Jo Allah par bharosa kare to Allah uske liye Kaafi Hai ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ “Jo Allah par bharosa kare to Allah uske liye Kaafi Hai” – (Roman Urdu: Al-Quran; 65:03) “जो अल्लाह पर भरोसा करे तो अल्लाह उसके लिए काफ़ी है” – (हिंदी अनुवाद; कुरान 65:03) “जर कोणी अल्लाहवर विश्वास ठेवतो तर त्याच्यासाठी अल्लाह पुरेसा आहे” – (मराठी अनुवाद; कुरान 65:03) “if any one puts his trust in Allah, sufficient is (Allah) for him” – (English Quran 65:03) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Kamiyab Aurat koun by Sis. Ahmadunnisa Sahiba https://www.youtube.com/watch?v=viX14Cg4D_0 Kamiyab Aurat ki Pehchan Kamyab aurat in islam, kamyab aurat ki pehchan, Kamyab Aurat Koun? by Sis. Ahmadunnisa Sahiba
Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Koi momin Shohar apni kisi Momina Biwi se Nafrat na kare. Agar Usey Biwi ki Ek Baat Napasand hogi tou Dusri Zaroor Pasand Aayegi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 3645
MUSLIM AURAT Paiydayish Se Mout Tak - Sis. Amtul Mateen https://www.youtube.com/watch?v=3IJRIX39JIs Muslim Aurat ki Zimedariya Paidaish se lekar Mout tak kya hoti hai ? iske bare me tafsili jankari ke liye aayiye is bayan me mutala karte hai,. baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon karey,. jazakAllahu khairan.
Jannati Aurat jis ka Shohar Us se Raazi ho Hadees of the Day Jannati Aurat jis ka Shohar Us se Raazi ho Umme Salma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:- "Jo Aurat Dunia se is haal me chali jaye ke uska Shohar us se raazi tha, tou wo Jannat me dakhil hogi." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 1854
Quran Se Faal Kholna Kaisa Hai by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=HpbPnLPEhJ8 Quran se faal nikalna kaisa hai? islam me faal kholna kaisa hai, faal kholne ka gunaah, does tarot card permitted in islam ? fortune telling in islam hadith, Islam and fortune telling, quran se faal nikalna
♫ "Roza Lag raha" Bolna kaisa hai? "Roza Lag raha" Bolna kaisa hai? Aksar Roze me Kamzori Aane ki wajah se Log ajib ajib baate kehne lagte hai, to kya aisa kehna jayaz hai ? tafseeli jankari ke liye is mukhtasar se audio bayan ka mutala karte hai,. jazakAllah khairan kaseera. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chut hai? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ Napaki ki Halat me kya Saher kar sakte hai? ♫ Kin…
Jo shaksh kisi Maa ko uske bachche se juda karega to Jo shaksh kisi Maa ko uske bachche se juda karega to ۞ Hadees: Anas (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya “Jo shaksh kisi Maa ko uske bachche se juda karega to Allah subhanahu Qaymat ke din usko uske mehboob logo se juda kar dega.” 📕 Jamia tirmizi, Hadees 1291-Hasan
Jisne Tanhayi me Allah ko Yaad kiya aur uske Aansoo… Jisne Tanhayi me Allah ko Yaad kiya aur uske Aansoo Jaari Ho Gaye ۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya, "7 tarah ke log hain jinhe Allah Subhanahu Ta’ala Apne (Arsh ke) saaye me panaah dega, unmein se ek wo bhi hai jisne Tanhayi me ALLAH Subhanahu Ta’ala ko yaad kiya aur uski Aankhon se Aansoo jaari ho gaye.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees 6479
