Khwab Ka Bayan Hadees Ki Roshni Me ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Achha Khwab Nabuwat Ke 46 Hisson Me Se Ek Hissa Hai”.
[Sahih Bukhari Volume 009, Book 087, Hadith no. 118]

♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Jab Tum Me Se Koi Aisa Khwab Dekhe Jise Wo Pasand Karta Ho Tou
Wo Allah Subhanahu Ta’ala Ki Taraf Se Hota Hai
– Iss Par Allah Ki Hamd (Shukr Ada) Karey Aur Dusron Ko Bata De
– Lekin Agar Koi Aisa Khawab Dekhta Hai Jo Usey Napasand Ho Tou
Ye Shaitan Ki Taraf Se Hota Hai Isliye Uski Burayi Se Panaah Maangey
– Aur Kisi Se Uss Khwab Ka Zikr Na Karey,
– Ye Khwab Usey Kuch Nuqsaan Nahi Pahucha Sakega”.
(Sahih Bukhari, Vol 8, 6985)

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Qatadah (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Ke Achha Khwab Allah-e-Ta’ala Ki Taraf Se Hai Aur Bura Khwab Shaitan Ki Jaanib Se”.
[Bukhari Vol-2 Page-1035]

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Ke Jisne Khwab Me Mujhko Dekha Usne Waqayi Mujhko Dekha
– Isliye Ki Shaitaan Meri Surat Me Kabhi Nahi Aa Sakta”.
[Shama-il Tirmidhi Chapter 055, Hadith no. 007 (395)]

♥ Mafhoom-e-Hadees: Jabir (RaziAllahu Anhu) Ne Kaha Ke,
Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke,
“Tum Me Jo Koi Bura Khwab Dekhe Tou Usko Chahiye Ke Baaye(Left) Jaanib 3 Baar Thook De
– Aur 3 Baar Allah-e-Ta’ala Ki Shaitaan Ke Sharr se Panaah Mangey,..
– Aur Jis Karwat Se Pahle Tha Usey Badal Kar Dusri Taraf Ko So Jaye”
[Sahih Bukhari Volume 009, Book 087, Hadith no. 168]

5/5 - (3 votes)

Leave a Reply

Related Posts: