Contents
Quran mein Allah Ta‘ala ne kuch anbiya ko azeem fazilat se nawaza. Ek Nabi ke saath to pahad aur parinde bhi Allah ki tasbeeh kiya karte the.
Islamic Quiz 379
Pahad (mountains) kaunse Nabi ke saath milkar Allah ki tasbeeh kiya karte they?
A. Ibrahim (AS)
B. Sulaiman (AS)
C. Yaqub (AS)
D. Dawud (AS)
Islamic Quiz 379 : Pahad (mountains) kaunse Nabi ke saath milkar Allah ki tasbeeh kiya karte they?
Sahih jawab hai : Option ( D )
✅ Dawud (AS)
Daleel :
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Quran: “Aur beshak humne Dawud (AS) ko apni taraf se fazl ata kiya tha (aur farmaya tha) ‘Ae pahado! Tum unke saath tasbeeh kiya karo, aur (ae) parindo! (tum bhi).’”
📖 Surah Saba (34), Ayat 10