RasoolAllah ﷺ se Mohabbat – Dono Jahaan Ki Azmat

I Love Prophet Muhammad Pbuh

Rasool’Allah ﷺ se mohabbat insaan ke liye sirf imaan ka hissa hi nahi, balki dono jahaan ki kamiyabi ka zariya hai. Qur’an o Hadees dono yeh waazeh taur par bayan karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ki shafqat, rehmat aur muhabbat poore insaaniyat ke liye hai.


Qur’an Majeed mein Rasool Allah ﷺ ki Azmat

1. Nabi ﷺ ki Ummat par Shafqat

Al-Qur’an:
“Tumharey pass tum hi me se Ek Rasool (ﷺ) aaye hai. Tumhari takleef unko girah (apni takleef) maloom hoti hai. Aur tumhari bhalayi ke khwahishmand hain, aur momeeno par nihayat shafqat karney waley (aur) meharbaan hain.”
(Surah At-Taubah, 9:128)


2. Nabi ﷺ Rehmat-ul-lil-Alameen

Al-Qur’an:
“Aur Hum (Allah) ne Aap ﷺ ko tamaam jahaan ke liye rehmat banakar bheja hai.”
(Surah Al-Anbiya, 21:107)


3. Nabi ﷺ Basharat Aur Indhar Dene Wale

Al-Qur’an:
“Humne Aap ﷺ ko tamam insaano ke liye khushkhabri sunaney wala aur daraney wala banakar bheja hai, lekin aksar log nahi samajhtey.”
(Surah Saba, 34:28)


Hadees Mubaraka Mein Nabi ﷺ ki Mohabbat

Mafhoom-e-Hadees:
Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
“Tum mein se koi shakhs imaan wala nahi hoga jab tak uske walid, uski aulaad aur tamam logon se ziyada mere liye uske dil mein mohabbat na ho jaye.”
(Sahih Bukhari, Iman Ka Bayan, Hadees 14)


Rasool Allah ﷺ se mohabbat sirf dil ki baat nahi, balki imaan ka buniyadi hissa hai. Qur’an Majeed aur Hadees Mubaraka dono yeh sabit karte hain ke Nabi Kareem ﷺ insaaniyat ke liye rehmat, shafqat aur hidayat banakar bheje gaye. Unki mohabbat hi asal mein dono jahaan ki kamiyabi aur azmat ka zariya hai.

WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Leave a Reply