Aaj hum sab dekh rahe hain ki zubaan (languages) ke naam par kitne fitney paida ho rahe hain:
- Mulk tode jaate hain zubaan ke naam par.
- Falaah zubaan bolne wale unche aur falaah zubaan bolne wale niche samjhe jaate hain.
- Riyasatein baanti jaati hain zubaan ke naam par.
- Log ikhtelaaf karte hain ek-dusre se zubaan ke naam par.
Aayiye dekhte hain ke is ikhtelaaf ko shariat ne kaise mitaya. Jab Islam aalami aman ki baat karta hai to dekhiye Allah Rabbul Izzat zubaan ke talluk se kya farmata hai:
Al-Quran: “Wa Min Aayaatihee Khalqus Samaawaati Wal Aardi Wakhtilaafu Alsinatikum Wa Alwaanikum; Inna Fee Zaalika La Aayaatil Lil’aalimeen”
(Surah Room, Ayat 22)
Tarjuma: Allah Rabbul Izzat ki nishaniyon mein se hai ke usne aasman aur zameen ko paida kiya, aur tumhari zubaano aur rangat ka ikhtelaaf bhi Allah ki nishani hai.
Ye zubaan bhi ek tassub ki buniyad ban gayi hai. Aaj musalman bhi aapas mein zubaan ki buniyad par tassub karte hain:
- Falaah zubaan ke bolne waley unche aur falaah zubaan waley niche samjhe jaate hain.
Subhan’Allah!!! Hume batayiye kya humare deen aur shariyat ne zubaan ka tassub diya hume?
- Kya kisi riwayat mein aata hai ke falaah zubaan islami hai aur falaah zubaan islami nahi hai?
- Kya kisi bhi qoul mein humne padha ke falaah zubaan ameeron ki aur falaah zubaan gareebon ki hai?
Allah reham kare! Zubaanon ka ikhtelaf is had tak pahunch gaya hai ke kuch log kuch cheezo ki taalim hasil nahi karte kyunki wo zubaan falaah logon ki hai:
- Wo zubaan yahudiyon ki hai.
- Wo zubaan nasraniyon ki hai.
Lekin sawaal to yeh hai ke Rab farmata hai ke tumhari zubaanon ka ikhtelaf meri nishani hai! Fir kyun kar humne is muamle mein ikhtelaaf karte rehte hain?
- Koi Hindi bolta hai, koi Marathi, koi Urdu, Arabi, Telugu, Malyalam, Spanish, Japanese, aur na jaane kitni kitni zubaane tum bolte ho.
- Ek ek lafz ko kitne kitne namo se pukarte ho! Yeh bhi Allah ki nishani hai.
- Wo Rab hai jisne humare zehno mein yeh baatein dali aur humari zubaanon ko paida kiya.
Afsos ke humne is ikhtelaaf ko tassub ka moju bana diya, jabki yeh ikhtelaaf ki cheez nahi hai. Har zubaan Allah ki taraf se hai! Hume chahiye ke is tassub se bachen kyunki aalami aman ke khilaf zubaan ka tassub yeh bohot badi wajah banta hai.
InshaAllah-Ul-Azeez! Allah Ta’ala hume parhne sun’ne se jyada amal ki taufiq de:
- Jab tak hume zinda rakhe, Islam aur Imaan par zinda rakhe.
- Khatma humara Imaan par ho.
- !!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!