Al-Quran: Apne Parwardigaar ki Humd aur Tasbeeh Bayaan Karo Apne Parwardigaar ki Humd aur Tasbeeh Bayaan Karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala Quraan me farmata hai: "Apne Parwardigaar ki humd ke saath saath us ki tasbeeh bayaan karo aur us se magfirat maango. Yaqeen jaano woh bahot muaf karne waala hai." 📕 Surah An-Nasr 110:3
Qabiliat aur Kirdaar Saath Saath chalte hai ... Bujurgo ke Aqwaal Qabiliat aur Kirdaar Saath Saath chalte hai "Qabiliat aur Kirdaar Zindagi me Saath Saath chalte hain,Qabliat Aap ko Bulandi tak Pohnchati hai.Jab ke Accha Kirdar Aap ko Humesha Buland rakhta hai." 📕 Imaam Jalaluddin Suyuti (R.A)
Al-Quran: Logon ke saath Neki karo, beshaq Allah… Quran: 18-June: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟(Logon ke Saath) Neki ikhtiyar karo, Beshaq Allah Neki karnewalo se Mohabbat karta hai.' 📕 Surah Baqrah 2:195
Ramadan Day 2 : Jisne Imaan ke Saath Sawab ki Niyat… 02nd Ramzan Hadith Quote: Abu huraira (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallhu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ❝ Jisne Imaan ke saath Sawab ki niyat se Ramzan ke Roze rakhe uske pichle saare Gunaah bakhsh diye jayenge." Sunan Ibn Majah, 641-Sahih
Allah se daro aur saccho ke saath ho jao Allah se daro aur saccho ke saath ho jao Allah Ta'ala farmata hai: "Aye Imanwalo! Allah se Daro aur Saccho ke Sath ho jao." 📕 Quran 9:119
Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Khana khilao aur Salaam ko Aam karo Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Tum Khana khilao aur har shakhs ko Salaam karo chahe tum usey jante ho ya nahi jante ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 28
Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho: Hadees Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho ۞ Hadees: Asma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Maal ko (Jayaz) Kharch kar, gin gin kar na rakh, warna Allah Ta'ala tujhe bhi gin gin kar dega (phir Rozi se Barqat khatm ho jayegi) aur Maal ko rok kar na rakh, Warna Allah Taala tujhse Rizq ko rok lega." 📕 Bukhari, Hadees 2591
Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Ek Aurat Hamesha Jab Apne Ghar Waalo Ke Liye Roti Pakaati Tou Ek Roti Khidki Ke Bahar Rakh Deti, Yeh Soch Kar Ki Koi Bhuka Faqir Aayega Tou Ye Roti Utha Kar Le Jayega Aur Dua Dega. Jab Woh Aurat Khidki Par Roti Rakhti Tou Ek Faqir Waha Par Aata Aur Uss Roti Ko Utha Kar Chal Deta. Aur Bolte Jaata Ki "Jo Tum Bura Karoge Woh Tumhare Saath Rahega Aur Jo Tum Accha Karoge Woh Tum Tak Laut Aayega".…
Apni badhai aur taarif na kiya karo Apni badhai aur taarif na kiya karo Hadees: Zainab Binte Abi Salma (R.A) se mairwi ki,Unka naam badah (Nekokar) tha, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Apna tazkiya na karo (Yaani apni badhai aur taarif na karo) Allah ko malum hai ki tum me bura aur neki wala koun hai, uska naam Zainab rakh do." 📕 Islami Akhlaq-O-Aadab, Page No#269, Hadith 17 Allah Taala hum sabko kehne sunne se jyada amal ki toufiq de. Ameen Allahumma ameen.
Har Jaandaar ke Saath Neki karne ka Sawaab Milta hai Har Jaandaar ke Saath Neki karne ka Sawaab Milta hai Hadees: Hazrate Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "1 Shakhs raste mein chal raha tha ke usey Shiddat ki pyaas lagi usey Ek Kunwa(Well) mila aur usne isme utar kar paani piya. jab bahar nikla tou wahan Ek Kutta dekha jo haanp raha tha aur Pyaas ki wajah se tari ko chat raha tha. is Shakhs ne kaha ke yeh Kutta bhi itna hi Ziyada…
Raston par Baithne ka Haq Ada karo Raaston par Baithne ka Haq Ada karo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Sadko (Rasto) par baithane se bacho." Sahaba ne kaha ki "hum log wahi baithne ko majaboor hain. yeh wah jagah hai jahaa hum baithate hain aur jahaa hum baat karate hain." is par, Nabi (ﷺ) ne kaha - "Yadi tum wahaa baithane ke lie majaboor ho, to Raaste ka Haq ada karo." Sahaba ne poochha aur Raste ka Haq kya hai? Nabi (ﷺ) ne kaha, "Apni…
Ek Saath Khana Khane Mein Barakat 📖 Roman Urdu Wahshi bin Harb (R.A.) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Ek saath khana khao aur us par Allah ka naam le liya karo, is mein tumhare liye barqat hai.”(Abu Dawood, Hadith 3764) 📖 हदीस हिंदी वह्शी बिन हरब (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “एक साथ खाना खाओ और उस पर अल्लाह का नाम ले लिया करो, इसमें तुम्हारे लिए बरकत है।”(अबू दाऊद, हदीस 3764) 📖 Hadith English Wahshi bin Harb (R.A.)…
Takabbur Se Apne Nafs Ki Pakeezgi Na Jataya Karo ! ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ Allah Ta’ala Qur’an mein farmate hain: “Jo log sagirah gunaahon se aur behayayi ki baaton se bache rehte hain, beshaq tumhara Parwardigar badi bakhshish wala hai, wahi tumko khub jaanta hai. Jab Usne tumko mitti se paida kiya aur jab tum apni maa ke pait mein they, tou takabbur (pride) se apne nafs ki pakeezgi na jataya karo. Jo parhezgar hai usko Allah khub jaanta hai.”– (Surah Najm, Ayat 32) Tafseer Ka Nukta 1️⃣ Mufti Ahmed Yar…
Hadees: Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza… Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah se daro aur rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de." 📕 Shoebul Imaan, Hadees : 10376
Maa Baap Par Laanat Karne Se Bacha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai - "Gunaho Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Lanat Kare, Logon Ne Kaha - 'Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Lanat Karega ?' *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Matlab Ki, 'Ek Shakhs Dusre Ke Baap Ko Gaali De! Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De! Aisa He…