Islamic Quiz 277
Inmein se Kaunsa Naam RasoolAllah (ﷺ) ka hai ?
Options Are 👇
A. Al-Baari
B. Al-Hashir
C. Ar-Raqeeb
D. Al-Mumeet
ka Sahih jawab hai : Option ( B )
✅ Al-Hashir
Jubair b. Mut’im (R.A) se riwayat hai ki,
RasoollAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Main Muhammad hu aur Main Ahmad hu aur main Maahi hu, yaani meri wajah se ALLAH taala Kufr ko mitayega aur Hashir hu. yaani log mere qadmo par Hashr (ikaththey) kiye jayengey aur Aaqib hu yaani mere baad koi Nabi nahi hai.”