♥ Mafhoom-e-Hadees: Suhaib (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Irshad farmaya:
Jab Jannati Jannat me paunch jayenge, To Allah Ta’ala Unse Irshad farmayenge:
“Kya Tum Chahte ho ki Mai Tumko Mazeed Ek Cheez Ata karun Yani Tumko jo kuch ab tak Ata hua hai us par Mazeed Ek khaas Cheez Inayat karun ?..”
*Wo Kahenge: “Kya Aap ne Hamare Chehre Roshan nahi kar diye Aur kya Aapne Hame Dozakh se Bacha kar Jannat me Dakhil Nahi kar diya ? (Ab Iske Alawa Aur kya Cheez ho sakti hai jiski Hum Khawaish Karein!,.. Bandon ke Is Jawab k Baad) Fir Allah Ta’ala parda hata dega (Jiske baad Wo Allah Ta’ala ka Deedar karenge)
*Ab Unka ye Haal hoga ki jo kuch ab tak Inhe mila tha, Un Sabse Zyadah Mehboob Unke liye Apne Rab ke Deedar ki Ne’mat hogi.”
– Saheeh Muslim: 449
♥ SubhanAllah !!!
– Allah Rabbul Izzat hum Sabko Apne Muqarrib bando me Shumar Farmaye..
– Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki taufik Ata farmaye ,. Ameen Summa Ameen !!!