♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke,
“Jab Koi Banda Allah Ta’ala Ke Diye Huve Neymat Par Alahmdulillah Kehta Hai
Tou Allah Ta’ala Uss Se Afzal Neymat Ata Farmata Hai”.
– (Ibne Maaja Hadith no.3805)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke,
“Jab Tumney Alhamdulillah Kaha Tou Rab Ka Shukr Ada Huwa Aur Tumhari Neymat Me Ezaafa”.
– (Jameul Bayan 1/90)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Jis Ne Khaleel Chiz Ka Shukr Ada Nahi Kiya Usney Kaseer Chiz Ka Bhi Shukr Ada Na Kiya
Aur Allah Ki Neymat Ka Bayan Karna Shukr Hai Aur Tark Karna Kufr Hai”.
– (Masnade Ahmed H-18361)
Related Posts: