Allah ki Nafarmani me kisi ki Itaat nahi
Hadees: Hazrate Ali (R.A) se riwayat hai ki –
RasoolAllah (ﷺ) ne Ek Lashkar Rawana farmaya aur
Ek Shakhs ko Uska Sardar bana diya aur Logo ko Uski Itaat karne ki Taqeed ki.
Uss Shakhs ne Aag Jalayee aur Logo ko kaha ki Aag me Kud Jao.
Kuch Logon ne Uski ye baat Man’ne se Inkar kar diya aur kaha ki –
“Hum Tou Aag se Bhaagkar Islam me Aaye Hain”
Aur Kuch Logo ne Ameer ki Ita’at Samajhkar Aag me dakhil hona chaha.
Ye Khabar Rasool’Allah (ﷺ) ke Pass Pahuchi tou Aap (ﷺ) ne farmaya –
“Agar Wo Log Aag me Kud Jatey tou Hamesha Usee me Rehte.”
Iske Baad Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Allah ki Nafarmani me kisi ki Ita’at nahi karni chahiye,
Ita’at tou Sirf Uss me hai Jo Maruf ho (Yaani Neik aur jayaz baat ho).”