Mohabbat Kisko Kahte hai ?
Aayiye Ek Misal De Du Mohabbat Ki… Ke Mohabbat Kisi Cheez Ka Sirf Naam Nahi Mohabbat. Balki Mohabbat Ka Matlab Hota Hai Ita’at.
Agar Mai Ye Kahu Aapse Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu! Tou Kya Tasawwur Karoge Aap Mere Baare Me ?
– Shayad Unki Khidmat Karta Ho, Raato Me Uthkar Pair Dabata Ho, Kabhi Arey-Turey Na Kahta Ho, Uff Bhi Na Karta Ho.
Yahi Saari Baate Khayal Karoge Na Aap Mere Baare Me ?
– Matlab Meri Mohabbat Ko Ita’at Me Aap Tasawwur Karoge.
Lekin Agar Mai Aapse Kahu Ke Mai Apne Walidain Se Mohabbat Karta Hu ! Aur Unko Marta Hu! Tou Kya Aap Isko Mohabbat Kahoge ? Nahi ! Bilkul Bhi Nahi.
Tou Agar Mai Kehta Hu Ke RasoolAllah (ﷺ) se Mujhe Mohabbat Hai Tou Ita-at Lazim Hai Uske Sath, Ita-at Ke Bagair Mohabbat Bekaar Hai.
Lekin Jis tarha se Aaj Mohabbat ke Naare Lagtey Hai. (Subhan’Allah!)
– Ita-at Kaha Hai mere Bhayiyo? Waha tou Sab Manmani chal rahi hai …
– Fir RasoolAllah ﷺ Se Mohabbat Ke Dawey Hai ,..
Jabki Mohabbat Ka Lazmi Zuz Ita-at hai, Farmabardari hai, Itteba hai.
Uss Tareeke Par Chalna Hai, Uske Pasand Ko Pasand Karna Hai,
Uski Napasand Ko Napasand Karna Hai,
Uski Acchayi Ko Acchayi Samjhna Hai,
Usney Jisko Bura Samjah Usko Bura Samjhna Hai,
Usney Jo Kiya Wo Karna Hai,
Usney Jo Na Kiya Wo Nahi Karna Hai,
Ye Hai Mohabbat, Aur Yahi Hai Ita-at.
Tou Beharhaal! Humare Liye Ye Jaruri Hai ke RasoolAllah (ﷺ) Ko Har Mu’amlo Me Ideal Aur Role Model Banaye Jaisa Ke Quraan Ne Hume Hukm Diya.
Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Mukhtalif Muqamat Par, Itney Muqamat Hai Ke Humare Liye Ginana Mushkil Hai Jaha RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Ka Hukm Diya Hume.. Itne Muqamat Jiski Koi Inteha Nahi.
Lekin Iske Bawajud Aaj Ita-at aur farmabardari Ke Muamle Me Kya Humara Haal Hai ?
– Ke Aaj Humari Zindagi Ka Koi Bhi Shoba Utha Lijiye Wo Sunnat Se Khaali Hai,
– Agar Sahaba Iss Dour Me Aa Jatey Tou Shayad Wo Humko Musalman Bhi Na Mantey !!
– Ke Kaisa Aajka Musalman Hai Ye: Ke Rasool Ki Sunnato Par Unhoney Jaan Di Aur Ye Aaj Ka Musalman Rasool Ko Rasool Maankar Jaan Dena Tou Door Sunnat Par Amal Bhi Nahi Karta ,..
Sahaba ki Mohabbat Kaisi thi Rasool’Allah se ?
Rasool’Allah (ﷺ) Ki Sunnat Aur Aapki Ita-at Aur Aapki Itteba Aur Mohabbat Sahaba Ke Zindagi Me Kaisi Thi Aayiye Ek Hi Wakiye Ke Jarye Bataney Ki Koshish Karte Hai Hum,
Ye Wakiya Aapne Sirat Me Padha Hai:
Ek Sahabi Ko Mushrikaan-e-Makka ne Giraftaar Kiya aur Faansi Deney Ka Irada Kiya!!
Kaha Ke: “Imaan Chorr Do Warna Faansi De Di Jayegi!!”
Uss Sahabi Ne Kaha: “Imaan Tou Nahi Chorr Sakta! Faansi Chaho Tou De Do!”
Wo Kahne Lage Ke: “Accha Chalo Tumko Muaf Kar Dete Hai, Sirf Tum Apne Rasool Ko Gaali De Do…”
Tou Uss Sahabi Ne Jawaab Diya Ke: “Mere RasoolAllah (ﷺ) Ko Bura Bhala Kehna Tou Door, RasoolAllah Ko Kaanta bhi Chubh Jaye Wo Tasawwur bhi Nahi Kar Sakta Mai, Tumko Jo Chahey Mere Sath Karna Hai Karo..” Aur Unko Faansi De Di Gayi Aur Shaheed Kar Diya Gaya.
Tou RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba Aur Mohabbat Kaisi Thi Sahaba Ke Zindagi Me! Ke Rasool’Allah Ko Kaanta Bhi Chubh Jana Mohal Tha Unke Liye.
– Lekin Aaj Itteba-e-Rasool, Kalma-e-Rasool Padhkar Aaj Tamam Zindagi Ke Shobey Hum Uske Bar Khilaaf Jaatey hai. (Allah Khair Karey)
Aur Sahaba Ka Wo Jasba Tha Ke Unki Jindagi Ka Koi Shoba Sunnat Se Khaali Na Tha,
– Haa! Agar Koi Baat Maloom Na Thi Tou Wo Tehqeek Kar Letey, Dusro Se Puch Letey Aur Apni Islah Kar Letey …
Lihaja Hume bhi Chahiye ke Apne Zindagi ke Tamam Shobo me RasoolAllah (ﷺ) Ki Itteba, farmabardari ko Lazim aur Farz Jaaney.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez!!!
– Allah Ta’ala hume Kehne Sun ne se Jyada Amal Ki Taufiq Dey.
To be continued …