Kyu Deen Me Masumiyat Ikhtiyar Ki Humne ?

*Ek Android Cellphone Lena Hai Mujhe,..
*Kaha Se Lu ?
*Mall Se Lu Ya Shop Se Lu ?
*Waha Tou Itna Daam Hai Uska,..
*Tum Kitne Me Dogey ?
*Battery Aur Storage Space Kaisi Hai Iski ?
*Jaldi Kharab Tou Nahi Hoga?
*Falah Aur Falah ,…
Itni Saari Tehqeeq Kyu Karte Hai Hum Mujhe Bataye ?

#Duniya Ke Muamlo Me Badi Baariki Se Tehkik Karte Hai ,..
Lekin Jab ‪#‎Deen‬ Ka Muamla Aata Hai Tou Usmey Khamoshi Ikhteyar Kar Lete Hai …
.. Ke Deen Ke Mu’amle Me Sawal Mat Karo.. Bus Jo ‪#‎Akida‬ Wirasat Me Milta Hai Wo Le Lo ,.. Subhan’Allah!!!

… Yaad Rakhe Ye Masumiyat Aakhirat Me Kaam Nahi Aaney Wali..
* Kya Yahi Jawab Denge Hum Apne Rab Ko: “Aye Allah! Bado Ne Jo Diya Wo Le Liya Humne ,..”

* Allah Kahega – “Wahi Badey Jab Tujhse Keh Rahe They Ke – Falah Ladki Se Shadi Kar, ..
Tou Tuney Kaha Ke – Nahi Kar Sakta ! ‪#‎Zindagi‬ Ka Sawal Hai …”
Tou Tuney ‪#‎Aakhirat‬ Ka Sawal Karte Hue Kyu Nahi Kaha Ke –
“Ke Mai Aap Logon Ki Baat Kyu Maanu Agar ‪#‎Kitabo_Sunnat‬ Se Sabit Na Ho ,…”

* Sidha Sa Usool Hai ! Jab Duniya Me Aqal Lada Rahe Hai Hum,
Pata Hai Ke Ladki Acchi Na Ho Aur Mujhe Pakda Di Jaye Tou Mai Fass Jaunga Zindagi Bhar!

* Tou Fir Ye Kyu Nahi Sochtey Ke: “‪#Sunnat-e-Rasool‬ Se Hatkar Jis Kisi Bhi Aqidey Par Mai Rahunga,
Tou Qayamat Ke Deen Kya Jawaab Dunga Apne Rab Ko?”

*Tou Yaha Jawabdehi Ka Madda Hai,..
*Waha Ki Jawabdehi Bhul Gaye Hum?

… Allah Ke Liye Jab Koi Kitabo Sunnat Ki Baat Kare ,,..
Tou Bagour Suney,.. *Tehqeeq Kare – Ke Usne Kaha Se Ye Baat Ki Hai ..

*Kahi Aisa Na Ho Ke Mai Khamoshi Se Aankh Band Kar Kisi Ke Pichey Lag Gaya
Aur Usney Le Jakar Gaddhe Me Mujhe Gira Diya …

*Tou Duniya Me Jaisi Tehkik Karte Hai Waisi Tehkik Deen Me Bhi Kijiye ,..
.. Ab Hum Yeh Nahi Keh Rahey: “Ke Har Ek Ko Bohot Bada Allama Ban’ne Ki Jarurat Hai,.”
*Lekin Aap Unn Baato Par Tou Gour Kar Saktey Ho Jismey Ummat Me Aksar Ikhtelaaf Paya Jaata Ho ..

#‎Insha’Allah‬-Ul-Azeez!! Allah Ta’ala Hume Kehney Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ..
• ummat-e-nabi.com/home
• Fb.Com/Hadisenabwi


Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *