“Ek Musalman dusre Musalman ka Bhai haiaur jab musalman apne bhai ke haath koi cheez bechey jis me Aib (Burayi) hotou jab tak bayaan na kare us sey bechna halaal nahi.”
Sabaq: Tijarat me iss baat ka hamesha khayal rakhe ki agar kisi ko koi cheez bech rahe ho tou bechne se pehle uss cheez ki khami aur aibo ko bhi bayaan kare ki yeh uss par wajib hai.
Har Cheez ke saath accha tareeqa ikhteyar kare Har Cheez ke saath accha tareeqa ikhteyar kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Allah Taala ne Har cheez ke saath accha tareeqa ikhteyaar karnaZaroori qaraar diya hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees 1955 (5055)
Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain ... Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain Numan Bin Bashir (R.A) se riwayat hai ki,Mai ne Rasool'Allah (ﷺ) se suna ki - "Halaal aur Haraam Khula hua hai aur Inn Dono ke Darmiyan kuch Cheezein Shuba (Doubtful) waali hain Jinko bahut se Log nahi jantey." *Phir Jisney Apne Aapko Inn Shuba ki Cheezon se bacha liya Usney Apney Deen aur Izzat ko bacha liya. Aur jo koi In Shuba ki Cheezon me parh gaya uski missal Uss Charwahey…
Istikhara karne ki Dua aur tareeqa Istikhara ki Dua ۞ Hadees: Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) humko apne tamam kaamo mein istikhara karne ki is tarah taalim dete they jis tarah Quran ki koi surah sikhlaate. Aap (ﷺ) farmate ki jab koi ahem muaamla tumahre samne ho to farz ke alawa do rakat Nawafil parhne ke baad ye dua parhe اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْتَخِيرُكَ بِعِلْمِكَ وَأَسْتَقْدِرُكَ بِقُدْرَتِكَ، وَأَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ الْعَظِيمِ، فَإِنَّكَ تَقْدِرُ وَلاَ أَقْدِرُ وَتَعْلَمُ وَلاَ أَعْلَمُ وَأَنْتَ عَلاَّمُ الْغُيُوبِ،اللَّهُمَّ إِنْ…
Hadees: Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza… Rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah se daro aur rozi talaash karne mein halaal aur paakeeza tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de." 📕 Shoebul Imaan, Hadees : 10376
Har Nasha Waali Cheez Haraam hai Har Nasha Waali Cheez Haraam hai ۞ Hadees: Jo Aadmi Nasha Waali cheez peeyega ussey Allah Ta'ala Tinatah-al-khabaal peelayega Jabir (R.A.) se riwayat hai ke, Jaishaan se ek Aadmi Aaya aur Jaishaan Ek Shahar (Town) hai Yeman me, Uss Aadmi ne RasoolAllah (ﷺ) se Uss Sharaab ke Baarey me Puchha ke Jo Unn Elaqon me Pee jati hai aur wo Sharaab jo Taiyaar hoti hai Uss Sharaab ko Mizr kaha jata tha. Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Wo Sharaab Nasha…
Kisi ke Aib ki talash me mat raho Kisi ke Aib ki talash me mat raho Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Aye Imanwalo! Kisi ke Aib ki talash me mat raho." 📕 Surah Al-Hujurat 49:12
Kisi Musalman ke Aib Chupaane ka Sawaab: Hadees ۞ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) Irshad farmatey hai ki, "Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir Usey Chhupaye tou isey Allah Ta’ala Itna Ziyada Sawaab ata karega jaise Zinda dafnayi bacchi ko Qabr se Nikal kar uski Parwarish kare aur uski Zindagi ka Saamaan kar dey." 📕 Mishkat 2-424
Har Shakhs ko uski Mout waali Kaifiyat me uthaya jayega Har Shakhs ko uski Mout waali Kaifiyat me uthaya jayega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Har Shakhs ko usi Kaifiyat me uthaya jayega jis par usko mout aayi thi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2878(7232)
Meraj me Nabi (ﷺ) ko 3 Cheeze Ata ki gayi jo Aap se… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Hadith Roman Urdu: Hazrate Abdullah bin Masood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki: ❝Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ko Jab Meraj hui tou Aap (ﷺ) 'Sidrat-Ul-Muntaha' tak pahunchey, waha Aap (ﷺ) ko 3 Cheezein di gayee jo Aap se pehle kisi bhi Nabi ko nahi di gayi. Ek paanch (5) Namazein, Dusra Surah Baqra ki aakhri 2 Aaytein, Teesra Alllah Subhanahu Ta'ala ne baksh diya Aap (ﷺ) ki Ummat me se har uss shakhs ko jo Allah…
Waade ko poora karo, Beshak poochh hone waali hai Wade ke baare me Beshak poochh hone waali hai "Ahad (Jayaz Waade) ko poora kiya karo; beshak (aise) ahad ke baare mein (tum se) poochh taachh hone waali hai." 📕 Surah Al-Isra 17:34
Tijarat me Jhoothi Qasam Khane ka Anjaam Tijarat me Jhoothi Qasam Khane ka Anjaam Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jhoothi Qasam ke Jarye apne samaan ki maang badhaane wale se qayamat ke din Allah Taala na baat karega aur na uski taraf Rehmat ki Nazar se dekhega." 📕 Sahih Muslim, Hadees 106
Khana khane ke Adab | RasoolAllah (ﷺ) ne kabhi… Hadees: Hazrat Abu Hurairah (R.A) farmate hain: "Allah ke Rasool (ﷺ) ne kabhi bhi Kisi Khane mein Aib nahi Lagaya, Jab Aapko Pasand Aata tou Kha Lete nahi tou Chhor dete." 📕 Tirmizi, Hadees: 2031 Sahih
Hadees: Allah Ta'ala ko Lagne waali Sabse Boori baat Hadees: Abdullah bin Masood (R.A.) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Allah Subhanhu Ta'ala ko sabse Napasandeeda (Buri) baat ye lagti hai ki koi shakhs kisi se kahe ki Allah se Daro aur wo kahne lage ke Tu apni fikar kar." 📕 Al SilSila As Sahiha, 2809, 📕Al Baihiqi,601-Sahih
Binaa kisi khas wajah se Talaaq mangne waali Aurat ka hashr Thawban (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Jo Aurat bina koi khas wajah ke Shohar se Talaaq talab karey tou uss par Jannat ki Khushbu haraam hai." 📕 Sunan Abi Dawud 2226-Sahih थवबान (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया: "जो औरत बिना कोई खास वजह के शोहर से तलाक मांगे तो उस पर जन्नत की खुशबु हराम है।" 📕 सुनन अबू दावूद 222-सहीह ثوبان رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی…
Insan me paayi jaane waali sab se buri Aadatein Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai, “Insan me paayi jaane waali sab se buri Aadatein intihaai darje ka Laalach aur Buzdili hai.” 📕 Abu Dawud, Hadees 2511