Mout ke Baad ke Haalat :
Insaan ko Pesh Aane Wale Marahel Ki Takleef aur Mushkilaat
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Marne ke baad insaan ko pesh aane wale marahel jinme Barzakh, Soor, Nushoor, Hashar, Hisab, Mizan aur Pul Seerat wagaira shamil hai, kis qadar takleefdeh aur mushkil honge uss ka andaza inn aayato aur hadees-e-mubarak se lagaya ja sakta hai.
Irshade Bari Ta’ala hai ke –
“Qayamat ka din bachon ko budha kardega.” (Surah Muzammil 73:17)
“Logon ke kalije mooh ko aajayenge, wo gham se bhare honge, lekin koi gamkisar aur sifarashi muyassar nahi aayega.” (Surah Mumin 40:18-19).
“Uss roz ke azab se bachne ke liye mujrim chahega ke apni aulaad, apni biwi, apne bhai, apne khandan ko, jo uss ka sahara tha, hatta ke roo-e-zameen ki har cheez ko fidya de de lekin aisa mumkin nahi hoga.” (Surah Al-Ma’arij 70:11-15).
“Us roz zalim (afsos aur nadamt se) apne hath kaat kar khayega aur kahega:
“Aye Kash! Mai ne Rasool ka rasta apnaya hota! Haye meri bad-bakhti ke kaash mai falaa (gumrah shaks) ko apna dost na banaya hota.” (Surah Furqan 25:27-28).
Qayamat ke baare me Aap (ﷺ) ki kuch hadees hai:
“Insan ki paidayesh se lekar mout tak jitni bhi taklifen insan per aati hai, mout ki taklif unn sab se zyada hai aur mout ke baad aane wale marahel ki takleef mout se kayi zyada hai (Tabarani Sharif).
Aap (ﷺ) farmate hai ke,
“Qayamat me log apni Qabron se nange paon, nange badan aur be-khatna uthaye jayenge! Aapse arz kiya “Ya Rasul’Allah (ﷺ)! Kya log ek-doosre ki taraf daikhenge nahi?”
Aap (ﷺ) ne farmaya “Uss roz ki musibat itni zyada hogi ke kisi shakhs ko kisi doosre ki taraf dekhne ka hosh hi nahi hoga” (Muslim Sharif).
Maidane Hasahr me, jahaa log nange paon aur nange badan honge, Suraj ek meel ke fasle per layaa jayega, log apne apne aamal ke mutabiq pasine me doobe huwe honge, koi takhno tak, koi guthno tak, koi kamar tak aur kisi ko pasine ki (mooh me) lagam aayi hogi (Muslim Sharif).
Hashar ka ek din 50 hazar saal ke barabar hoga. (Muslim Sharif).
Logon ko Hashar me itni takleef aur pareshani hogi jis ki wo taqat nahi rakhte honge aur bardasht nahi kar payenge. (Bukhari Sharif).
Jab Pul-Sirat Jahannum per rakha jayega tou har taraf tareek dhoop hogi. (Bukhari Sharif).
Inn aayato aur Hadees-e-Mubarak se ye maloom hota hai ke marne ke baad insaan ko bahut se marahel pesh aane wale hain jinme takleef aur mushkilaat se bhara hoga.
Lihaja hamein zindagi mein hamesha Allah ki raza ke liye amal karna chahiye aur apni zindagi ke maqsad ko sirf duniya ke kamyabi se zyada aakhirat ke kamyabi mein rakhna chahiye.
In sha Allah ul Azeez !
Allah Taala Hume Kehne Sunne se jyada amal ki toufiq de,
jabtak hume zinda rakhe islam aur iman par zinda rakhe,
Khatma humara iman par ho,
Wa akhiru dawana Alahamdulillahi rabbul aalameen.
Ameen Allahumma Ameen.
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.