Momin tou Aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr Aata hai… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Sacche Momin ki Pahchan Allah Taala Quran-e-Majid me farmata hai: "Momin tou aise hotey hai, Jab Allah ka Zikr aata hai tou Unke Dil hil jaate hai, aur Jab Allah ki Aayat unke Saamne padkar sunaayi jaati hai tou wo Aayat unke Imaan ko aur Zyaada kar deti hai, aur wo Allah par Poora Bharosa karte hai. Jo Namaz ki Paabandi karte hai, aur jo kuch Hamne(Allah) Unko diya hai Uss me se Kharch karte hai, Pas…
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155
Allah Ki Raah Me Roza Rakhne Ka Sawab ... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Sayeed Khudri (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu-Alaihi-Wasallam) Ne Farmaya Ki "Jo Ek Din Roza Rakhe Allah Ki Raah Me Tou Allah Uske Munh Ko 70 Baras Ki Raah Tak Dojakh Se Door Kar Deta Hai." - (Sahih Muslim, Vol 1, Hadith no. 2713)
Roza Iftar ki Fazilat Hadees ki Roshni me ۞ Hadees: Sulemaan Farsi (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya - "Jis ne Halaal Khane ya Paani se kisi Musalman ko Roza Iftar karwaya tou Farishtay Maa-e-Ramzaan ke Auqaat me uske liye Astaghfar karte hai, aur Jibreel (Alaihay Salam) Shab-e-Qadr me Uss ke liye Astaghfar karte hai." 📕 Tibrani Al Mo'ejam Al Kabair, Jild:6, Page:242, Hadith-6162 ۞ Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) farmate hai ke - "Jo Rozdaar ko (Iftari me) Paani Pilayega Allah Usey mere Houz…
Hadith: Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta… Hadith: 5-April: Talha (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta hai, Allah Taala usko Izzat wa sarbulandi ata karta hai. -Musnad al-Bazzar 946
Hadees: Jo Qoum Nahaq faisla karti hai usme Qatl wa… Nahaq faisla karne ka Anjaam Hadees: Abdullah Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Qoum Nahaq faisla karti hai usme Qatl wa Khoonrezi aam ho jati hai." 📕 Mu'atta Malik, Hadees 1670
Kya Sayed Afzal hai aur Unpar Zakaat Haram hai ? ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Sawal: Islam me Yakinan Khandani aur Rangat ke Aitbaar se Unch-Nich Ka Mumla Nahi Hai. tou fir kuch log aisa kyu tasawwur karte hai ke Sayed Unche hai aur baaki nichey. aur Kya Sayed par Zakaat Haram hai ? Aayiye Iski Hakikat Jan'ne ki koshish karte hai: Sabse pahli baat yeh hai ke “Sayed Afzal hai’ aisa logon ne kuch cheezo ko manmane dhang se bana liya, jabki Shariyat ne is cheez ki Ijajat nahi di.…
Ramadan Day 6 : Rozedar ke liye Roza aur Quraan… 06th Ramzan ۞ Hadees: Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi wasallam) ne farmaya:❝ Qayamat ke din Roza aur Qur’an sifarish karenge uspe amal karnewale ke haq me. ❞📚 Musnad Aḥmad 6589
Fitra / Sadqa-e-Fitr / Zakaat al Fitr Kya hai aur… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ 1. SADQA-e-FITR / ZAKAT AL-FITR Kya Hai? Sadqa-e-Fitr ya Zakat al-Fitr, jise hum aam taur par ‘Fitra’ ke naam se jaante hai, yeh ek aisa Sadqa hai jo aap ke tamaam Rozo ko Paak karta hai. yeh ek khane pine ki cheez ki Shakal me di jaati hai un logo ko jo Faqeer ya Misqeen (Zaroorat mand) hai. 2. KYU DENA HAI? ✦ Hadees: Ibn Abbas (R.A.) Farmate hai ke: “RasoolAllah (Sallallaahu Alayhi Wasallam) ne Rozdaro ko…
Tanhaai bure sathi se behtar hai aur nek saathi… Tanhaai bure sathi se behtar hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi behtar hai tanhaai se." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadess: 4993
Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai Allah jiski Bhalayi Chahta hai usko Deen ki Samajh deta hai Hadees: Hazrate Muawiya (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool ( ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta’ala Jis ke Sath Bhalayi ka Irada farmata hai Uss ko Deen ki Samajh de deta hai, Aur Mai to Mehaz Taqseem Karne Wala Hoon. Deney wala to Allah hi hai Aur yeh imaan hamesha Allah ke hukm per Qaym rehega Aur jo shakhs unki Mukhaalifat karega, Unhen Nuqsaan nahi puhancha sakega, yaha…
Roza Iftar ki Dawat denewalo ke liye Dua ✦ Mafhum-e-Hadees: Abdullah bin Zubair (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne Muadh (RaziAllahu Anhu) ke wahan Roza Iftar kiya tou (Unko ye) Dua di ❝Aftara Indakumus-Saimun, Wa Akala Taamakumul-Abrar, Wa Sallat Alaikumul- Malaikah ❞〘Rozedar tumharey yahan iftar karey, nek log tumhara khana khaye aur farishtey tumharey liye dua karey〙 - Sunan Ibn Majah, Hadith 1747-Sahih For more Islamic messages kindly download our Mobile App [post-content id="46102"]
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani… Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai ۞ Hadees: Ka'b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi 614; Grade: Hasan
Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Taala farmata hai: "Mere Bando ko Khabar de do Ki Main bohot bakhshne wala aur bada hi Meharbaan hoon. Aur Saath hi Mera Azab bhi Dardnak hai." 📕 Quran 15:49-50
Qurbani ki iste'tat (capacity) Naa rakhne walo ke… ✦ Mafhum-e-Hadith: Hazrat Abdullah bin Amr bin al-As (RaziAllahu Anhu) se riwayat hain: RasoolAllah (ﷺ) ne Ek Shaks se irshad farmaya 'Mujhe 10 Zhul Hijja ke din Eid manane ka hukm hua hain, Allah Subhanahu ne iss din ko iss Ummat ke liye Eid banaya.' Usne arz kiya agar mere paas Kuch bhi moujud na ho ( Yaani Qurbani karne ki iste'tat na ho) lekin ek hi Bakri ya Ootni ho tou kya main uski Qurbani karu? Aap (ﷺ) ne…