Allah ki Makhlook ko rahat Pohuchana sabse Afzal Sadqa
Hadees: Sa’d Bin Ubadah (R.A) se riwayat hai,
Maine Nab-e-Kareem (ﷺ) se poochha
“Kaunsa Sadaqah Afzal hai?”
Aap (ﷺ) ne farmaya
“Paani Pilana”
📕 Sunan Ibn e Maja, Hadith 3684
# Wajahat:
Jahan par logo ko Paani ki Haajat ho waha “Sabeel rakhna” Ya Kuwa Ya Hauz bana dena.
Isi tarah Jahan jis cheez ki Musalmano ko Zarurat ho aur takleef ho rahi ho , waha usi ka Sadqa Afzal Hoga.
Aur Hasil yeh hai ke Allah ki Makhlookh ko Rahat Pahuchana. Is se Jyada Sawab Kisi Cheez me nahi, yaha tak ke Janwaro ko Rahat Pahuchane me bhi Bada Ajar hai.
♥ In’sha’Allah ul Azeez !!!
Allah Taala hume Kehne Sun’ne se Jyada Amal ki Taufik dey. Ameen.