Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai
“Zamane Ki Qasam ! Insan Dar-Haqikat Ghate Me Hai, Siway Unn Logon Ke Jo Imaan Laye Aur Nek Aamal Karte Rahe Aur Ek Dusre Ko Haq Ki Naseehat Aur Sabr Ki Talkin Karte Rahe.”
– (Surah Asr: Ayat 1-3)
is Surah me Allah Ta’ala apne bando ko jis baat par Nasihat kar raha hai wo ye ke Imaan aur Nek Amal dono hi aham hai un logo ke liye Jo Kamiyabi Chahte hai Aakhirat ke Aitbar se,. tou aayiye is post me Iman aur Amale Swalehat Ka Zikr Karte hai.
# Iman aur Akida kaisa ho ?
Ab iman kaisa ho Allah Rabbul Izzat iske talluk se farmata hai ke:
“Agar ye log iman latey hai jaisa Nabi aur Sahaba iman laye, fir ye log hidayat par hai” – (2:137)
– is ayat ke pasemanzar me aata hai ke Allah Ta’ala un logo ke talluk se farma raha hai Jo Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke dour me Ahle Kitab, Mushrikane Makka Jo Allah par iman ka Dawa karte they lekin apni Manmani tarike se, tou Allah Ta’ala ne inke Iman ki Qabuliyat ke liye ek Usool Ata Kiya aur farmaya ke “Iman jab tumhe Lana hai to Jaisa Mere Nabi ke Sahabi Iman laye us tarha tum iman lao, tab mere nazdik tumhara iman Qabil-e-Qabool hai ,..”
– Tou Iman lane Ka Usool Allah ne Wajeh Kar Diya ,. ke Iman Apni Manmani tarike se ya iske uske aur falah aur falah ke tarike par nahi lana, balki waisa hi lana hai Jaisa Sahaba laye,.. Lekin aaj agar dekha jaye to hum me se kayi Musalmano ka haal yahi hai ke ye log Imaan tou laye lekin aisa jiski koi Sharayi daleel nahi,..
*koi kehta hai Allah har jagah hai, *Koi Kehta hai Allah aur bande me koi fark hi nahi, *koi kehta hai Ibadat me is tarha mashgool ho jao ke tum Allah me sama jao aur Allah tum me sama jaye (Nazubillah) , tou koi ye Akida rakhta hai ke Allah apne nek bando ki marzi ka mohtaj hai, SubhanAllah!!! kis hadd tak ye log akide ki Gumrahiyo me mubtela hai,.. aur fir Imanwale hone ke dawedar,. MashaAllah !!!
*Tou is haal me hum sabko , ek aam Musalman ko kya karna chahiye? Iman aur Sahi Akide ka Taruf Kaha se hasil kare? tou iska sidha sa usool hai ke “Allah ki kitab aur Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Sunnat me hume apne tamam sawalo ke jawab talashne hai. aur Quran ha hukm bhi waisa samjhna hai jaisa Sahaba ne samjha? kyunki jin logo par Allah ki wahi nazil hua karti thi unse behtar uski tashreeh aur koi nahi kar sakta,..
# Amal-e-Saleh (Nek Amal)
Ab rahi Baat Amale Swalehat yaani Nek Amal ki tou Allah Ta’ala ne Quran ki Surah 2:25, 2:82, 4:57, 4:122, 4:124, 5:9 aur bhi Beshumar muqamat par Wajeh taur se farmaya aur kaha:
“Aur jo Iman laye aur Unhone Nek Amal Kiye Hai Wahi Log Jannati Hai ki Humesha Jannat me Rahenge”
*Tou Maloom hua ke Iman Ke Baad Nek Amal Behad Jaruri hai Aakhirat ki Kamiyab ke liye. Ab Agar koi ye kahe ke hum tou khub Nek amal karte hai lekin Aqida durust na ho to kya hum bhi khassare me jayenge? tou yaad rakhiye Bilkul Ha! sirf Amal kafi nahi,. Kyunki Aakhirat ki kamiyabi ke liye Sahi Sabit Iman aur Amal-e-Saleh dono hi lazim hai, Lihaja Sahi Iman aur Uske Sath Nek Amal ye dono Aham hai, inme se ek ke bagair dusre ka tasawwur hi nahi..
*Tou beharhal Aakhirat ki kamiyabi ke liye ek Aam Musalman ke liye kafi hai Allah ki Kitab Quran aur Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sirat(Sunnat) ka mutala kare aur uspar Amal kare, Fir Jitna Ho Sakey Nek Amal Karey aur un Allah walo (Ulemaye Haq) se jhud jaye jo Ikhlas ke sath logo ko Allah ki hidayat ki taraf bulate ho,. yani jinke koi Hidden Agendas na ho ,.. Yahi Sarapa hidayat hai, Aur Baqoul Qurane Majid Yahi Log Kamiyab hone wale hai ,..
♥ In sha Allah Ul Azeez
– Allah Ta’ala hume Sahi Sabit Imaan wala banaye
– Humare Qurano Sunnat ka Muttabey Banaye,
– Hume Sahaba (R.A.) ke faham ke Mutabik is Deen par Amal ki Taufik Ata farmaye,
– Khub se khub Amale Salehat ki Taufik Ata farmaye,
– Jab tak hume Zinda rakhe Iman aur Islam par Zinda rakhe,
– Khatma Humara Iman par ho ,..
!!! wa akhiru dawana Alhamdulillahi rabbil alamin !!!
Related Posts: