Tijarat me Qasam ki Kasrat se Parhez kiya karo
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Tijarat me Qasam ki Kasrat se Parhez kiya karo, ki ye Agarchey Maal ko tou Bikwa deti hai, magar Barkat ko khatm kar deti hai.”
Note: Aksar dekha jata hai ke log koi saman bechte wakt qasam khate hai ke Allah ki qasam maal original quality ka hai, Allah ki qasam humne ye maal itne itne me kharida hai, bus hum itna hi kama paate hai. wagera wagera. wo aisa isliye karte hai kyunki kharidaar ko yakin dilana chahte hai.
jabki Aisa karna sarasar galat hai. Aap (ﷺ) ne is hadees me yahi farmaya hai ke Qasam khane se maal to bik jayega lekin usme barkat nahi hogi.
Allah Taala Hum Sabko Kehne sunne se jyada amal ki toufik de.
Ameen Allahumma Ameen.