Kyu Deen Me Masumiyat Ikhtiyar Ki Humne ? *Ek Android Cellphone Lena Hai Mujhe,.. *Kaha Se Lu ? *Mall Se Lu Ya Shop Se Lu ? *Waha Tou Itna Daam Hai Uska,.. *Tum Kitne Me Dogey ? *Battery Aur Storage Space Kaisi Hai Iski ? *Jaldi Kharab Tou Nahi Hoga? *Falah Aur Falah ,... Itni Saari Tehqeeq Kyu Karte Hai Hum Mujhe Bataye ? #Duniya Ke Muamlo Me Badi Baariki Se Tehkik Karte Hai ,.. Lekin Jab #Deen Ka Muamla Aata Hai Tou Usmey Khamoshi Ikhteyar Kar Lete…
Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
Afwah Ka Kya Kare (What about Rumours) ? Aksar Dekha Jata Hai Ke Log Choti-Choti Baato Ki Badi Afwaye(Rumour) Failaney Lag Jaatey Hai,.. Jo Ki Bohot Hi Galat Baat Hai. Chotey-Chotey Wakiyat, Chotey-Chotey Halaat Ko Lekar Itni Afwaye Failayi Jaati Hai Ke Uski Koi Inteha Nahi ... Aur Tamam Mu'ashre Me Bus Wahi Aag Failti Jaati Hai. ♥ Aur Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Iss Se Manaa Kiya - "Jab Koi Fasiq (Untrusted Person) Koi Khabar Lekar Aaye Tou Khoob Tehqeeq Kar Liya Karo Ke Khabar Kitni…
Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai Muaf Karne se Allah Taala Bande ki Izzat me ijafa karta hai ۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Sadqe ne maal me kabhi koi kami nahi ki aur Muaf Karne se Allah Subhanahu Bande ko Izzat hi me badhata hai aur jo shakhs sirf Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai." 📕 Sahih Muslim, Jild 6, 6592
Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Kisi bhi Musalman Bhai ki taraf Hathiyar se Ishara na kare Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Koi Shakhs apne kisi deeni bhai ki taraf hathiyar se ishara na karey kyunki wo nahi janta mumkin hai ke Shaitan uskey haath se chura de aur phir wo kisi Musalman ko maar kar uski wajah se jahannum ke Ghaddey me gir jaye." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 7072
Allah se kare door to Taleem bhi Fitna : Dr. Allama Iqbal 📖 Allama Iqbal ka Paighaam Allah se kare Door to Taleem bhi Fitna,Imlaq bhi, Aulad bhi Jagir bhi Fitna. Nahaq ke liye Uthey to Shamsheer bhi Fitna,Shamsheer hi kya Nara-e-Taqbeer bhi Fitna. 📕 Dr. Allama Iqbal ✦ Wajahat (Explanation) Iqbal kehte hain ke jo bhi cheez Allah se door kar de, wo insaan ke liye fitna ban jaati hai. Chahe wo ilm ho jo Allah ki yaad se ghaafil kare, Ya imaalq (khandani rutba) ho, Ya aulad aur jaaydaad hi…
Qurani Dua-7 : Aye Allah hum par Aisa boz na daal… ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ Rabbana Wala Tahmil رَبَّنَا وَلاَ تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَاRabbana wala tahmil alayna isran kama hamaltahu ‘alal-ladheena min qablina “Aye Allah! Hum par aisa bojh na daal jaise Tune humse pehle ke logon par daala tha.”– (Al Quran; Surah Baqarah: 2:286) Translation & Meaning Hindi: “ऐ अल्लाह! हम पर ऐसा बोझ न डाल जैसा तूने हमसे पहले के लोगों पर डाला था।” English: “Our Lord! Lay not on us a burden like that…
Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi ... Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi Abdullah Ibn Masood (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo (Apne) Chehre ko Peete, Ghireban Phadey (Maatam karey) aur Zamana-e-Jahliat ki batain kare (Noha karey) wo hum (Musalmanon) me se nahi hai." 📕 Bukhari Hadees no. 1297 Noha / Matam karna aur Dekhna dono Haram hai ... ✦ Muharram ke Ashre (10 Dinno) me Shia Hazrat Maatam ya Noha karte hain. Jo Quran wa Sunnat Ki Roshni me Haram, Biddat…
Jo Apni Rozi me kushadgi chahta ho wo Sila Rehmi Kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas bin Malik (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, "Jo Shaksh apni Rozi mein kushadgi chahta ho ya Umar darazi chahta ho to usey chahiye ki Sila Rehmi(keep good relations with his relatives) karey" - (Sahih Bukhari, 2067) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अनस बिन मलीक (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, "जो शख्स अपनी रोज़ी में कुशादगी चाहता हो या उम्र दराजी चाहता हो तो उसे चाहिए के सिला…
Mout ki Tamanna Hargiz Naa kare: Hadees Mout Ki Tamanna Hargiz Na Kare Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se koi Shakhs kisi Takleef ki Wajah se Jo Tumhe Pohanchi ho, Mout ki Aarzoo naa kare." Aur agar (Takleef ki Noeyat aisi ho keh Iss ke bagair) Chara na ho tou ess taraha Dua kare, "Aye Allah ! Tu mujhey ess Wakt tak zinda rakh, Jab tak Zindagi mere liye Behtar ho aur Uss Waqt mujhe fout (die) kar de jab Wafaat mere liye behtar…
Tum doosron par kharch karte raho, Allah tum par… Tum doosron par kharch karo, Allah tum par kharch karega Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke: "Allah Taala ne farmaaya: Aye logo! tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahunga." 📕 Bukhari, Hadees 5352
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6288
Maaldaar ki taraf se Qarz ke Ada Karne me deri na kare ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Maaldaar Ki Taraf Se Qarz Ke Ada Karne me Deri Karna Zulm aur Zyadati Hai.” - (Sahih Al-Bukhari, 2400) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अबू हुरैरा (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फरमाया, “मालदार की तरफ से क़र्ज़ अदा करने में देरी करना ज़ुल्म और ज्यादती है” - (सही अल-बुखारी, 2400) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Allah bande ki Madad me Rehta hai Allah bande ki Madad me Rehta hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Aur Allah Bande ki Madad Mein Rahta hai Jab tak Banda Apne Bhai ki Madad me Rahta hai..” 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2699