Dua ka Tarika, uske Conditions aur Fazilat by Adv Faiz Sayed https://www.youtube.com/watch?v=3txNdapMNZA Dua ki Ahmiyat aur Fazilat, Tarika Aajkal humare muashre me Dua ke talluk se beshumar galatefehmiya paayi jati hai ke Allah humari dua nahi saunta, meri to dua kabhi kabool hi nahi hoti, fala aur fala. tou aaiye dua ke kya aadaab (conditions) hotey hai, Dua kaisi mangi jaye, kin mouko par dua jaldi qabool hoti hai,, iske talluk se tafseeli jankari ke liye is video ka muatala karta hai. Baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me…
Shirk Zulm Azeem : Shirk se Jo bacch gaya uske liye Aman ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Jo Log imaan laye aur apne imaan ko Zulm se mahfuz kiya unke liye Aman hai aur wahi hidayat paney wale log hain." 📕 Quran: Surah Al-An’am 6:82 Iss aayat ke Sabab Hazrate Abdullah bin Mas'ud (R.Au) ne farmaya ke: 'Jab yeh aayat [Surah Al-An'am 6:82] naazil hui tou hum log pareshan ho gaye ke, "Koun hai jisney apne par Zulm nahi kiya hoga?." Tou hum log RasoolAllah (ﷺ) ke paas gaye aur kaha ke: "Koun hai jisney Zulm nahi kiya hai!"…
Poore Gharwalo ki Taraf se ek hi Qurbani karna kaisa hai? Poore Gharwalo ki Taraf se ek hi Qurbani karna kaisa hai? Hadees: Hazrat Abu Ayyub Ansari (R.A) farmate hain: "Nabi ﷺ Ke Zamane Mein Aadmi Apni Taraf se aur Apne Ghar Walon ki Taraf se Ek Bakri ki Qurbani karta tha." 📕 Sunan Ibne Majah, Hadees : 3147 Sahih
Lout Aao Apne Parwardigaar Ki Taraf aur Uske… Aaj Ummat-e-Muslima Me Jitney Bhi Ikhtelafat Nazar Aa Rahe Hai Uski Asal Wajah Yahi Hai Ke Nauzubillah! Humne Allah Ki Kitaab Aur Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnato Ko Chorr Diya, Natijatan Hum Gumraahi Ke Daldal Me Fanstey Chaley Gaye,.. Aur Zalim Hukumra Humpar Musallat Hotey Rahe ,.. Mere Azeezo! Bhaley Hi Hum Fikri Ikhtelafat Ki Buniyad Par Aaj Firqo Aur Jamato Me Batt Chukey Ho, Lekin Deen Humara Islam Hi Hai, Aur Shariyate Islamiya Bohot Hi Pakiza Shariyat Hai…
Ludo khelna Kaisa | Hadees about playing ludo is Haram Hadees of the Day Hadees about playing ludo is Haram RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shaqs ne Chausar (Ludo / All Dice Games) khela, goya usne apne Haathon ko Khinzeer (Pig) ke Khoon aur Gosht se Rang liya." 📕 Sahih Muslim, Hadees 2260 Toh Beharhaal, hume chahiye ke Waqt ki barbardi wale kaamo se parhez kare, Apni Fursat ke auqaat ko Neik kaamo lagaye. Allah Taala Hume Kehne sunne se Jyada amal ki toufiq de, Ameen
Shohar par Biwi ke Huqooq (Rights of a Muslim Wife… Shohar par Biwi ke Huqooq Ek Hi Biwi hai Magar Mard Uske Paas nahi rehta, balki Namaz wa Roze me Mashgul Rehta hai tou Aurat Shohar par Mutalbah kar sakti hai. aur Usey (Mard Ko) Hukm diya Jayega ki Aurat ke Paas bhi raha kare ki Hadees me farmaya Gaya hai ki: “Tumhari Biwi ka Tum par Haq hai.” 📕 Mafhoom-e-Hadees (ﷺ)📕 Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Nikah,Hadees 5199 Roz Marrah ki Shab-Bedari aur Roze Rakhne me Uska haq talaf hota hai, Raha…