Jab Banda-e-Momin Wazu Karta Hai .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‘Jis waqt Banda-e-Momin Wuzu shuru karta hai, phir kulli karta hai tou is ke mun’h ke Gunah nikal (jhad) jate hain. Phir jis waqt Naak Jhaadta hai is ke Naak ke Gunah nikal jaate hain. *Phir jis waqt Chehra dhota hai is ke Chehre ke Gunah nikal jaate hain. Yaha’n tak ke is ki Aankho’n ki palko’n ke neeche se bhi Gunah nikal jaate hain. *Chehra dhote waqt Guhan daadhi ke kinaro’n se bhi…
Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin Ki Rooh Jannat se Mehroom Qarz Ke Adayegi ke Baigair Momin ki Rooh Jannat se Mehroom Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya - "Momin ki Rooh Uss Waqt tak Jannat me Jaane se Rooki Rehti hai Jab tak ke Uska Qarz Ada naa kiya jaye." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 570 –Sahih
Husn-e-Akhlaq ki Ahmiyat aur Fazilat ✦ Neki Acche Akhlaq ka Naam hai : ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nawas bin Samaan Ansari (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Maine Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Neki aur Gunaah ke baare me Poocha tou Aap ne farmaya "Neki Acche Akhlaaq ka Naam hai aur Gunah Jo tere Seeney me Khatke aur tujhe pasand na ho ke log usey jaaney." (Sahih Muslim 2553) ✦ Kaamil Iman ki Alamat : ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) farmate hai ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Momino…
Sabse bada sood Aaj ki Hadees | Hadees of the Day Sabse bada sood ✦ Said ibn Zayd (R.A) se rivayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Sab se bada sood ye hai ke Aadmi Nahaq kisi musalman ki Beizzati kare." 📕 Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1448-Sahih
Jo Shaksh Hathiyar se apne bhai ki taraf ishara… ✦ Hadith: Farishto ki Lanat ✦ Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki, “ Jo Shakhs Hathiyar se apne bhai ki taraf ishara kare to farishte us par laanat karte rehte hain jab tak ki aisa karne se ruk na jaye chahe wo uska saga bhai ho. ” - (Sahih Muslim 2616 a @ www.ummat-e-nabi.com/home) अबू हुरैरा (र.अ.) से रिवायत है की रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फरमाया की “ जो शख्स हथयार से अपने भाई की…
Walidain ki Nafarmani Bahut hi bada Gunah hai Hadees of the Day Walidain ki Nafarmani Bahut hi bada Gunah hai Mugeerah (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) Ne Farmaya: "Allah Ta'ala ne tum par Maa ki Nafarmani Haraam Qarar di hai aur (walidain ke haqooq) na dena aur na-haq un se mutalibaat karna bhi haraam Qarar diya hai, aur Ladkiyon ko Zindah dafan karna (bhi haraam qarar diya hai) aur Kil wa qail (fuzool batein) kasrat se Sawal (Unnecessary Demand) aur maal ki barbadi ko bhi napasand…
Gunaah karna apne Nafs pe Zulm karna hai Gunaah karna Apne Nafs pe Zulm karna hai "Allah Tou Hargiz Bando Par Kuch Bhi Zulm Nahi Karta Magar Log Khud Apne Upar Zulm Kiya Karte Hai". 📕 Al-Quran; Surah Yunus 10:44
Islam ka Sabse Bada Dushman Koun hai? Islam Ka Sabse Bada Dushman Koun hai? Islam ka Sabse Bada Dushman Zahil Musalman hota hai,Jahalat Usey Besabr Bana deti hai,Uski harkato se Islam ki Chavi Kharab Hoti haiaur jab Log Uski Taraf dekhte hai tousochtey hai ke "Yahi hai Islam!" 📕 Shaikh Ahmed Didat (Rehmatulahi Alaihi) इस्लाम का सबसे बड़ा दुश्मन अज्ञानी मुसलमान है, अज्ञानता उसे असहिष्णु बनाती है, उसकी हरकतों से इस्लाम की छवि खराब होती है, और जब लोग उसकी तरफ देखते हैं तो सोचते हैं के…
Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti,1) Kanjusi, 2) Burey Akhlaaq." 📕 Tirmizi, Hadees 1962
Gareebi ki wajah se Hajj na karne walo ke liye Hajj ka Sawab ✦ Mafhum-e-Hadees: Hazrat Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) ne farmaya Gareeb log (Sahaba) Nabi (ﷺ) ki khidmat me hazir huye aur kaha ki: Ameer aur Raees log buland darjat aur hamesha rahne waali Jannat haasil kar chuke halanki jis tarah hum Namaz parhte hain wo bhi parhte hain aur jaise hum roze rakhte hain wo bhi rakhte hain lekin Maal wa Daulat ki wajah se unhe hum par fowqiyat hasil hai ki uski wajah se wo HAJJ karte hain Umrah karte…
Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Tabrani wa Hakim ne Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai aur tamam Bando me Allah ke Nazdik woh zyada Mehboob hai Jo parhezgar hai jo chupey huye hai. Agar wah gayab ho tou Unhey koi talaash na karey aur Gawahii de tou pehchane na jaye wah log hidayat ke imam aur Ilm ke charag hai." (Islami Akhlaq-O-Aadab, Hadees-7, Page-302)
Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bughz na rakkhe Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bughz na rakkhe Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Koi Momin Mard, Apni Momina Biwi se Bhugz (nafrat) na rakkhe, kyunki agar Us sey uss ki koi Aadat Napasand hai tou koi dusri pasand bhi hogi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 1467(3645)
Momin Ki Hurmat Kaabe Se Bhi Badhkar .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: "Muslim blood more sacred than the Ka`ba Musharrafa" *Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Kaaba-e-Mouzzama Se Muqhaatib Ho Ke Farmaya: "Momin Ki Hurmat Tujh Se Jyada Hain. " - (Tabarani: Chapter-'Ikramul Muslimeen') *Isi Aahadeese Mubarak Ke Tehat Likhney Walo Ne Bada Behtareen Qaul Likha Ke - "Chahe Kaaba Dha Do Lekin Kisi Momin Ka Dil Mat Todo ,.." .. Kyunki Kaaba Tou Ek Kibla Hai,.. Agar Ek Baar Dha Diya Jaaye Tou Dubara Ban Bhi Jayega!! *Yakinan…
Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Koi momin Shohar apni kisi Momina Biwi se Nafrat na kare. Agar Usey Biwi ki Ek Baat Napasand hogi tou Dusri Zaroor Pasand Aayegi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 3645
Hadees: Jo shakhs khud ko bada samjhta hai Allah us… Jo shakhs khud ko bada samjhta hai Allah us se Naraz hoga Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Jo shakhs apne aap ko bada samjhta hai ya Takabbur ke saath akad kar chalta hai, Qayamat ke din woh Allah Taala se is haal me milega ke Allah Taala us se Naraz hoga." 📕 Al-Adab al-Mufrad, Hadees 549