Allah Rabbul Izzat ki taraf se ek Nemat hai.”
Aur jaisa ke har Nemat ke Talluk se Allah Rabbul Izzat Humse puch Karega tou Aulad bhi ek Nemat hai lihaja Iske Talluk se bhi sawal kiya jane wala hai ke kya aur kaise iski tarbiyat ki ?
Jiske talluk se Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai :
Aye wo logo jo Iman laye ho! Apne Aap ko aur Apne Ahlo Ayal ko Jahannum ki us Aag se bachao jiska indhan Insan aur Patthar honge.
Al-Quran 66:6
Tou yaha Allah Rabbul Izzat ne Apne bando par ye Farz kar diya hai ke, Mere bando apne aapko aur apne biwi baccho ko Jahannum ki Aag se bachao, yaani unki aisi tarbiyat karo ke wo Halal aur Haram me tafreeq kar sakey, Allah aur Uske Rasool ki farmabardari karey aur har Uss amal se bachey jo duniya aur aakhirat ke khassare ka sabab baney.
Tou Aulaad ki Tarbiyat yaad rakhiye bohot aham aur sangeen masla hai, Iski Ahmiyat aur Jarurat ko samjhiye, iske duniyawi aur ukhravi faydo ko janiye, agar humne aisa na kiya tou dunia aur aakhirat ka bada nuqsan uthana lazim hai.
Aulaad ki Tarbiyat na karne ke Nuqsanat:
Aulaad Walidain se jhagda karti hai, Waldain ko Gaaliya deti hai, Aas-Pados ko, Mahoul aur Muashre ke logo ko takleef pohochati hai, Walidain ko Ruswa karke Ladke Ladkiya bhagakar kar Nikah kar lete hai, Budhey Waldain ko Ghar se nikaal kar Old Age Home me chorr aatey hai, hatta ke chand Duniyawi mafad ke liye Waldain ka Qatl tak kar lete hai (Astagfirullah).
Aise Qaqiyat ki fehrist hum nikalenge tou bohot lambi hoti jayegi. beharhaal ye sirf aur sirf Aulaad ki sahi Tarbiyat na karne ka natija hai. aur pata bhi nahi aise kitne Zurm hotey hai jiski Sangeeni aur inteha hum bayan bhi nahi kar sakte.
– is liye kyunki Aulad ki sahi Tarbiyat nahi hoti. aur jab ek Baccha Apne Waldain ke sath ye Sulooq karta hoga Mu’ashre aur Mahoul, Padosi aur Musafiro ka, sath wale logon ka kya Sulooq karta hoga wo tou sirf Gumaan hi kiya ja sakta hai.
Tou Aulaad ki Tarbiyat ye bohot Aham masla hai yaad rakhiye aur Agar Humne ye na kiya tou Dunia aur Aakhirat ki badi ruswayi hai humare liye.
♥ In’sha’Allah ! Agle Part 2 me Hum Aulaad ki Tarbiyat ke talluk se chand aham Nuqaat par Gour karenge.
To be Continue …