Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou… Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal pado "Aye Imaan walo! Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal paro aur khareed-o-farokht chorh do, Yeh tumhare liye behtar hai agar tum jano. phir jab Namaz puri ho jaye tou zameen me fayl jao aur Allah ka fazal (rozi) talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karo, taaki tum kamyabi pao." 📕 Surah Al-Jumu'ah 9-10…
Hadith: Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta… Hadith: 5-April: Talha (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta hai, Allah Taala usko Izzat wa sarbulandi ata karta hai. -Musnad al-Bazzar 946
Maaf karne ki Hadees: Samjhote me Pahal Karne Wale… Maaf karne ki Hadees:Samjhote me Pahal Karne Wale ke Gunah Muaf Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Do Jhagda Karne Walo me Pahle Sulah (Samjhota) Karne Wale ke Gunah Muaf Kar Diye Jate hai" 📕 Sahih Al Targeeb, Hadees 2759
Bimari Momeen ko Gunaaho se paak kar deta hai... Bimari, Takleef aur Pareshani se Gunah Maaf ho Jate hai ✦ Bukhaar Momin ko Gunaaho se paak kara deta hai: Abu Huraira (R.A) ne farmaya ki, Rasool-e-kareem (ﷺ) ke paas bukhar ka charcha kiya gaya, tou ek shakhs ne bukhar ko bura kaha. Aap (ﷺ) ne farmaya: "Bukhaar ko bura na kaho !, iss liye ki wo (Momin ko) Gunaaho se iss tarah paak kar deta hai, jaise Aag lohe ki mail ko saaf kar deta hai." 📕 Sunan Ibn…
Hadees: Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey… Hadith: 17-April: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jab tum me se kisi ka luqma gir jaye to usey saaf kar ke kha le, shaitan ke liye naa chhode. 📕 Sahih Muslim 2034 In-book reference : Book 36, Hadith 180 USC-MSA web (English) reference : Book 23, Hadith 5049 (deprecated numbering scheme)
Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? Takkabur kise kehte hai ? Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai. ✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki "Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai." [Sahih Muslim: Hadith 91] Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai: 1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis…
Allah Taala Gaali galoch Karnewalo ko Pasand nahi… Gaali Galoch karna kaisa? Hadees: Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad farmaya: “Allah Ta’ala Gaali galoch Karnewalo ko Pasand nahi karta.” 📕 Al Adab al Mufrad, Hadees 310
Jisko Amal piche karde uska Nasab usey Aage nahi kar sakta Jisko Amal piche karde uska Nasab usey Aage nahi kar sakta Ek doosre ki pehchan aur ek doosre ka ta’arruf ho isliye Allah ﷻ ne insano ko mukhtalif ansaab (khandano) me baant diya hai. Agar koi Shakhs Iman na laye, Naik Amal na kare, Roza, Namaz ki pabandi na kare aur kahe ke mai Aala Nasab (Khandan) ka hu, Mai Quraishi/Sayyed Khandan se ta’alluq rakhta hun tab bhi uska ye kehna Allah ke yahan usey koi fayda pohchane wala nahi. Allah ke samne koi ye uzr nahi pesh kar…
Koi Shakhs Imanwala nahi ho sakta jabtak Nabi (ﷺ) ko… Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, Beshak Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya, "Qasam hai Us Zaat ki jis ke haath mein meri jaan hai, Tum mein se koi bhi imanwala nahi hoga jab taq Main uske Waalid aur Aulaad se bhi Ziyada Uska mehboob nah ban jaoon." 📕 Sahih al-Bukhari, 14 ♥ SubhanAllah! Beshaq Humari Dunia aur Aakhirat ki kamiyabi ke liye Allah Ta'ala ne humey Sabse Azeem Rasool Ata kiya, Humey Aap (ﷺ) ka ummati hone ka sharf ata…
Zikr-e-Illahi ke siwaye Kasrat-e-Kalam Dil ko Sakht… ✦ RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Zikr-e-Illahi ke siwaye Kalam ki Kasrat (bahut zyada baat Karne ) se bacho! kyunke Zikr-e-Illahi ke siwaye Kasrat-e-Kalam Dil ko Sakht Bana deta hai aur logo mein Allah Subhanahu se Sabse zyada door Sakht Dil wala hoga." - (Jamia Tirmaizi Jild 2, 2411-hasan) ✦ रसूलअल्लाह (सलल्लाहु अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "ज़िक्रे इलाही के सिवाए कलाम की कसरत (बहुत ज्यादा बात करने ) से बचो! क्यूंकि ज़िक्र इलाही के सिवाए कसरते कलाम दिल को सख्त बना देता है और लोगो में…
Hadees: Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai… Unn Fitno se bacho jo khaas Zalimon par hi nahi ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Tum un fitno se bachte raho jo tum mein se khaas Zalimon par hi nahi padhega aur jaan lo ki beshaq ALLAH subhanhu sakht azab karne wala hai." 📕 Surah Al-Anfal 8:25 Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo acche aur bure sab logon par aata hai Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "ALLAH jab kisi…
Allah Taala ki Aayatein Momino ke Iman ko badha Allah Taala ki Aayatein Momino ke Iman ko badha deti hai Allah Taala farmata hai: "Jab Allah Taala ki Aayatein un Imanwalo ko padh kar sunayi jaati hai tou wo Aayatein un ke iman ko aur badha deti hai." 📕 Quran, 8:2
Bure Rishtedar se Rishta Todna Kaisa hai? https://www.youtube.com/watch?v=w5215udMFdQ Bure Rishtedar se Rishta Todna Kaisa hai? Bure Rishtedar se Rishta todna,Qata Rehmi ya Qata Talluk karna kaisa hai Jabke Unhone hume Dhoka bhi diya hai by @Adv. Faiz Syed
Hadith: Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada… Hadith: 6-April: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Allah Taala ke Nazdeek sab se ziyada pasandida shakhs woh hai jo us ki ayaal (makhlooq) ko ziyada nafa pohchaye. -Shoaib Ul Iman 7445