#1. in me se Kounsa Amal Dil ko Murda Bana deta hai ?
Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya –
“Zyada naa Hasaa karo, Iss liye ke Ziyada Hasna Dil ko Murda bana deta hai.”
– Ibn Majah, Hadith no. 4193
#2. Wiraan Ghar ki Misaal in me se kya hai?
Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai:
“Jis Seene me Kuch bhi Quraan na ho, Wo Wiraan Ghar ki Misaal hai.”
– Tirmizi J:4 S:419 Hadees:2922
#3. In me se Kounsa Amal ZULM hai?
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmatey hai –
“Badzubaani Zulm hai aur Zulm Jahannam me hai. Hayaa Imaan hai aur Imaan Jannat me hai.”
– Ahmad, Tirmizi Sharif
#4. Yakub (Alahi Salam) ne Mout ke Wakt Apne Beto’n ko kounsi Wasiyat ki ?
Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai –
“(Aye Yahood!!) Kya tum Uss Wakt Moujud they Jab Yakub par Mout aa khadi hui thi uss waqt Apne beto se kaha ki Mere baad bhi kis ki Ibadat karoge ?
(Tou) Kahne lagey hum Aapke Mabood aur Aap ke Baap-Dadao Ibrahim-Wa-Isamail ke Mabood wa yakta Allah ki Ibadat karenge aur Hum uske farmabardaar hai.”
– Surah Al-Baqrah 2:133
#5. Haqeeqat me Ameer koun ?
Hadees: Farmane RasoolAllah (ﷺ) hai ke –
“Ameeri Maal ki Qasrat se nahi hoti, balke Asal Ameeri Dilo ka Ghani hona hai.”
– Sahih Bukhari, Kitaabur Raqaq, Hadees-6081