Islamic Sawal Jawab Quiz 5

 

#1. Allah ka Zikr Na Karnewale ki Misaal in me se kya hai?

Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai ke –

“Jo Shakhs Allah Ta’ala ka Zikr karta hai aur Jo Allah Ta’ala ka Zikr nahi karta Unn ki Misaal Aesi hai jaise – “Ek Zinda aur Ek Murda.

– Al-Bukhari and Muslim
– Arabic/English Book Ref: Book-16, Hadith#1434

#2. Apne Baccho ko Boli Sikhaane ka Aagaz kis Baat se Kare?

Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai:

Kalma-e-Taiyaba, ‘La Ilaha Illallah’ Se Apne Bacchey Ko Boli Sikhaney Ka Aagaaz Karo”.

– Baihaqi Sharif

#3. In me se Kounsi Cheez Aurato ke liye tou Halaal hai Magar Mardo ke liye Haraam?

Hadees: Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai –

“Sona (Gold) aur Resham (Silk) Meri Ummat Ki Aurato Par Halaal hai aur Mardon Par Haraam.”

– Sunan an-Nasa’i #5148; Book 48, Hadith#109

#4. In me se Kounse Shakhs ki 40 din tak Namaz Qabool Nahi hoti?

Hadees: Hazrate Hafsa (R.A) se riwayat hai ke,
Rasool-e-Paak (ﷺ) ne farmaya Ki –

“Agar Koi Musalman Kisi Majoosi, (Qaahin) ke Paas jakar Kuch Daryaft karta hai tou Uski 40 Din ki Namaz Qubool Nahi Hoti.”

– Muslim Sharif Vol-2 Page-233

#5. Jab Shaam ka Andhera hone lagey tou Baccho ko Gharo me kyu Rokne ka Hukm diya?

Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmatey hai –

“Jab Shaam ka Andhera (Magrib) hone lagey tou
Apne Baccho Ko Ghar me Rokey Rakho Kyunki Uss Waqt Jinn aur Shayateen Fayl Jatey hai”.

– Bukhari#3316;
– Sunan Abu Dawud#2604




Previous
Finish

Results

Pre Quiz All Next Quiz