Iddat kise kehte hai ?
Iddat us zamane (waqt) ko kehte hai jis me Aurat ke liye dusra Nikah kerna jaiz nahi hota, aur aisa waqt Aurat par 2 wajah se aata hai ya tou Uska Shohar us ko Talaq dede, ya fir dusra ye ke Uska Shohar Inteqal kar jaye.
Hamela (pregnant) Aurat ki Iddat :
Shohar ke Inteqal ke waqt Agar Biwi Hamela ho tou Delivery hone tak Iddat rahegi, Jaisa ke Quran kareem mein Irshade Ta’ala hai:
❝ Hamela Aurton ki iddat un ke waza Hamal (Yani baccha Janne) tak hai. [Surah At-Talaq 65:4]
Bewah (widow) Aurat ki Iddat :
Hamal (pregnant) na hone ki Surat mein Shohar ke Inteqal ki Iddat 4 Maah aur 10 din hai, Jaisa ke Allah Ta’ala ne Irshad farmaya:
❝ Tum me se Jo log Faut ho jayen aur Biwiyan Chhod jayen to wo Aurten apne Aap ko Chaar Maah aur Dus din iddat me rakhen.” [Surah Al-Baqarah: 234]
Bewah Aurat (iddat ke daur me) kin cheezo se parhez kare ?
✦ Mafhum-e-Hadees: Ummul Mu’minin Umme Salmah (RaziAllahu Anha) farmati hain ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Irshad farmaya: “Bewah Aurat (iddat ke daur me) Rangeen kapde Nahin Pehnegi, na Zard na Geru (Surkh Mitti) se range hue, isi tarah wo na Zewraat istemal karegi aur na mehndi aur surma lagaye gi.” [Sunan Abu Dawud :: Vol. 2 :: Hadith 534, 2304]
Wajahat: Shariat-e-Mutahrah mein Bewah Aurat par Shohar ki Wafat ki Iddat Lazim hai.
For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Recent Posts
Musalman aur Vande Mataram ki Kahani – Swami Laxmi Shankaracharya Ji ki Zubani
मुसलमान, लव जिहाद और वन्दे मातरम की कहानी : स्वामी शंकराचार्य की ज़ुबानी
807,374
Maahe Ramzaan Me 4 Cheezon Ki Kasrat Kiya Karo
807,239
Peer Ke Din Ka Roza ….
807,673
हज़रत याकूब अलैहि सलाम » Qasas ul Anbiya: Part 12
1,275
नातेवाईकांशी चांगलं वर्तन करत राहा
9
Sona (Gold) Aur Resham Mardo Par Haraam
807,384
Biddat Ki Haqeeqat: Part-4
808,276
Allah Ta’aala Humse Taqwa Aur Ikhlas Chahta Hai
807,213
Special Umrah package in Rs.54,786 for Shaban + Ramzan
807,445
15. शव्वाल | सिर्फ पाँच मिनट का मदरसा (कुरआन व हदीस की रौशनी में)
357
7vi sadi me hi Bharat me hui thi Islam ki Aamad by NDTV report
7 वि सदी में ही भारत में हुआ मुसलमानों का आगमन
807,232
Islamic Quiz 58 ka Sahi Jawab
3,153
Roza Iftar ki Dawat denewalo ke liye Dua
रोज़ा इफ्तार की दावत देने वालो के लिए दुआ
807,422
ज्या व्यक्तीकडे या चार गोष्टी आहेत त्यास कोणताही खेद नाही राहणार
25
Sharaab, Juwa Napaak Aur Shaitani Kaam ….
807,578
2
3
…
174
Next
Install App