Gunah kar ke fakhr se batana kaisa hai? Gunah kar ke fakhr se batana kaisa hai? Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Meri ummat ke tamam logo ke Gunaah Allah bakhsh dega, siwaye un logo ke jo Gunaah karke logo ko fakhr se bataayen ki humne ye Gunah kiya hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6069 ✦ Mukammal Hadees ✦ Mujahir ka Anjaam Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Meri tamam Ummat (Tawheed parast) ko Muaf kiya jayega siway Gunaaho ko Khullam Khula…
Kisi ko diyaa hua tohfa waapas na lo ✦ Hadith about Hadiya/Tohfa: 1). Hadith: Hazrate Ibn Abbas aur Ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Kisi Shakhs ke liye ye jayaz nahi ki woh kisi ko diya hua tohfa waapas le siwaaye Baap ke jo apne bete ko diya hua tohfa waapas le sakta hai.❞ - Sunan Ibn Majah Hadith no. 2377 2). Hadith: Ek riwayat me Aap (Sallallahu Aalihi Wasallam) farmate hai: ❝Hadiya (Tohfa) de kar waapas lene wala uss…
Ludo khelna Kaisa | Hadees about playing ludo is Haram Hadees of the Day Hadees about playing ludo is Haram RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shaqs ne Chausar (Ludo / All Dice Games) khela, goya usne apne Haathon ko Khinzeer (Pig) ke Khoon aur Gosht se Rang liya." 📕 Sahih Muslim, Hadees 2260 Toh Beharhaal, hume chahiye ke Waqt ki barbardi wale kaamo se parhez kare, Apni Fursat ke auqaat ko Neik kaamo lagaye. Allah Taala Hume Kehne sunne se Jyada amal ki toufiq de, Ameen
Kisi Musalman ke Aib Chupaane ka Sawaab: Hadees ۞ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) Irshad farmatey hai ki, "Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir Usey Chhupaye tou isey Allah Ta’ala Itna Ziyada Sawaab ata karega jaise Zinda dafnayi bacchi ko Qabr se Nikal kar uski Parwarish kare aur uski Zindagi ka Saamaan kar dey." 📕 Mishkat 2-424
Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna kehne wale par… Kisi Muslman ko Kafir na kaho warna Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Jo Shakhs apney (Musalman) bhai ko Kafir keh kar pukare tou dono me se Ek par Kufr aa Jayega, Agar wo shakhs jisko usney pukara wo Kafir hai tou khair (Kufr uss par rahega) warna pukarney waley par laut aayega." 📕 Sahih Muslim, Vol 1, Hadees: 316 ✦ Sabaq: Yaad rahe ke kisi bhi Muslman ke koi Gairsharayi amal ko dekhkar…
Juma ke Khutbe ke dauran Tahiyatul Masjid padhna kaisa hai? Hadees of the Day | Jumuah Series Aksar dekha jata hai ke Juma ke din jab Imam Khudba de rahe hote hai to kayi log aate hi Namaz padhne lag jaate hai, to kya ye amal durust hai. aayiye aahadees ki roshni me iska mutala karte hai. Juma me Tahiyatul masjid ha hukm Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Tum Mein se Koi Jumuah ke Din (Masjid) Aaye Jabki Imaam Khutba de Raha ho tou Woh 2 Raka'tein Padhe…
Jab kisi ko Halal Riqz ka Zariya mil jaaye to Khushi… Jab kisi ko Halal Riqz ka Zariya mil jaaye to Khushi se Qabool kar le RasoolAllah (ﷺ) farmate hai, "Jab kisi ko (Halal Riqz ka) koi Zariya mil jaaye to woh Us ko (khushi se) Ikhtiyaar kar le (Chaahe kum hi kyun na ho)." 📕 Ibne Maaja, Hadees: 2147
3 Batey Jise Haqeeqat aur Mazak me kehna bhi Haqeeqat hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Teen Baatey Aisee hain jisko Haqeeqat me kehna bhi haqeeqat hai aur Mazak me kehna bhi Haqeeqat ho jata hai , (Wo teen Baatey hai) Nikah, Talaq aur Ruju (yaani Talaaq ke baad Biwi ko wapas apna lena)." - (Sunan Ibn Majah, JIld 2, 196-Sahih)
Jab kisi ko Namaz ke dauran Oongh ya Neend aaye to… Jab kisi ko Namaz ke dauran Oongh ya Neend aaye Ummahatul Momineen Aisha (R.A) se riwayat hai ki Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Jab Tum me se kisi ko Namaz ke Dauran Oongh ya Neend aaye to wo so jaye yaha tak ki Uski Neend puri ho jaye kyunki agar wo Unghte huye Namaz padhega to Shayad wo Astigfar karne ki jagah khud ko Baddua kar dega." 📕 Sunan Abu Dawud, Jild 1,1297-Sahih ✦ Hadees : Jab Neend Gehri ho to So jaye…
Jab Allah Kisi Musalmaan ko Beemari Me Mubtilah Karta hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Yahiya Ibn Say'eed (RaziAllahu Anhu) Se Rewayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Daur Me Ek Shakhs Ki Maut Par Dusra Ek Shakhs Ne Kaha, Woh Bara Naseebwala Tha, Kisi Beemari Ya Taqleef Ke Bagair Hi Mar Gaya, Ye Baat Sunkar RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Tum Mein Se Kisne Kaha Ki Woh Bahut Nassebwala Tha ? Agar Allah Usey Kisi Beemari Mein Mubtilah Karta ! Tou (Uske Badle) Uske Gunaho Ko Maaf (Kaffara) Kar Deta.,.."…
Hadees: Kisi Nabeena ya Kamzor Nigaah wale ko rasta… Hadith: 22-June: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Kisi (Nabeena ya) Kamzor Nigaah wale ko rasta dikhana Sadqa (Sawaab ka kaam) hai. 📕 Jami` at-Tirmidhi 1956
Shirk ke baad Sabse Bada Gunaah Maa-Baap ko bura bhala kehna Shirk ke baad Sabse Bada GunaahMaa-Baap ko Bura bhala kehna Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "(Shirk ke baad) Sabse Bada Gunaah ye hai ke aadmi apne Maa Baap ko bura bhala kahe." 📕 Muslim, Hadees 263
Buzurgo ke tazeem ki Fazilat : Jo jawaan Aadmi kisi… ۞ Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Jo Jawaan Aadmi kisi Budhe(Buzurg) ki Tazeem iss ke Budhape ki bina per karega tou Allah Ta'ala iss ke Budhaape ke waqt kuch aise logo ko tayyar farma dega, jo budhape me iss ka Aa’ziz wa Akraam karenge." 📚 Mishkaat Jild 2, Safa 1423 Sah Al’mutabeh
Hadees: Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya… Hadith: 21-June: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya jaaye wo us me ameen (Amanatdar) hai, lihaja Amanatdari ke sath mashwara do. 📕 Jami` at-Tirmidhi 2822
Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti,1) Kanjusi, 2) Burey Akhlaaq." 📕 Tirmizi, Hadees 1962