Fitra / Sadqa-e-Fitr / Zakaat al Fitr Kya hai aur… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ 1. SADQA-e-FITR / ZAKAT AL-FITR Kya Hai? Sadqa-e-Fitr ya Zakat al-Fitr, jise hum aam taur par ‘Fitra’ ke naam se jaante hai, yeh ek aisa Sadqa hai jo aap ke tamaam Rozo ko Paak karta hai. yeh ek khane pine ki cheez ki Shakal me di jaati hai un logo ko jo Faqeer ya Misqeen (Zaroorat mand) hai. 2. KYU DENA HAI? ✦ Hadees: Ibn Abbas (R.A.) Farmate hai ke: “RasoolAllah (Sallallaahu Alayhi Wasallam) ne Rozdaro ko…
Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Karne ke barabar Sawaab Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Hadees: Abu Masud Al-Ansari (R.A) se Riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab Musalman Apney Gharwalon par Allah ka Hukm Ada Karney ki Niyat se Kharch Karey tou Usmein bhi Usey Sadqey ka Sawaab Milta Hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 5351
Raste se Taqleef ki cheeze Door karna bhi Sadqa hai Raste se Taqleef ki cheeze Door karna bhi Sadqa hai Hadees: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Patthar Kanta aur Haddi (wagairah) ka Raste se hata dena Sadqa (Sawab ka Kaam) hai." 📕 Tirmidhi, Hadees 1956
Jab Allah Kisi Musalmaan ko Beemari Me Mubtilah Karta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Yahiya Ibn Say'eed (RaziAllahu Anhu) Se Rewayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Daur Me Ek Shakhs Ki Maut Par Dusra Ek Shakhs Ne Kaha, Woh Bara Naseebwala Tha, Kisi Beemari Ya Taqleef Ke Bagair Hi Mar Gaya, Ye Baat Sunkar RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Tum Mein Se Kisne Kaha Ki Woh Bahut Nassebwala Tha ? Agar Allah Usey Kisi Beemari Mein Mubtilah Karta ! Tou (Uske Badle) Uske Gunaho Ko Maaf (Kaffara) Kar Deta.,.."…
Hadees: Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai… Unn Fitno se bacho jo khaas Zalimon par hi nahi ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Tum un fitno se bachte raho jo tum mein se khaas Zalimon par hi nahi padhega aur jaan lo ki beshaq ALLAH subhanhu sakht azab karne wala hai." 📕 Surah Al-Anfal 8:25 Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo acche aur bure sab logon par aata hai Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "ALLAH jab kisi…
Al-Quran: Logon ke saath Neki karo, beshaq Allah… Quran: 18-June: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟(Logon ke Saath) Neki ikhtiyar karo, Beshaq Allah Neki karnewalo se Mohabbat karta hai.' 📕 Surah Baqrah 2:195
Jab Banda-e-Momin Wazu Karta Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‘Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke mun’h ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain. *Phir jis waqt Chehra dhota hai is ke Chehre ke Gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki Aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi Gunah nikal jaate hain. *Chehra dhote waqt Guhan daadhi ke kinaro’n se bhi…
Sadqa dene walo ka Silah Rab ke paas hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Log Apna Maal Allah ki Raah me Kharch karte hai, Phir Kharch karne ke baad na tou Ahsaan Jatlaate hai aur Na Takleeef pahunchaate hai, Unka Silah tou unke Rab ke yahan hai hi, aur Qayamat ke din Unko na tou koi khauf hoga aur na woh Ghamgeen honge." 📕 Surah Baqrah 2:262
Ghar ke Afraad ki Taraf se "Sadqa-e-Fitr" Sadqa fitr se Murad Ramdan ke Mahine ke pura hone par Namaze Eid se pahle har Musalman shakhs ki taraf se Fitra ada karna hai. ♫ Sadqaa-e-Fitr Ke Audio Bayan Ke Liye is Link Par Jaye ✦ Hadees: Hazrat Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) se marvi hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alahi Wasallam) ne Muslmano ke Ghulam, Azad, Mard , Aurat , Bache, Budhe sab par Sadka Farz kiya hai "Ek Saa'a(Taqriban 2.5 kg) Khajuro me aur ek saa'a Jau se aur…
Bhoole bhatke ko rasta bataana Sadqa hai Bhoole bhatke ko rasta bataana Sadaqa hai Hadees: Abu Zar (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Bhoole bhatke aadmi ko sahih raasta bataana Sadqa hai." 📕 Tirmidhi, Hadees: 1956
Hadith: Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta… Hadith: 5-April: Talha (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta hai, Allah Taala usko Izzat wa sarbulandi ata karta hai. -Musnad al-Bazzar 946
Sabse afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise Rishtedaar par kiya jaaye Hadees: Umme Kulsoom (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil me dushmani chupa rakhi ho." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 3427
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani… Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai ۞ Hadees: Ka'b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi 614; Grade: Hasan
Jo shakhs Allah se milne ko pasand karta hai ... Jo shakhs Allah se milne ko pasand karta hai Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jo shaks Allah se milne ko pasand karta hai, Allah bhi us se milne ko pasand karta hain aur jo shaks Allah se milne ko pasand nahi karta, Allah bhi us se milne ko pasand nahi karta." Hazrate Aisha, ya Aap (ﷺ) ki kisi biwi ne kaha: "Lekin maut ko to hum bhi pasand nahi karte." Aap (ﷺ) ne farmaya: "Allah ke milne se mout muraad…