Ramzan Ke Mahine Me Taraweeh Ki Shakl Me Hum Tilawat-e-Quraan Sun Saktey Hai Ye Bhi Ek Acha Tareeka Hai ,..
…. Lekin Meharbaani Kar Ke Inn Taraweeh Ki Namazo Ko Humara Aur Tumhara ,.. Apna Aur Paraya , Wo Jamat Ka Aur Ye Jamat Ka Farq Karnewali Cheez Mat Banaiye ,.
*Aakhir Kitna Bhi Kahey Tou Ye Ibadat “Nafeel Ya Sunnat Hai ,…” Farz Tou Nahi Hai Na,..
* Faraiz Ki Pabandi Ho Rahi Hai Mua’mla Bus Thik Hai,.. Acha Hai !!
… Ab Koi Shakhs 20 Rakat Padhta Hai , 8 Rakat Padhta Hai, 28 Rakat Padhta Hai , Raatbhar Padhta Hai, Nahi Padhta Hai,.. Ye Sabka Apna Zaati Masla Hai ,.. Isey Jhagdey Ka Mouju Na Banayiye ,..
Allah Ke Liye Ramzan Ke Mahine Ko Timpass Ka Mahina Na Banaye ,..
Ismey Badi Sanjidagi Ke Sath Ibadatey Kijiye , Zikr-O-Azkar Kijiye ,… Tilawate Quraan Kijiye ,.. Aur Jo Kuch Bhi Jo Insan Ibadat Kar Raha Hai Usey Sarahiye ,…
Agar Lagta Hai Ke Wo Galat Hai Lekin Karta Rahega Tou Jarur Wo EK Din Haq Ki Taraf Aayega ,… Ye Soch Ke Chorr Dijiye , Dargujar Kar Dijiye ,..
*Tou Beharhaal Tarawih Ki Ibadat Ko Ladayi Ka Mouju Mat Banaiye Jhagdey Ka Mouju Mat Bananiye ,.. Ikhtelaf Ki Vajuhat Mat Banayiye
*Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufik Ata Farmaye ,..
* Hum Tamam Ko Iss Ramzan Ko Sahi Tareeke Se Manaane Ki Taufiq Dey,..
* Iss Ramzan Ko Humari Zindagiyo Ko Tabdil Karne Wala Bana Dey,..
* Iss Ramzan Ka Sahi Fayda Aur Taqwa Ikhtiyar Karne Ki Allah Rabbul Izzat Hume Taufiq Dey …
* Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
* Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!